Chapter 25

741 90 18
                                    

(Flashback)

Shehnaaz Sid ki hawale say bohot jyada pareshan thi kyun ki woh pichle kuch dino say na to usse millne aaya tha aur na hi phone pay usse thik say baat huyi thi. Shehnaaz janti thi ki woh apni daadi ki sehat ko lekar bohot jyada fiqarmand hay isiliye usne use pareshan nehi kiya.Magar wo use bohot jyada miss bhi kar rahi thi.Pata nehi kyun uski dill may ek ajeeb si bechaini sa mehsus ho raha tha. Aaj bohot dino kay baad jab Sid usse millne aaya tha to use dekh kar pata nehi kyun uski aakhebhar aaye. Aise to pehle kabhi nehi huya tha. Shayed uske dill ko yeh pehle hi pata lag gaya tha ki kuch bura hone wala hay.Usne apne aansoo chupa liya tha. Woh Bewakoof yeh bhi na samajh payi ki yeh aanso chupane say kuch nehi hoga yeh aanso ab iski sath zindegi bhar rehne wala tha.

Shehnaaz:Kaise ho tum?Aur daadi kaisi hay?
Unki tabiyaat abhi theek hay na?Doctor nay kya kaha?Kaab taak rakhenge hospital?Fiqar ki baat to nehi hay na?Usne ek hi saans may usse yeh saari sawal puchi.
Sid khamoshi say khara tha.Hazaar dafa soch kar ane kay baad bhi uske mu say ek lafz nehi nikal raha tha.
Shehnaaz:Kya huya kuch kehte kyun nehi?
Sid:Shehnaaz tum jaante ho na ki may tumse bohot pyaar karta hu.
Shehnaaz:Ha magar abhi tum yeh kyun keh rahe ho?Maine tumse yeh to nehi pucha.

(Flashback Ends)

Tum mujhpar chikhti chillati mujhe kosti tab bhi mujhe itna dukh nehi pohochta jitna tumhari chuppi nay mujhe pohchaya tha

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Tum mujhpar chikhti chillati mujhe kosti tab bhi mujhe itna dukh nehi pohochta jitna tumhari chuppi nay mujhe pohchaya tha.Yeh tumhari aitbaar tha ya nafrat jo tumne mujhsay koi wazahat nehi mangi?

Kaash may usdin thora khudgarz ho jaati to shayed tumhe roq sakti.Magar may kya karu batayo tumhe takleef may bhi to nehi dekh sakti thi na. Tumhe kaise kosti kya kehke kosti. Mere bharam ko qayem hi rehne do.

(Flashback)

Shehnaaz:Sidharth tum chale jao...
Sid:Shehnaaz meri baat suno.May majboor...
Shehnaaz:Kuch na kaho.Mujhe tumse kuch nehi janna.Shadi kar rahe ho na to karo. Mujhe koi shikayat nehi hay tumse.Tum bas jaao yaha say..
Shehnaaz Sidharth ko achanak say bara ajnabi sa lag rahi thi.Woh aisi nehi thi bilkul bhi aisi nehi thi ki chup chap uske baat maan leti.Uske aadat kay mutabik use bohot jyada react karna chahiye tha.Kya uska diya dukh say use itna sadma pohchaya tha thi woh react bhi nehi kar pa rahi thi.

Kya uska diya dukh say use itna sadma pohchaya tha thi woh react bhi nehi kar pa rahi thi

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें