Chapter 24

795 94 28
                                    

Pure teen din hospital may rehne kay baad Shehnaaz ghar lauti thi.Uski claustrophobia ke bareme agar Sid ko pehle say pata hota to woh iss tarha kabhi use cupboard may to na bandh karta.Bechara abhi bhi iss guilt say bahar lekin nikal pa raha tha ki uske wajah say Shehnaaz ka yeh haal huya tha.Jabki Shehnaaz nay to iss baat ko seriously liya bhi nehi tha.

(Mere zindegi may tum sabse jyada khaas ho.)

(Tumne kyun kaha tha may tumhare liye sabse ehem hu, sabse khaas hu?)

Flashback

Sid:Shehnaaz please aur kitna waqt lagega tumhari shopping khatam hone may?Ab mere tange bhi dukhne lage hay ab to bas kardo.
Shehnaaz:Abhi to aayi hu.Adha ghanta bhi nehi huya aur tum abhi thak gaye?
Sid:Adha ghanta!!!Khuda ka khauf karo Shehnaaz
Shehnaaz:Ha ha 5-10 minute hi jyada honge usse.Tum mujhe abhi tang mat karo.Shanti say shopping karne do.
Sid:Bass ab bohot ho gaya ha.Aaj ke liye to rehne do,please.
Shehnaaz:Achcha thik hay chalo bass thora sa make up ka saman to lene do.Mera to lipstick tak khatam ho chuka hay.
Sid:Thik hay jaldi karo..
Makeup kay saath saath dhaiso aur saaman lene kay baad bhi Shehnaaz ka shopping karna khatam nehi huya tha.Abhi woh ek cloth store may dresses dekh rahi thi.Par use jo dress pasand aaya tha woh salesgirl leke ja rahi thi.
Shehnaaz:Arey yeh dress mujhe lena hay
Salesgirl:Sorry mam yeh dress to kisi aur nay pehle hi pasand kar li hay aur unfortunately yeh last piece tha.
Shehnaaz ka yeh baat sunte hi mood off ho gaya tha.
Sid:Ek dress hi to hay na isme itna mood off kyun kar rahi ho.Kuch aur le lo.
Shehnaaz:Par mujhe to yehi chahiye tha na...
Salesgirl:Mam aap ek kaam kijiye us madam say puchkay dekhiye.Shayed wo aapko yeh day de.
She pointed towards a girl who was waiting at the cash counter.Shehnaaz uski pass ja hi rahi thi ki Sid nay use rok liya.
Sid:Tum uske pass nehi ja sakti.Yaha say bass abhi chalo.
Shehnaaz:Par kyun?
Sid:Nats nay hume sath dekh liya na to pata nehi kya sochegi.
Shehnaaz:Nats???
Sid:Abhi yaha say chalo may baad may bataungi.
Ghar laut nay kay baad Shehnaaz nay Sid say phirse pucha to pata chala ki woh larki dost hay Sid ki.

Shehnaaz:Achcha dost hay mujhe to laga tha  mere ilawa koi female friend nehi hay tumhara.
Sid:Chilhood friend hay.Actually woh family friend hay.
Shehnaaz:Oh.To phir mile kyun nehi aise chupke kyun aa gaye?
Sid:Kyun ki woh agar hume saath may dekh leti to pakka mom ko jake bata ti yeh baat.
Shehnaaz:To kya ho jata agar bata deti to?Tum kya apne family ko humare bareme kabhi nehi bataoge?
Sid:Bolunga par iss tarha nehi.May pehle khud unse baat karlu phir tumhe milwaunga unse.
Shehnaaz:Aur yeh kaab hoga?
Sid:Bohot jaldi.Bass ek baar daadi ko aa jane do.May chahti hu ki Daadi tumse sabse pehle mile.Mere liye unki opinion sabse jyada matter karta hay.
Shehnaaz:Aur agar unhe may pasand na aayi to?
Sid:Aisa kabhi nehi hoga.Woh mujhse bohot pyaar karti hay.Unhe mere choice pay koi aitraaz nehi hoga.
Shehnaaz:Waise woh larki sachme sirf friend hi thi na?Koi aur scene to nehi hay na. Sach sach batana?
Sid:Nehi sirf friend nehi hay.Meri hone wali biwi bhi hay.Meri family humari shadi karana chahte hay aur yeh baat bachpan say tay hay.
Shehnaaz:Kya?
Sid:Ha ha ha.Shehnaaz kya sirf tumhi mazak kar sakti ho?Arey baba woh sirf dost hay aur kuch nehi.Aur waise bhi mere life may tum mere liye sabse jyada khaas ho.Tumhari jagah koi aur kabhi aa hi nehi sakta.
Shehnaaz:Haye Sachchi.Khao saw.
Sid:I swear ab khush.
Shehnaaz:Waise woh lagti bhi nehi tumhari type ki.Chalti phirti makeup ki dukan lag rahi thi bas.
Sid:Achcha tumhe mere type ka kya pata?
Shehnaaz:Tumhare type?Ha...Tumhare type yani ki koi bohot zaheen,bohot qabil aur khoobsurat makeup ki bagair ha...Kuch kuch meri tarha you know....Jiski hair straight ho, halki Make kare....Uski description sunke Sid kehkaha lagake hasne laga.

Flashback Ends

Sab kuch kitna theek thak to chal raha tha. Phir iss toofan ka ana zaroori tha kya?

(Flashback)

Sid ki Daadi kuch din baad Delhi aayi thi.Woh ek NGO chalati thi aur usiki kuch kaam say waha aayi thi.Sid nay puri planning kar liya tha ki woh unke masrufiyaat khatam ho to uske baad unse Shehnaaz ki bareme baat karega aur un dono ki mulakat bhi karwayega. Magar woh unse kuch keh pata isse pehle hi ek din unki tabiyaat achanak say kharab ho gaya tha.Waise to Daadi bohot fit thi aur unhe koi us tarha ki beemari bhi nehi tha magar umar ki iss hisse may yeh Work pressure usne shayed bardasht nehi huya.Unki Heart Attack ka khabar Sid samet puri family kay liye hi bohot shocking tha.Sid jo apni daadi say jaan say bhi jyada mohabbat karta tha iss khabar say ek dam tut gay tha.Apni puri family may ek Daadi hi thi jinse woh itna close tha.Unhe kuch ho jaye yeh woh bardasht nehi kar payega.Woh kaab itni beemar ho gayi use khabar hi nehi huya.Usne usdin uparwale say Dua manga tha bohot shiddat say ki Daadi theek ho jaye.
Woh bass jaldi say pehle jaisi ho jaye Kisi Bhi Keemat par.Uski mangi huyi dua puri huyi thi magar iska use waqayi bohot bara qimat adah karna para tha.Daadi theek to ho gayi thi mafar doctor nay kaha tha woh abhi bhi naazuk halat may hay.Unka heart kaafi weak hay to unhe kisi bhi tarha ki tension na diya jaye.Unhe khush rakhne ki koshish ki jaye.Us halat may Daadi nay apne pote say ek cheese mangi thi.Zindegi may pehli baar unhone usse kuch manga tha woh unhe kaise inkaar karta?Magar unhone usse jo manga usse behtaar tha ki woh uski jaan mang leti.Tab bhi use itna takleef nehi hota.
Woh to unhe Shehnaaz say milwana chahta tha aur udhar woh keh rahi thi ki woh Natash say shadi karle.Natasha say...Woh Shehnaaz say mohabbat karta hay kisi aur say kaise shadi kar sakta hay.Magar Daadi ko woh na nehi keh paya tha.Unki haalat bohot kharab tha. Unhe lag raha tha ki woh ab jyada din nehi bachengi aur marne say pehle woh apni sabse azeez pote ka ghar basta huya dekhna unka haq tha.Aur Natasha to thi hi unke pyari.Sid ki usdin mazak may kahi gayi woh baat waqayi sola aana sach tha.Natasha aur uski dono ki family ko hi un dono ki ek dusre say shadi karwane ki khwahish thi.Sid nay phir bhi Daadi say Shehnaaz ki bareme may baat karni chahi magar woh nehi keh paya.Use khud hi faisla karna tha ki woh kise chunega pyaar ya pariwaar?Iss waqt uska dill kuch keh raha tha aur dimag kuch aur.Dill aur dimag ki iss kashmakash may Dimag dill pay haawi ho gaya aur usne ek faisle kiya.Ek aisa faisla jisse uski zindegi ek daam tehes nehes ho gaya.









Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें