Last Chapter

1.5K 129 45
                                    

6 months later

Iss ghar ki kuch bhi ab pehle jaise nehi raha tha.Sab kuch badal gaya tha. Aur yeh badlav koi ek din ka nehi tha.Roz hi Sidharth ko sab kuch alag lagta tha.Iss badlav ki shuruyad huya tha Sidharth ki 6 mahine pehle liya gaya uss faisle say.

Flashback:

Sid:Bass ab bohot ho gaya.Tum dobara khana banana to dur Kitchen may bhi nehi jaogi Shehnaaz.Agar aaj tumhe kuch ho jata to.Wada karo mujhsay ab kabhi bhi tum khana banane nehi jaogi.
Shehnaaz:Sidharth...May dhayn rakhungi aage..
Sid:Nehi..Mujhe kuch nehi sunna bass may yeh risk nehi lay sakta.Tumhe kuch ho jata to socha hay ki mera kya hota?May kaisi rehta tumhari bagair?
Shehnaaz:Itni pyar karte ho mujhsay?
Sid:Khud say jyada.
Shehnaaz:Thik hay i promise aaj kay baad kabhi kitchen may nehi jaungi.
Iss faisle say sab andar hi andar khush the magar mahol ki nazakat ko samajh kar sabhi thori udas si shakal banaye huye the.

Daadi aur mummy nay jab servant say pucha ki akher yeh huya kaise tha to unlogone bataya...
Maid:Woh Madam nay ek Watermelon ki andar kay sara kuch nikal kay uski ras,milk, egg,banana,Kachcha papita aur lauki daalke usko blend kiya aur phir use Watermelon ki shell kay andar bharke usko bake karne rakh diya.Unhone kaha tha ki yeh Watermelon pudding hay.Kisi 5 minute crafts may dekhi hay iski recipe.Magar woh kisi bhi tarha jam nehi raha tha to madam nay pichle 4 ghante say usko bake kiya.Humne bohot bola ki oven kahi blast na ho jaye lekin unhone suni ho nehi.Isiliye humne fire extinguisher pehle hi laake rakh diya tha oven kay pass.Issiliye aag jyada nehi faili.
Sid's Dadi:Kitna bara haadsa hote hote bacha
iss larki ko pata nehi akkal kab aayegi.Shukar hay aabse yeh khana nehi banayegi.Warna iski jehrili khane say kisi din mere pote ko kuch ho jata.

(Flashback ends)

Aab khana to woh banati nehi hay aur job to usne kabka chor diya tha.Issiliye ghar baithe baithe woh pura din apni interior ki skills develop karti rehti thi.KAISE?Ghar kay sare saman ko yaha say waha aur waha say yaha karke.Har roz hi Sid ko office say aane kay baad ghar ki cheese aur ghar dono badla huya lagta tha.Aur iss waqt bhi jab Sid ghar lauta to woh yehi kaam kar rahi thi.

Chesso ko yaha waha karte huye Shehnaaz ko ek Diary mili thi.
Shehnaaz:Sidharth yeh diary...Bolte bolte usne ise khola to pehle safe pay uski nazar gayi.Waha ek khubsurat sher likha huya tha.

Sidharth muskurata huya uske pass aya.
Shehnaaz:Yeh tumne likha hay?
Sid:Ha..
Shehnaaz:Kiske liye likha hay?
Sid:Hay koi Bohot khubsurat bohot special koi jiske liye likha tha maina
Shehnaaz:Kya?Use laga ki koi aur hay jisske liye Sid nay yeh likha tha.Woh Sid kay Haat pay woh Diary pakrata huya gusse may waha say jane lagi.

Sid:Arey puchogi nehi woh kon thi?
Shehnaaz:Mujhe nehi janna koi ex ux ki bareme.Jiss ke liye likhi thi use jakar bolo.
Sid:Achcha...Usne uski bajoo ko pakar liya aur aine kay samne la khara kar diya.

Usne uski bajoo ko pakar liya aur aine kay samne la khara kar diya

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Sid:Dekho yeh hay woh larki.Ab batao haina woh sabse khubsurat sabse special?

Ek second may Shehnaaz ka gussa pighalke mom ho gaya tha

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Ek second may Shehnaaz ka gussa pighalke mom ho gaya tha.Zindegi ab dusre kay sath aur bhi haseen lag rahi thi.

Bohot dhyan say laptop par kaam kar raha Sidharth ko dekh kar Shehnaaz apne beete huye kaal aur aane wale kalke bareme soch rahi thi.

Bohot dhyan say laptop par kaam kar raha Sidharth ko dekh kar Shehnaaz apne beete huye kaal aur aane wale kalke bareme soch rahi thi

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Kitne imtehaano kay baad aaj use yeh khushi naseeb huyi thi.Der say hi sahi par use woh mill hi gaya tha.Sahi ketha tha Sidharth ki jo cheese aapki kismat may hoti hay woh kisi na kisi tarha aapko milhi jaati hay.Bas aapko khuda par aitbaar nehi khoni chahiye. Beshak woh apne bando kay liye kya achcha hay woh sabse behtar jaanta hay. Sabko apne hisse ki khushi sahi waqt aane par mill hi jata hay. Roz raat ki tarha aj bhi woh yehi dua mang kar soyi thi ki yeh khushi aise hi barkarar rahe.Kabhi koi gum koi dukh unki qareeb na aaye.Yeh sab sochte sochte kab woh gehri neend may chali gayi use pata hi nehi chala.

Shehnaaz ko neend may dekh kar Sidharth ahista say uthkar dekh raha tha ki woh sach may soyi hay ki nehi. Uske neend may hone ki tasalli millne par wo dheere dheere chalta cupboard ko khol kar apna diary nikaal kar bahar aa gaya.

Usne Diary kay ek page ko khola

Sid: Shukar hay usne yeh nehi dekhi.

Yeh bhi uskika likha ek sher tha.
Gaana gane ki sath sath usme likhne ki salahiyat bhi moujud tha. Par usne aaj tak apni biwi ki ilawa kisi aur kay liye koi sher nehi likha tha. Yeh bhi Shehnaaz ki liye hi Aaj say kuch 3 mahine pehle likha gaya ek sher tha jo uski hasi khushi bhari zindegi tabaho barbad kar sakta tha. Wo usko phar chuka tha.Uspar kuch yun likh tha.

Aarsa ho gayi uss kisse ko
Jo Aaj tak yaado may reh gaya
Teri haat ki bani woh Sev kabab
Jo kar gaya tha mujhko lajawab
Jhoot kaha woh achche the
Andar say woh kachche the
Kya kasoor tha uss murgi ki
Kyu ras may usko dubo diya
Kya gajar sare mar gaye the
Jo phali ka tune halwa kiya
Chalo yaha tak to thik bhi tha
Phir aayi teri woh dish nayi
Tarbooje ki dhamake ki shor
Aaj tak zehen say naa gayi
Akher usine to mauka diya
Jo wada tujhse lay liya
Ha mushkill tha tujhe manana
Ki Zindegi may kabhi khana na banana
Ab sukoon hay mere jivan may
Ki tu nehi jaata hay kitchen may.

Uss safe ko jala kar woh wapas aake so gaya tha.Zindegi waqayi achchi aur haseen thi. Umeed hay humesha rahegi.....

Dhoop mein Barsaat ka yeh Safar yehi khatam hoti hay.Safar bhale hi khatam ho magar unki Kahani abhi khatam nehi huyi.Kyunki Kahani kabhi khatam nehi hoti.Zindegi ki sath sath yeh bhi chalti rehti hay.Ab tak is safar ko inke sath jeene kay liye sabka bohot bohot Shukriye 😊.

Ab tak is safar ko inke sath jeene kay liye sabka bohot bohot Shukriye 😊

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

                           The End

🎉 आपने Dhoop Mein Barsaat को पढ़ लिया है 🎉
Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें