Chapter 27

800 114 10
                                    


Sid's mom:Maine pehle hi kaha tha usse zabardasti mat kare woh khush nehi hay magar aap logo nay meri ek nehi suni.

Sid's Dad:Hume kya pata tha ki woh aise ghar say bhag jaye ga?

Sid's Dadi:Mera pota aisa nehi kar sakta.. Nehi...Zarur kisinse use wargalaya hay....

Sid's fufa:Apke pote nay yeh pehle bhi kia hay saasu maa.Woh pichli baar bhi ghar say bhaga tha.Mene bola tha lekin aap may say kisine meri baat nehi maani.Zarur woh kisi aur ko pasand karta tha.Aap logo kay pressure may aake shadi kay liye ha kiya..

Sid's Daadi:Aisa nehi ho sakta.Agar aisa koi uske life may hota to woh kam say kam mujhe zarur batata.

Sid's Bua:Kahi uski hallucination wala beemari dobara...

Sid's dad:Nehi nehi doctor nay kaha hay ki ab woh thik ho chuka hay aur memory bhi wapas aa hi jayega jaldi.

Sid's mom:Woh kaha gaya hoga?

Flashback of this morning

Sidharth ghar say bahar kay taraf jaa raha tha.Use bahar gate kay taraf jate dekh fufa jee nay use aawaz diya tha.

Sid's Fufa:Kaha ja rahe ho?

Sid:Ek zaruri kaam hay.

Sid's Fufa:Iss waqt shadi say jyada zaruri aur kya ho sakta hay?

Sid:Mujhe...

Sid's fufa:Andar chalo.Mujhe kuch nehi sunna. Pichle baar nikle the to accident ho gaya tha iss baar koi risk nehi lena hume.Use samajh aa gaya tha ki woh use bahar jane nehi denge shayed unhe shak ho gaya tha ki woh bhag raha tha.Woh unke sath andar kay taraf ek do kadam chalta huya soch raha tha tabhi fufa jee ka ek phone aa gaya.Jab tak woh phone pay baat kar rahe the Sidharth car may baith gaya.Unhone jab piche uske taraf dekha woh car start karke ghar kay bahar jaa chuka tha.

Sid's Fufa:Arey koi roko ise yeh bhag raha hay

Woh awaz lagate reh gaye aur woh chala gaya.

Shehnaaz's home

Shehnaaz:Tum yaha...Aaj..to...aaj to tumhari shadi...

Sid:Nehi..May chala aya tumhare pass

Shehnaaz:Magar kyun?

Sid:Kyun ki may kisi aur say shadi nehi karna chahta.

Shehnaaz:Yeh baat tumhe shadi wale din yaad aaye?Agar shadi karna nehi chahte the to shadi kay liye razi kyun huye?

Sid:Kaha tha na mene nay majboor tha.

Shehnaaz:To ab kya huya?Sari majboori khatam ho gayi hay kya?

Sid:Shayed.

Shehnaaz:To yaha kyun aaye ho?

Sid:Shehnaaz...May tumhare pass laut kay aaya hu.Humesha kay liye.Kya tum mujhe dekhkar khush nehi huye?

Shehnaaz: Aur is baat ki kya guarantee hay ke kaal dobaara kisi majboori ki tehet tum phirse mujhe chorke nehi jaoge?

Sid:Nehi jaunga.Kabhi na jane kay liye hi aaya hu.Saath doge mera?

Sid's home

Sid's Dad:Ab Natasha ki Dad ko kya kahu woh bar bar phone kar rahe hay.

Sid's Dadi:Keh do ki Sid ki tabiyaat kharab hogayi hay.Hume thori der lagegi.

Sid's mom:Aur jab kuch der baad bhi hum nehi jayenge tab tab kya kahenge aap?

Sid's dadi:Tab tak hum dhund lenge aur shadi kay liye bhi mana lenge.

Sid's bua:Aur agar woh nehi maana to?

Sid's dadi:Wohi karunga jo pichli baar kiya hay.

Sid's bua:Aako kya lagta hay ki aap phirse uske samne tabiyaat kharab hone ka drama karenge aur woh maan jayega?

Sid's dadi:Woh mera pota hay.Mere liye kuch bhi karega.

Sid's Fufa:Kuch bhi kare lekin shadi to nehi karega kyun ki shadi to woh....He was saying this looking at the entrance.Unke baato say sabka dhyan darwaze ki or gaya to waha Sidharth khara tha.Magar use dekh kar sab shock ho gaya the.Kyun ki woh waha akela nehi tha balki uske saath uski nayi nayi shadi kiya huya biwi Shehnaaz bhi khari thi.Jaise woh log unhe dekh kar shock the waise Sidharth bhi iss baat ko sunkar shock tha ki Dadi nay apni bimari ka natak kiya tha.

Sid's Dadi:Sidharth Yeh larki Kon hay???Kisko utha kay laikar aaye ho apne sath?

Sid:Biwi hay yeh meri.He answered in a rude tone.

Sid's Dad:What nonsense!Tumhara dimag to kharab nehi ho gaya hay?Tum yeh kaise kar sakte ho?

Sid:Waise hi jaise aap log mujhe dhoka day sakte hay.

Sid's fufa:Aab shadi to ho gayi to Natasha ka kya hoga?

Natasha's dad:Meri beti ka kya hoga yeh aap logoko sochnay ki zarurat nehi hay

Natasha ki dad bhi waha aa pohche the.

Sid's daadi:Dekho tum baat suno hum aaram say baith kay koi na koi hal zarur likaal lenge.

Nat's dad:Aap to chup hi kar jaiye Mata jee. May hi pagal tha jo apni achchi vali beti ko aapke iss pagal bete ko dene chala tha.Mujhe pehle hi samajh jana chahiye tha.Vaar may jaiye aap log aur vaar may jaaye mere baap ki akhri khwahish.May apni beti ka aur mazak nehi banana chahta.Aapki aur humari sari rishte aab khatam.Dobara humse rabta karne ki koshish bhi mat karna.Woh gusse say waha say chale gaye.

Sid's dad:Kitni baizzati huyi hay humari.Ab bhi chup raho gay ya kuch kaho gay bhi?

Sid:May kya kahu?

Sid's dad:Kya kahu?Khandaan ki izzat ko mitti may mila kar bhi tum puch rahe ho kya huya?

Sid:Maine kiya kya hay?Aap logo say jhoot bola hay?Aapko koi dhoka diya hay?Maine bass apni marzi say shadi ki hay.Yeh meri zindegi hay aur iski bareme faisle karne ikhtiar bhi mere pass hay.

Sid's Mom:Aap please gussa to matt kare hum aaram say baith kay baat karte hay.

Sid's daadi:Sidharth beta tum apni daadi kay sath aisa kaise kar sakte ho?Mere izzat ka bhi tumne zara sa khayal nehi kiya.Aah..

Sid:Daadi please.Aap apna yeh drama bandh karde.Maine apne kaano say suna hay.Aapne mujhse jhoot bola hay, heart attack ka jhoota naatak kiya hay.Phir kis mu say puch rahi hay aap ki maine aisa kyun kiya?

Sid's daadi:Tum ek bahar ki larki kay samne mujhse iss tarha say baat karogi?

Sid:Yeh bahar ki larki nehi hay.She is my wife.

Unke family ki behes barta hi ja raha tha aur woh log specially Daadi aur Dad Shehnaaz ko accept karke kay liye ready nehi thi.Kyun ki Shehnaaz unki class ki nehi hay.Unki loye uski interior designer ki pehchan ka koi value nehibtha aur uski cafe chalane ki wajah say woh log use cafewali kehke bol rahe the.

Shehnaaz jo ab tak khamosh khari thi ab akher kaar bol pari.

Shehnaaz:Sidharth tumhari family mujhe pasand nehi karta hay.May iss ghar may nehi rahungi.

Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें