Chapter 19

887 98 23
                                    

Aaj may usse phirse mila tha.Uss jaisi batuni larki maine apni zindegi may nehi dekha hay. Lekin phir bhi uski baate sun nay may maaza aa raha tha.

Kaash may tumse dubara na milti. Humari pehli mulakaat hi humari aakhri mulakaat hoti.Par hume dobara to millna hi tha.Mile to hum aaj bhi the magar pehle kay tarha kaha...

(Pehle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
Pehle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o rah-I duniya hi nibhaane ke liye aa)

(Flashback)

Yeh koi haseen ittefaq tha yah qismat ka koi khel jo ek baar phir un dono ko amne samne kar diya tha. Unki rahe ek baar phirsay takrayi jab Sid ko apne office may Shehnaaz nazar aayi. Unki pehli mulakaat ko ek mahine ho gaye the.Sid nay unlogo kay khilaf police complain kiya aur woh log pakre ja chuke the. In sab kay wajaz say uske office kay kaam thora slow ho gaya tha aur ab finally iska constraction ka kaam khatam huya tha. Usne filhaal apni office ki interior design karne kay liye ek designer ko bulaya tha. Shehnaaz by profession ek interior designer thi aur yeh uska pehla project tha.Sid ko dekh woh hayran ho gayi.
Shehnaaz:Arey tum?Kaise ho?Aur yaha kya kar rahe ho?Kya tum yaha kaam karte ho?Kaisa hay tumhara boss?Maine suna hay office kay bosses bara kharoos hota hay. Yaha ka boss to aisa nehi haina? Waise huya tab bhi mujhe kya? Mujhe konsa yaha humesha kaam karna hay?
Shehnaaz pichli baar ki tarha iss baar bhi ek sath itni sari sawal karne lagi aur Sid isse pehle use koi jawab deta uska PA Anand waha aaya.
Anand:Yeh hay Miss Shehnaaz Gill.
Sid:I know.
Anand:Ms Gill aap ki baat ho gayi insay?
Shehnaaz:Insay to baat Kabka ho gayi.Ap Apnay boss ko bulao.Unse baat kiye bagair may apna kaam kaise shuru karu.Mujhe kabse yaha pay bitha kay rakha hay aapne. Tumhi batao Sidharth ye galat baat hay ki nehi? Mujhe 11 baje ka time dia hay aur abhi 12 baznay ko hay par inke boss ka to koi khabar hi nehi hay.Mana ki woh iss office kay boss hay bohot busy honge par mere waqt kay bhi koi value hay ki nehi?May kya pura din yaha unke intezaar may baithi rahungi? Kya huya aap kuch bolte kyu nehi hay abhi?Shehnaaz nay Anand say pucha.
Anand:May to kabse bolnay ki koshish kar rahi hu par aap bolne ki waqt day to na.
Shehnaaz:Kya bolne ki koshish kar rahe hay?Jake dekhiye aapke boss kaha reh gaye. Anand:Arey yehi to hay humare boss.Usne Sid kay taraf ishara karke bola to Shehnaaz ko samajh may aaya ki woh aab tak usike samne usko bate suna raha tha.
Shehnaaz:Tum boss ho?Pehle kyun nehi bataya?Woh thora embarrassed andaz may boli.

Sid jo ki aabtak khamosh khara tha finally apna muh khola

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Sid jo ki aabtak khamosh khara tha finally apna muh khola.
Sid:I'm sorry for being late. Sid ko maafi mangta huya dekh uska PA bara hayran ho gaya.
Shehnaaz:Koi baat nehi
Sid:Meeting shuru kare?
Shehnaaz:ha...To batao aapko kis yarha ka design chahiye thora classical yah phir modern? Woh ek catalog may say kuch designs Sid ko dikha rahi thi. Waha say Sid nay ek final kiya par use usmay say kuch changes karwane the.Shehnaaz nay sara kuch note kar liya aur aapna kaam start kar diya.Woh roz uske office may aake apni staff members say sara kaam karwata tha.Sid kay office ka ek hissa pehle say hi ready tha jaha woh kaam karta tha.Yeh usi buliding ki ek aur floor tha jo pehle kuch aur huya karta aur iss waqt isiko office may tabdeel kiya ja raha  tha. Sid roz aake yeh sab monitor bhi karta tha. Shehnaaz apni nature ki mutabik Sid say bohot jyada ghul mill gayi thi.Halaki Sid khud usse itna jyada baat nehi kiya karta th magar woh Shehnaaz ko rokta bhi nehi tha kyun ki woh khud bhi uski baato ko enjoy kia karta tha. Shehnaaz aaye din off time may Sid kay cabin bhi aa jaya karti thi.

Shehnaaz akeli thi.Bachpan may hi uski maa ki death ho chuki thi aur kuch arsa pehle uski baap ka aur uski koi bhai behen bhi nehi tha. Ha ek dost thi jiski bate woh aksar kiya karti thi,Ananya.Bahar say dekhne say Shehnaaz ki zindegi chahe jitna bhi dukhi aur khali kyun na lagti ho par woh apni uss choti si duniya may bhi bari hi khush raha karti thi.

Sidharth ki zindegi iss mamle may bhi Shehnaaz say kaafi mukhtaleef tha.Bahar say dekhne may Sidharth ka life perfect say bhi perfect kyun na lagta ho magar andar say sab kuch bara khokhla sa tha.Kyun sab kuch hone kay bawajood woh khush nehi tha. Bachpan say hi parents ki shakti bhari lehza, har cheese may apne decisions uske upar thopna,Uske dreams ki qadar na karna,usko waqt na dena,Parents kay khilaf iss tarha kay lakho shikayat bachpan say hi uske mann may tha jisski wazah say woh bohot chup chap sa hota gaya. Woh boarding school may parta tha aur phir higher studies bhi usne abroad say kiya tha.Issiliye family kay sath uska kabhi achcha bond ban hi nehi paya tha aur in sab ka hi asar tha ki woh hadd say jyada inrtrovert ban gaya tha. School kay baad uska uss tarha say dost bhi nehi bana tha kyun ki usko samajh ne wala koi shayed use abtak mila hi nehi tha.

Aise do mukhtalif shakhs jab apas may takraye to koi unke dastaan gair mamuli to nehi ho sakte hay na. Shehnaaz ko uske duniya jahan kay befizool si baate sunne wala koi mill gaya tha aur Sidharth ki us ke zindegi ki khalipan ko bharne aur khamoshi ko torne wala koi mill gayi thi.










Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें