Chapter 21

833 94 29
                                    

May tumhe humesha haste dekha hay aur may tumhe aage bhi haste muskurate huye khush dekhna chahti hu Shehnaaz chahe tum kahi bhi kisi kay bhi sath raho...

Tum waqayi budhdhu ho.Usdin mujhe yakin aa gaya tum waqayi mere baato ko dhayn se nehi sunte the.

(Flashback)

Shehnaaz ki shadi kay baat say Sid ki aakho say jaise nind hi gayab ho gaya tha.Woh bohot pareshan ho gaya tha.Pata nehi use aise ajeeb sa kyun feel ho raha tha. Shehnaaz shadi kar rahi hay yeh to achchi baat hay use uske liye khush hona chahiye par woh khushi nehi mehsus kar raha hay. Uske bohot dukh ho raha tha.Itna ki use rone ka dill chah raha tha.Shehnaaz kisi aur say shadi karegi yeh sochne say hi use takleef ho raha tha.Woh itne dino say uske liye jo mehsus kar raha tha magar samajh nehi pa raha tha woh ab uske samne clear ho gaya tha.Magar ab kya fayda?Woh to kisi aur say....Do din ki khushiyan leke woh uske zindegi nahi aati to behtar hota...

Sidharth ko chahe jitna bhi takleef kyun na ho woh apne commitment ka bara pakka tha aur apne jasbaat chupane may to woh maahir tha hi.Woh apne gum ko chupaye thik 12 baje registry office pohoch gaya tha. Shehnaaz waha pehle say hi apne hone wale pati kay sath moujud thi.Woh kaafi khush lag rahi thi.Woh ek bohot hi simple sa red lehenga pehni huyi thi aur bohot hi halka sa makeup kiya huya tha lekin phir bhi woh bala ki khubsurat lag rahi thi.Usne sar pay bhari sa laal dupatta ora tha aur dikhne may bhi dulhan ki tarha hi lag rahi thi.Woh us larke say baat kar rahi thi jab uske nazar Sidharth pay pari.
Shehnaaz:Are aa gaye tum.Woh chair say uthke uske pass aayi.
Sid:Ha.Congr..
Shehnaaz:Isse milo yeh Aakash hay aur Aakash yeh Sidharht hay mera...
Aakash:Pata hay pata hay yeh Sidharth hay tumahari bohot achcha dost hay aur jo tumhari ek call par hi yaha aane ko taiyaar ho gaya hay aur tum use...

Shehnaaz ki hone wala pati bhi usiki tarha batuni hay.Agar dono hi itni baate karte rahe to sunega kon?Aur yeh to height may bhi Shehnaaz say chota lag raha hay.Iske saath shadi hogi to Shehnaaz to kabhi bhi heels nehi pehen payegi.Yeh to bohot hi mismatch lag raha hay pata nehi Shehnaaz ko isme kya dikha,Sid thought.
Aakash:Hello I'm Aakash Saluja.Actually iski mu say apki baate itna sun chuka hu ki lagta hay jise ki may bhi apko janta hu.
Sid:Hi.They shaked their hands.
Shehnaaz:Yeh Ananya kah reh gayi..Issko aaj kay din bhi patient dekhni thi...Uff
Shehnaaz bohot betab ho rahi thi.Itni jaldi thi usko shadi ka.Itna pyaar karta hay woh iss shakhs say.Sidharth ko iss waqt Aakash duniya ka sabse khush naseeb insaan lag raha tha kyun ki use Shehnaaz jo mill ne wala tha.Aakash ko registry officer nay kisi kaam say bulaya tha.Sid apni chehre pay bina koi tasoor liya waha khara tha jab Shehnaaz nay usse pucha
Shehnaaz:Tumne bataya nehi may kaisi lag rahi hu?
Woh aaj shadi kisi aur say karne ja rahi thi phir bhi woh usse say yeh janna chah rahi hay ki woh kaisi lag rahi hay?''Achchi lag rahi ho'',Sid said.
Tabhi waha Ananya bhagti huyi waha aayi.
Ananya:Sorry yaar may late ho gayi.
Shehnaaz:Koi baat nehi late kis baat ka.May to shukar mana rahi hu ki tum aayi to sahi. Mujhe to laga tha shayed tum shadi ki baad aayogi.
Ananya:Shut up.Patients ko dekhna bohot zaruri tha.Akash kaha hay?
Shehnaaz:Woh raha.
Akash:12 baaj rahe hay abhi?
Ananya:Sorry.
Shehnaaz:Sachme tum agar 5 minute aur late karti na to humne hi shadi kar laini thi. Hay na Aakash.
Ananya:Achcha?Phir tumhare unka kya hota? Ananya nay Sid ki taraf ishara karti sargoshi may Shehnaaz ki kaan may boli jisse Shehnaaz ka chehra ekdam surkh ho gaya.
Shehnaaz:Abhi late nehi ho rahi?Tum dono aaj hi kar rahe ho na shadi?Aur yeh lo apna dupatta pakro.Usne jab apna dupatta Ananya ko diya aur khud side say ek simple say dupatta pehna tab Sid ko samajh may aaya ki yaha Shehnaaz ki nehi Ananya ki shadi ho raha hay.Achanak usko laga ki uske uoar say koi bojh hatt gaya aur uske jaan may jaan aya. Woh asal may hi ek gadha hay.Agar yeh Shehnaaz ki shadi hoti to Shehnaaz kal tak uske saath thori na ghumti?Aur kya yeh mumkin tha ki itni bari baat Shehnaaz use kabhi share nehi karti?Witness box may sign karte karte usne socha.Shadi kay baad Sid ko ek khayal aaya to usne pucha
Sid:Tum logo ki family?
Shehnaaz:Bohot khunkhaar hay.Yeh bhaag aaye hay ghar say.Inke dhundta woh log kisi bhi waqt aate hi honge.Shadi ki witness hone par woh tumhe bhi dhamka sakte hay par tum ghabrana nehi.May hu na may sab kuch sambhal lungi...
Ananya:Phir say shuru ho gayi tum?Aisa kuch bhi nehi hay Sidharth woh actually humari families ki bich kuch unbaan hay isiliye..
Shehnaaz:Isiliye inhone chupke shadi karli aur ab jake apne ghar walo ko jhatka dene wale hay.Waise to mujhe yeh manjar dekhne ka bohot shaukh tha magar afsos mujhe office ki ek zaruri kaam hay to ab tum log bhi ghar jaao.Best of luck aur ha mujhe details may batana ek ek baat.May phone karungi usne phirse mazak shuru kar diya tha.

Tumhare chehre pay yeh udasi yeh gum bilkul achchi nehi lagti.Tum sirf hansti huyi achchi lagti ho.

Tum waqai achi larki ho,
Ya mujhko achchi lagti jo
Chehre ki udasi door karo,
Aur jee apna ranjoor karo
Ab kin baaton may khoyi ho,
Ab kin soochon may dubi ho,
Chehre ko zara uthao to
Aankhe bhi char karo
Chehre ki udasi karo,
Tum hansti achi lagti ho,

Usse kisiko bhi mohabbat kyun na hoti jo bina kuch kahe mere gum,mere udasi samajh jaya karta tha.Tum to kehte the may humesha hansti achchi lagti hu.Dekho aaj may ro rahi hu.Aaj bhi tum ussdin ki tarha mere aanso pochne kyun nehi aarahe ho?

(Kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.
Jaise tumhen ate hain n ane ke bahaane
Aise hi kisi roz na jaane ke lie aa....)

Flashback

Shehnaaz kitni udas thi usdin jab uska janam din tha aur uske sath uska aapna moujud nehi tha.Woh apne papa kay wo sara din bahar ghumti thi.Kitna miss karti woh yeh sab kuch.Uske iss birthday pay woh akeli nehi thi.Sidharth tha uske sath phir bhi woh udas thi.Humesha ki tarha aaj uska chatter box on nehi tha.Uski yeh khamoshi Sid ko achcha nehi lag raha tha.

Sid:Tum udas ho?
Shehnaaz:Nehi to.
Sid:Phir itni chup chap kyun ho?
Shehnaaz:Kuch nehi bass Papa ki yaad aarahi hay.Pata hay woh humesha mujhe apni birthday pay amusement park leke jate the.Hum sara din ghumte the...uske akho may nami aa rahi thi.

Shehnaaz ki akhomay yeh nami woh kaise bardasht karta?

Sid:Chalo..
Shehnaaz:Kaha?
Sid:Kahi bahar chalte hay.Tumhara mood bhi achcha ho jayega.
Shehnaaz:Kya yeh tum keh rahe ho?Aaj suraj magrib say to nehi nikla?Sidharth Shukla.. mujhe...Bahar ghumne jane ki offer kar raha hay!
Sid:Bass bass itna react karne ki zaruarat nehi hay.Jaldi say ready ho jayo isse pehle ki mera irada badal jaye.

Uski akho ki nami gayab thi ab uski akho may jo khushi ki leher nazar aa rahi thi use dekh Sidharth bhi khush huy tha.

Shehnaaz:Sidharth may konsi dress pehnu?ya wala ja phir yeh wala?
Sid:Yeh siyah rang tumpe sabse jyada achcha lagta hay.

Shehnaaz:Sidharth yeh hum kaha aaye?
Sid:Wohi jaha tumhe jaana tha.

Woh usko amusement park leke aaya tha Shehnaaz ko yakin nehi aaya.

(Bhaagte inn nazaron mein
Hai ye kaise pal thehra huaa
Bhatke se hum, bhate kadam
Mehka hai jaise ruaan ruaan
Na hi socha na hi samjha
Bas karne ko main chala
Abhi toh mann mere paas tha
Kab behka kab talaa
Bina bole jo nazar keh jaaye
Haule haule dil ko dil se milaye
Jaane jaana mujhe behka na)

Rolar coaster pay baithke Shehnaaz zor zor say chilla rahi thi.
Shehnaaz:Aa....Sidharth....Sidharth may gir jaungi aaa...Mujhe darr lag raha hay...
Sid:Mai hu na mera hath pakar lo may tumhe girne nehi dunga.Usne uske haat ko mazbuti say pakra huya ek pal ko uske taraf dekha. Uske akho may use apne liye mohabbat saaf saaf nazar aa raha tha.

(Jo sahare dhundta tha
Woh kinare aa laga
Tanha tha dill akela
Wo kisise ja laga
Bina bole jo nazar keh jaye
Haule haule dill ko
Dill say milaye
Jaane jaana mujhe behka na)

Papa kay jane kay baad yeh Shehnaaz ka pehla Birthday tha jo itna achcha guzra tha.
Sidharth uska kitna parwa karta hay.Uske saat waqt bitana usse baate karna use bohot achcha lagta tha.Woh sabse bohot jyada ghul mill jati hay magar kisikay sath uska itna frank rishta nehi tha jitna Sidharth Shukla kay sath tha.Woh sabse mukhtalif tha.Use dekh Shehnaaz ki dill may pata nehi kya hota hay.Jab woh pehli baar use sarak pay jakhmi halat pay mila tha Shehnaaz ko use dekh kay hi usse bohot apnaiyat mehsus huya tha.Tabhi to apni jaan ki parwa kiye bagair use bachayi thi aur apne ghar bhi le aayi thi.Jab woh usse baato may masroof ho jata hay us waqt Sidharth ka use ghoor ghoor kay dekhna use achche say samjh aata tha.Apna sara kaam chorke uski ek call pay uska hazir ho jana,Uska uski taraf yeh gair mamuli tawazza yeh sab kuch Shehnaaz kay dill may uske liye jo feelings hay isme aur izafa karta tha.Usdin Ananya ki shadi ki din woh yeh soch kay baitha tha ki Shehnaaz shadi kar rahi hay,Bawla kahika kis tarha say mu bana liya tha usne Aakash ko dekh kay. Jab yeh Shehnaaz ko pata chala to woh kitna hassi thi.














Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें