Chapter 28

992 106 30
                                    

Shehnaaz:Sidharth may yaha nehi rahungi.
Sid's dadi:Achcha hay.Khud hi Chali jao tum yaha say.Hum konsa tumhe yaha rakhne wale the.
Sid:Shehnaaz tum..
Shehnaaz:I can't tolerate this insult.May tumhari property kay liye tumse shadi nehi ki hay.Tumhari family ko may laalchi lagti hu??
Sid's dadi:Lagogi kyun?Tum ho waise.Kaha tumhari koi cheap third class sa cafe aur kaha yeh mehlo jaisa ghar.
Shehnaaz:Aap kuch bhi soche mujhe isse koi farak nehi parta.May aapke sath rehna bhi nehi chahti.Sidharth please chalo yaha say.
Sid's dad:Sidharth kaha jayega?
Shehnaaz:Mere ghar aur kaha?Obvious si baat hay ki Agar May yaha nehi rahungi to woh bhi mere sath jayega.
Sid's daadi:Sidharth apna ghar chorke kyun jayega?Larki tum hosh may to ho.Kya bakwas kar rahi ho?
Shehnaaz:Bakwas?May kyun bakwas karne lagi.Sidharth ab pati hay mera.Haq hay mera uspe.Jaha marzi lay jaungi.Sidharth tum apna saman lelo.Phir hum yaha say chale jayenge.
Sid's dadi:Noo...
Shehnaaz:Yes....
Sid's daadi:Nehi....Mera pota apna ghar chorke ek cafewali ki sath rahega!Unko khare khare aage ka ek bhayanak manzar apni aakho kay samne dikhne laga

Dadi's Thought 💭 💭💭:

Sidharth ek waiter ki dress pehenkar ek choti si cafe may logo ko coffee serve kar raha hay aur Shehnaaz cash counter pay baithkar notes gin rahi hay aur Daadi ki look day rahi hay..Nehi aisa nehi ho sakta...

Sid's mom:Khamosh ho jaao sab.Koi kahi nehi jayega.Jaise bhi ho shadi to ho gayi na unki.Aab hum kya kar sakte hay.Sidharth ki life hay woh behtar janta hay.Mujhe apni bahu say koi problem nehi hay.Yeh log yehi ragenge.
Sid:No mom.May waha nehi rahungi jaha koi mere biwi ki izzat nehi karta.

Sid's bua whispered in daadi's ear.
Sid's bua:Mummy yeh larki to aate sath hi Sidharth ko humse dur kar diya hay.Aap abhi iss tarha react mat karo.Chup chap maan jao. Warna Sid humesha kay liye haato say gaya samjho.
Sid's daadi:Tum kya kehna chahte ho?Iss do kauri ki larki ko may accept karlu?Kabhi nehi aur tumhari bhabi ko to dekho zara.Kaise bahu bahu kar rahi hay.Isski to may baad may dekhungi..
Sid's bua:Mummy...Hosh ki nakhun lo.Kisne kaha hay accept karne ko?Abhi kay liye bas thora naatak karlo.Baadme hum bhi dekh lenge kitne din tikegi yeh yaha.Abhi bas Sidharth ka socho.

On The other hand Sid's mom's Monologue:

Sasu maa zindegi bhar aapne apni manmani ki hay.Mere bete ko mere hi khilaf bharkati rahi hay.Abhi bhi uski zindegi ki faisle may dhakhal andaazi karengi.Aab aisa nehi hoga. Aab meri bahu ghar aagayi hay. Isko may apni team may shamil karlungi.Ab jab Sidharth bhi aapse dur ho jayega jiss tarha apne use mujhse dur kiya tha tab mere dill ko bhi thandak pohchegi...

Sid's dadi:Theek hay.Sabne faisla karhi liya hay to may kyun khamkha buri banungi.
Vaise bhi meri khushi mere pote kay khushi may hi hay.Mujhe koi problem nehi hay iss shadi say
Sid:Daadi...Mujhe pata tha koi mujhe samjhe na samjhe aap mujhe zarur samjhengi.

Shehnaaz:Kisi ko koi problem naa bhi ho tab bhi mujhe jana hoga.
Sid:Magar kyun?
Shehnaaz:Aarey budhdhu mere sara saman to wohi reh gaya na.Woh sab laane to jana hi parega na.
Sid:Oh ha chalo...

After SidNaaz left..

Sid's mom:May jaake saari taiyaari dekhti hu.
After all bahu ghar aayi hay.
Sid's fufa:Wah sasu maa.Aapka bhi kya hi kahu.Jiss pote ko lekar itni ghamand karti rahi akher usine dhool chatwayi aapko.Aaj sasur jee zinda hote aur aapki yeh shakal dekhte to bara khush hote.
Sid's daadi:SHUT UP

Shehnaaz aur Sidharth ki Reception party thi jaha pay bohot saare guest aaye huye the aur obviously sabke dill may ek hi sawal the ki Natasha ki sath shadi kyun nehi huyi aur yeh Shehnaaz kaun hay.Isse Daadi ko bhi Shehnaaz ko insult karne ka ek mauka mill gaya tha.Aisa daadi ko lagatha lol 😂. Unko laga woh Shehnaaz ko uski unse gareeb aur middle class hone ki taane dengi jisse woh low feel karegi.Magar yeh bhi Shehnaaz thi.
Uski aage kabhi kisiki chali hi kab thi.Woh to unki kehne say pehle hi sabko khud hi say apne bareme keh rahi thi.Daadi khud insulted feel karne lag gayi thi.Aur yeh sab koi Shehnaaz jaan buch kar nehi kar rahi thi balki woh to thi hi aisi bholi aur batuni.

Few months later

Sidharth ka family bohot dino kay baad unlogo say millne Delhi aayethe.Inn kuch mahino may bohot kuch badal gaya tha.Sid ki parents Shehnaaz ko dill say apna chuke the kyun ki woh thi hi bohot pyari.Aur rahi baat daadi ki to woh usko sabak sikhane ki chakkar may thak kar aab apni harkato say baaz aa chuke the.

Iss waqt sab log dining table pay baithe dinner ka wait kar rahe the.Shehnaaz nay khud sara dinner ka inteezam kiya tha.

Sid's daadi:Mujhe to laga tha yeh larki bohot chalak hay magar isse jyada bewakoof to maine aaj tak nehi dekha

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Sid's daadi:Mujhe to laga tha yeh larki bohot chalak hay magar isse jyada bewakoof to maine aaj tak nehi dekha.Pata nehi kaha say yeh bewakoof mere pote kay pale par gayi.
Sid's bua:Mummy kash..Kash mere bete kay pale bhi Shehnaaz jaisi koi larki par jati. Kamse kam yeh chalaaki to nehi karti meri bahu ki tarha.
Sid's daadi:Ha woh baat to sahi hay.Par tum chinta mat karo.Yaha say tumhare ghar hi jaungi may phir usko bhi sidha kar dungi.

Sid's dad:Beta aaj tumne yeh banaya kya hay?
Shehnaaz:Yeh...yeh chicken rasugulla hay. Kaisa bana hay?
Sid's dad:CHICKEN RASGULLAH 😨😨😨
Shehnaaz:Mummy aap bhi try kijiye na.
Sid's mom:Ha...Ha ha leti hu..
Shehnaaz:Daadi aap kyun nehi lerahi kuch?
Daadi:Woh aaj Tuesday hay na to may aajke din protin nehi le sakti.Pandit jee nay kaha hay hay na.
Shehnaaz:Par aapne dupeher ko bhi to chicken khayi thi.
Daadi:Ha to sirf raat ko nehi kha sakti na.Tab to din tha.Tum ek kaam kyun nehi kart tum Sidharth ko kyun nehi khilati thik say.Dekho na woh to kuch kha hi nehi raha.
Shehnaaz:Arey ha tum kyun nehi kha rahe?Kya achcha nehi lag raha?
Sid:Nehi may kha to raha hu aur bohot achcha bhi bana hay..
Shehnaaz:Aur lo na..

Sid's dadi to his bua:Ekdam achcha huya hay iske sath.Mere khilaf jake isse shadi kiya tha na ab yehi iski sazah hay.Shehnaaz ki bana special dish zindegi bhar ise hi khana hoga.

Shehnaaz:Aap kaha ja rahe hay dad?
Sid's dad:I'm full
Shehnaaz:Arey may to apna special dish layi hi nehi.
Sid's mom:Abhi aur bhi koi special dish reh gaya hay?
Shehnaaz:Ha...Woh maine bake hone ko rakhkha hay.Abhi leke aati hu.

Shehnaaz ki jane kay baad

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Shehnaaz ki jane kay baad

Sid's mom:Sidharth may pehle hi bol rahi hu. Wo jo kuch bhi laye tu khayega.
Sid's dad:Pehle mujhe lagta tha teri maa hi sabse wahiyat khana banati hay.Shehnaaz ki haat ki khana khane kay baad teri maa ki haat ka khana bhi achcha lagne laga hay mujhe.
Sid:Dad...
Sid's bua:Waise suna hay usne teen ghante watermelon ko bake karke kuch bana rahi hay.Itne der say pata nehi kya bana rahi hogi iska?
Sid's daadi:Jo larki apne pehle rasoi may phali ka halwa 🍮 banati hay aur Chicken rasgulla, Apple 🍎 ki kabab aur Strawberry 🍓 ki Manchurian jaisi ajeebo garib dishes bana sakti hay woh Tarbooje 🍉 ki bomb hi bana sakti hay.

Achank say Kitchen say ek joordar dhamake ki awaz aayi jisse sabhi table say uthke kitchen ki taraf bhagne lage.

Kitchen may say jo zordaar awaz aayi woh oven ki blast hone ka tha.Sabhi kay chehre pay udasi chayi huyi thi.Daadi aur bua ki dukh bhare chehre ki piche chupi khushi ki tasoor thori thori der me uvar rahe the.Par Iss dhamake ka sabse jyada khushi unhe nehi kisi aur ko huya tha.
Sidharth nay usi waqat ek faisla kar liya tha...


Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें