Chapter 16

885 96 18
                                    

Sidharth apne akho kay panno ko kisi bhi tarha ek nehi kar pa raha tha use baar baar aaj ke huye waqiyat yaad aa rahe the.Kaise usne use waha say wapas bhej diya tha yeh bolke ki woh use nehi jaanta thi hay.Phir bhi use lag raha tha ki woh jhut bol rahi hay.Uski kahi huyi zumle uske kaano gunj rahe the, ''May kisi Sidharth Shukla ko nehi janti''.Uske baato may jaise bohot si shikwe the shikayate the.

(Karte hain hum aaj qabool kya keeje
Ho gayi thi jo humse bhool kya keeje
Dil keh raha usse mayassar kar bhi aao
Woh jo dabi si aas baaki hai
Woh jo ruki si chaah baaki hai)

Magar..Agar woh use nehi jaanti nehi thi toh phir use uska naam kaise pata chala?Usne to use uska naam nehi bataya tha.Woh jhut bol rahi thi.Par kyun?Kya use usse jake puchne chahiye.Magar woh agar usse millna nehi chahti to woh kis haq say waha jaye. Pata nehi uska isse aisa konsa rishta hay. Akher lagti kya thi wo uski?

Iss waqt ghar may bohot jyada chehel pehel ho raha hay.Shadi ki joro shoro say ho rahi taiyari chal raha tha.Uske qamre ko Natasha ki pasand say phirse decorate kiya ja raha tha. Kyun ki uske room may kaam chal raha tha isiliye woh kuch dino kay liye dusre room may reh raha tha.Raat ka waqt tha aur woh abhi office kay kuch kaam may busy tha jaab  mulazim uske qamre may dastaq de raha tha
Sid:Kya hay?
Maid:Sahab aapke room say kuch saman nikla hay.Bari mem sahab nay kaha tha aapko dikhadu ki jin sab cheesso ki zarurat nehi woh saman raddi may day du.Wo uske room may gaya tha.Magar waha pay utne ehem koi cheese nehi nazar aa raha tha jo use chahiye hoga.Par waha pay ek bara sa sandook bhi tha.Yeh uske qamre may kya kar raha hay.Yeh kiska hay?Usne mulazim say pucha to usne bataya ki yeh uske qamray ki almari say nikla hay.Usme taala laga huya tha. Use yaad nehi tha ki isme usne kya rakha hay.Koi important saman ho sakta hay yeh sochke usne ise apne pass rakh diya tha. Kyun ki usme taala laga huya tha aur chabi uske pass nehi tha to woh use foran khol nehi paya.Usne socha agle din woh kisi tale wale ko lake iss chabi banwa lega.

Woh iss waqt Dr.Ananya kay pass aaya tha. Wo usse kuch sawalat kar rahi thi.Usne usko bata diya tha ki woh Shehnaaz ki pass phirse gaya tha
Ananya:To waha kya huya?
Sidharth:Magar usne mujhe nehi pehchana.
Ananya:Kya pata Sana ka bhi memory loss ho gya ho?Usne mazakiya andaaz may bola tha.
Sid:Wo jhut bol rahi thi.
Ananya:Tumhe kaise pata?
Sid:Usne mujhe mere naam say bulaya tha magar maine use apna naam nehi bataya tha.
Ananya:Isse to yehi lagta hay ki use dhang say jhut bolna nehi aata.Aaj uska mood kaafi achcha lag raha tha.
Sid:Shayed.Par usne mujhe jhut kyun bola hoga?
Ananya:Kya pata uski bhi koi majburi rahi ho. Tumne dobara waha jane ka socha?
Sid:Nehi may waha dobara nehi jayunga. Mera nehi khayal ki mujhe kisiko bhi iss trha pareshan karna chahiye.
Unka aj ka session khatam ho chuka tha. Ananya use kal phirse aane ko bol rahi thi jab Sid nay use mana kar dia.
Sid:May nehi aa sakta kal.In fact may shayed ek hafte tak nehi aa payunga.
Ananya:Busy ho bohot?
Sid:Actually kal meri shadi hay.
Uske shadi kay baat say Ananya ka chehre ka jaise rang urr gaya tha.Kya woh uske shadi ki baat sunke khush nehi huyi thi,Sid thought.
Ananya:Shadi?
Sid:Ha..May Tumhe bhi invite kar raha hu.I know humara sirf patient-doctor relation hay par agar tum aayoge to mujhe bohot achcha lagega.
Ananya:Hmmm...Ha zarur kyun nehi.

Ghar lautnat kay baad Mulazim nay Sid ko ek chabi 🔑 (No Yeh Rash ki ghar ki chabi nehi hay) pakraya tha.Yeh uss sandook ki chabi hay jo usne subha chabiwale ko laake banwane ko bola tha.Woh use laykar apne qamrey may aagaya.
Woh bohot thak gaya tha to issiliye thori der sona chahta tha.Jaise hi usne akh bandh kiya ek awaz yski kaano may gunza
''Sidharth, tum isse shadi karoge?Mera kya hoga phir?Promise karo ki tum Natasha say shadi nehi karoge,Sana ki yeh zumle uske kaan may gunj rahe.Woh foran bed say uth gaya.

Din bhar sare patients ko dekhnay kay baad Ananya bohot gusse may kahi ja rahi thi. Uska mood bohot kharab tha.Usne jaisa socha tha cheese bilkul waise nehi ho raha tha. Use Sidharth pay bhi shadeed gussa aa raha tha.Woh aise kaise shadi kar sakta hay?Woh bohot tez raftaar say gaari chala rahi thi.

Sidharth ko abhi nind nehi aayega. Woh uthkay baith gaya tha.Aaj bohot dino kay baad bhi usko Sana ki yaad bari shiddat say aata tha.Kyu chali gayi Sana?Kya Tum waisi hi humesha nehi reh sakti thi mere sath?Tumne to mujhe kaha tha ki tum mere picha zindegi bhar nehi choroge.Use humesha Sana ki bareme sochnay par uska woh Hasta huya chehra yaad aata tha magar aaj jab usne akhe bandh kiya ti use usdin cafe may mili Shehnaaz ki shakal nazar aa raha tha. Uski woh bezar si shakal,ansoo o say bhara uski akhe.Akher kyun jhut bol rahi thi woh usse. Kya wo uske liye itni ehem nehi tha jise woh yaad rakhti.Tabhi usne use nehi pehchana. Par use aisa kyun lagta hy ki woh uske zindegi may koi ehem shaks thi issiliye usse uske khayalat aate the.Yeh sab sochte sochte uske nazre us sandook pay para.

Usne socha ki woh abhi use kholkay dekhlay ki usme kya hay

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Usne socha ki woh abhi use kholkay dekhlay ki usme kya hay.Jaise hi usne usko khola uske andar ki cheesso ko dekhkar woh hakka bakka reh gaya tha.

Jaise hi usne usko khola uske andar ki cheesso ko dekhkar woh hakka bakka reh gaya tha

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।


Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें