Chapter 11

930 105 19
                                    

Raat ka waqt tha aur uss sarak pay haywat naak andhera tha jaha Sidharth jhakhmi halat pay daur raha tha..Uske haat aur sar say khoon nikal raha tha.Uske piche kuch gunde pare huye the.Woh madad kay liye chilla bhi na saka.Tez kadmo say bhag ta huya woh uss jagah say jaldi nikal na chah raha tha. Bhagte Bhagte wo achanak kisi say bohot zor say takraya aur behosh ho gaya.

Bechaini say woh qarvat badalne laga aur uski aakh khul gayi.Usne apne charo taraf nazre ghumaya.Use apni charo or andhera nazar aa raha tha magar yeh jagah uska jana pehchana tha.Woh apni room ki bed pay tha aur Sana uski baaju pay gehri nind may thi. Usne phirse yeh darawna khwab dekha tha. Kuch dino say use issi tarha kay darwane khwab bohot pareshan kar raha tha.Uski jisam paseene say bhiga huya tha.Uske sar may shadeed dard ho raha tha.Pichle kuch hafte say jab bhi usse yeh khwab aata uske sath sath uske liye migraine ka pain bhi lata tha.

Iss dard kay wazah say woh pichle do dino say office bhi nehi gaya tha.Yeh dard uske liye din ba din na qabil e bardasht hota ja raha tha par use ek baar bhi doctor kay pass jane ka khayal nehi aaya tha.Iss waqt Sana uska sar daba rahi thi jab uske room may uski maa ayi.She wanted him to visit Mumbai but when she found out that he is not well She came to Delhi.But What is wrong with him?she couldn't understand.
Mom:Sidharth..Yeh tu kis say baat kar raha hay?
Sid:Mom mere sar may bohot dard ho raha hay to Sana ko keh rahi thi ki woh mera sar daba day.
Sid:Sana?Sana kon hay?
Sid:Yehi to hay apke samne mom.Woh ab aise halat may pohoch chuka tha ki ab woh yeh baat kisise chupa nehi raha tha balke ise ek hakikat samajh chuka tha.
Mom:Yaha to koi nehi hay.Tu kya keh raha hay?
Sid:Mom ap dekho yeh rahi Sana.Ap kyun nehi dekh pa rahi ho.Ap koshish karo to woh aapko zarur dikhagi hayna Sana.
Sana:Ha mom yeh dekho may yehi hu.Yehi aapke saamne.
Thushhhhhhhhh...................
Sid ki Mom behosh ho gayi.

Sidharth ka pura family including his mom, dad, dadi,bua,fufa jee (aur koi baad raha to woh bhi aa jayenge tension na lo) sabhi ghar may moujud the.Woh sab Sid say yehi janna chah rahe the kay ussko akher huya kya hay woh aise ajeebo gareeb baate kar kyu raha hay.

Sid:Aap logo ko dekh kar Sana darr rahi hay kya aap log please thora normal reh sakte hay.
Dadi:Haye yeh kya ho gaya mere ek laute pote ko?Kiski nazar lag gayi?
Mummy to hosh ane kay baad say hi roye ja rahe hay aur bua unhe tasalli day rahe hay ki sab kuch thik ho jayega.Doctor ghar may aaye the aur woh Sidharth say baat kar rahe the.

Dad:Woh yeh sab kyun keh raha hay doctor?
Doc:Maine to pehle hi kaha tha ki jiss tarha ka uska accident huya hay usse uske dimag may koi na koi asar zarur parega.Lekin meri batoko nato tum logone sanjeedgi say liya aur nahi Sidharth nay.Aisa to hona hi tha.
Mom:Aap please khul kay batayiye ki kya baat hay.
Doc:Usse baat karke maine jitna samjha hay ki woh kisi larki ko dekhta hay baat karta hay jisse woh pehle nehi janta tha.Woh larki pura waqt uske sath hi rehta hay aur yeh aaj kal ki baat nehi hay.Woh yeh sab bohot dino say hi experience kar raha hay lekin pehle woh kisise yeh kaha nehi.Actually dimag may chot lagne say bohot si patient ko aise hallucination hote hay.
Mom:Konsi larki?
Doc:Woh use Sana kehke bula raha tha.Kya iss naam ki kisi larki ko aap log jante hay?Sid ki koyi dost thi kya?
Mom:Nehi uska to koi female friend nehi hay.
Use office ke ilawa kuch sujhta hi nehi tha. Woh to Natasha say bhi nehi millta tha.
Doc:Aisa aksar hota hay ki patient apne samne anjane logoko dekhne lagte hay.Uske sath bhi yehi ho raha hay.
Mom:Mera beta theek to ho jayegana?
Doc:Tension maat lay sab thik ho jayega. Woh keh raha hay ki uski sar may hi dard hote hay. May kuch test likhke day rahi hu ise zaldi say karwake report leke dubara use mere pass lao.Reports ane say hi pata chalega ki uski problem sirf zehni hay ya phir  koi aur bhi problem hay.

Doctor kay jane baad jab wo log Sid kay pass gaye to dekh woh abhi bhi Sana say hi bate kar rahi hay.Sidharth kay bareme unhone ghar kay servants say pucha to pata chala unlogo nay bhi kahi dafa Sid ko akele may bate karte huye dekha tha par darke mare unlogone ussay kuch nehi pucha.

Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें