9# waqt

112 16 7
                                    

Kon si afat aa gayi hai itni raat ko tumhe jo yun darwaja tod rahi ho.... Koi tareeqa hai.... Balaj cheekha..

Nn... Nahi m sorry.... Wo awaj aa rahi thi.... Maai bhtt dar gayi thi..... Hooriya ne haklate hue kaha...

Balaj ko uski halat dekh kar taras aaya.........

Kesi awaj....??

Pata nahi jese koi ro raha ho.......

Accha kidhar se ab mujhe q nahi aa rahi.... Balaj ne ankhen dikhyi....

Mai sach kah rahi hu mene suni thi.... Hooriya rone lagi...

Tum ye drame apne paas rakhna... Accha.... Or sone do mujhe.... Balaj usko daant ke bed par aakar let gaya hooriya abhi tak wse hi khadi ro rahi thi....

Balaj kuch soch kar utha......

Sofe par jakar so jao... Yaha nahi aygi awaj koi.. Balaj ne jese uska mazak udaya......

Wo ayi or sofe par let gayi........... Uska rona musalsal zaari tha....

Balaj sone ki lakh koshish kar raha tha pr use nind nahi aa rahi thi.... Wo ek jhatke se utha.... Or sofe ke paas gaya... Or bilkul uske chehre ke qareeb jakar bola....... Chup kar jao........ Warna mai tumhari jaan le lunga....... Awaj dheemi thi magar itni sakht thi..... K hooriya ne apni sanse rok li...... Or ankhen band kar li... Kuch der balaj uspar yuhi jhuka uski larazti palken dekhta raha fir aakar bed par let gaya......

Nind ab bhi uski ankho se dur thi hooriya ka wujood use distrub kar raha tha..... Ya Shayad naqabile gawar....

اسکی لرزتی پلکے۔۔۔۔
اور گلابی ہونٹ۔۔۔۔۔
ءہ کیسا سماں تھا۔۔۔ جسنے۔۔
اک پل کو مجھے باندھے رکھا۔۔۔۔

-----------------------------------------

Wo subah sokar uthi to balaj yuhi bed par pada so raha tha....... Usne shower liya...... Or bahar kitchen me aa gayi......
Usne nashta taiyar kiya lekin uska khane ko bilkul dil nahi chah raha tha..... Wo yuhi idhar udhar ghumne lagi........

1 baj raha tha dopahar ke balaj abhi tak sokar nahi utha tha usne ek nazar balaj par daali or ek ghadi par..... Wo subah se yuhi bolayi bolayi ghum rahi thi use samjh nahi aa raha tha wo kya kare.....

Ki balaj ke phone ki ring hui...... Hooriya ne socha ab to uth hi jayenge.... Par balak tas se mas na hua wo baht gehri nind me tha.....

Call ek do bar cut chuki thi fir ring hua is bar usne call rcv krne ka faisla kiya....

Hey balaj.... Mai kabse tumhe call kar rahi hu or tum ho ki...... Tum bhot tang karte ho apni jaan ko...... Tumne mujhe tym dea tha na mai wait kar ri hu aye ni ab tak tum.....

Hooriya ka dil zoor se dhadka...... Itti der me mobile usse cheen liya gaya..... Balaj ki ghurti nazre uffff........ Hooriya seham kar rah gayi....

Baby aap 2 min or wait karo mai bas yun aaya........ Balaj ne duniya bhar ka pyar apne lahze me samote hue kaha....

Usne mobile bed par fenka.... Or hooriya ke qareeb aya.....

Kya masla hai tumhe q meri zaati zindagi me ghus rahi ho........?? Balaj ne gusse se pucha...

Nahi wo aap so re te to....

To so hi raha tha mar nahi gaya tha.... Balaj gusse se cheekha..... Uski bat kaatkar.....

Hooriya ka dil laraj kar rah gaya....... Par wo kuch boli nahi nazre jhukaye khadi rahi.....

Aainda tum meri kisi bhi cheez ko koi hath nahi lagwgi smjh gayi........ Wo use warn karta hua washroom me ghus gaya.......

Yaaa khuda wo apna sir pakd kar bed par dhah gyi...

----------------------------------------

Aaj itne dino bad Abdullah aaya tha......... Wo usee bate karne baith gayi.....

Kesi guzar rahi hai.... Kuch kahe balaj tum mujse shikayat lagana ok abdulla ne mazak me kaha....

Nahi kuch nahi kahte hai...... Wo dhire se boli......

U know agar meri choti behan hoti to bilkul tumhare jesi pyari hoti......

Accha.... Wo halka sa hasi......

Haan,,,,,,,, Accha ye batao tumhare koi photographs nahi hai childhood ke.... Abdullah ne yuhi sarsari sa pucha....

Han hai na..... Apko dekhna hai... Hooriya excited hui..... Wo kuch din phle ghar jakar kuch zaroori saman le ayi thi....

Haan q nahi zaroor dekhuga.....

Wo album dikha rahi thi jab wo school me thi uski ammi ke sat photos thi....

Tumhari baba ke sath ni h pictures... Abdulla ne album dekhte hue pucha...

Hooriya ke chehre par ek saya sa leharaya.......

Kya hua..... Abdullah ne hooriya ko yu khamosh dekh kar pucha......

Kuch bhi nahi or dekhea..... Hooriya bamushkil nuskurayi......

Ye tasveer..... Abdullah ne uski photo par hath rakhkar kuch sochte hue kaha....

Ye..... Mai 2 saal ki thi tabki hai yeh... Hooriya ne muskurate hue bataya....

2 saal.... Ye photo........ Abdullah achanak khada ho gaya.......

Kya hua.... Bhai...... Hooriya ne usko yu achanak khada hote dekh pucha....

Wo mujhe ek zaruri kaam yaad aa gaya hai mai awga fir..... Apna khyal rakhna....... Wo darwaje se nikalta chala gaya.....

Jabki hooriya pursoch andaz ne uske radde amal ka jawaj dhundhti rah gayi..........

جواز کوی نہیں تھا۔۔۔۔
اسکے اس ردعمل کا۔۔۔
بس یاد آ جاتے ہیں۔۔۔
کچھ پرانے زخم۔۔۔۔۔۔۔۔۔
ھو برسوں پہلے۔۔ کسی۔۔
اک کی ختا سے سرزد ہوے۔۔۔
وقت بیت جاتا ہے۔۔۔
زخم مندمل لو جاتے ہے۔۔۔۔
لیکن اک ہلکا سا۔۔۔۔ ہوا۔۔
کا جھونکا بھی۔۔۔۔
گر اس زمانے کا چل جاے۔۔۔
جس زمانے میں ہم نے۔۔۔
کسی اپنے کو کھویا۔۔۔ تھا۔۔۔
اور وہ ہوا کا جھونکا۔۔۔
اتتفاق سے۔۔۔۔ ہم سے۔۔۔
آ تکراے۔۔۔۔۔
تو زخم ادھڈ جاتے ہیں۔۔۔
مزحم سوکھ جاتا ہے۔۔۔
پرانا وقت واپس۔۔۔۔
لوت آتا ہے۔۔۔۔

Mai malka apne shahzade ki..❤(completed✅) Onde histórias criam vida. Descubra agora