Prologue

1.2K 53 43
                                    

Kehnay ko insaan Kya Hai
Kehnay ko Hayat Kya Hai
Kehnay ko Hayat ke bad Kya Hai.
Kya Yeh Sab ek Haseen Dhoka Hai.
Ya phir ghalat se Sahi tak ka ek Safar Hai.
Meri anaa , Meri zidd , Meri nafrat Har Cheez ghalat thi.
Tumhari Muhabbat , Tumhara sidaq , Tumhari Talaash Sab Sahi tha.




Ussay Laga woh khala mein Hai , Kisi aisi jaga Jo Haqeeqat aur Serab ke darmyan hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ussay Laga woh khala mein Hai , Kisi aisi jaga Jo Haqeeqat aur Serab ke darmyan hai.
Sab jal raha Hai , Ek daymi aag Hai , ussnay uthnay Ki Koshish Ki magar uskay hath bandhay huay thay , ussay laga usskay phepray dhuwein Ki shiddat se phat jayein ge. Kya tha yeh sab ? Kya yeh wahi jahanam Hai jiski Allah ne nafarmanon ko waeed sunayi thi. Lekin Kya woh nafarman thi? Kya woh itni gunehgar thi ke ussay dunya mein hi jahanum Ki ek Jhalak dikhayi gayi thi. Kya Zindagi bas itni si Hai Ke ek din ek aag lagay gi aur sab Rakh hojayega? Ussay apni maa Ki Yad ayi thi , beshumar Yad , Kya woh unhi ke pas jarahi thi? Kya usski maa ne ussay apnay pas talab Kiya tha? Apni Zindagi ka Har acha bura waqya usski nazron ke samnay se guzar raha tha jaisay woh Kisi film ko rewind par dekh rahi ho. Ek tez awaz aati Hai aur Koyi mazboot Cheez usskay sar par agirti Hai , manzar achanak se khatam hojata Hai , kanon mein awazein ana band hogayi Hain ab , tareeki hi tareeki ab toh aag Ki tapish ya Sanson Ki Jalan bhi mehsoos nahi horahi.
Kya Hayat khatam shud hui?
Kya Talaash khatam shud hui?
Kya ab Haqeeqat aur Serab kay darmiyan Ki bareek lakeer mitgayi?

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

"We are really sorry ! She is no more with us"
Woh white coat mein malboos ek 2nd year resident tha Jo Aaryan  Ke pas ek aur mout ka pegham laya tha.

"Jhooooot sab jhooooot !!!!!" Aaryan phichlay ek ghantay mein yeh doosri mout Ki khabar Sun raha tha. Woh beyaqeeni ke aalam mein muskurata raha , jaisay pagal hogaya ho.

"Dekho Kya keh rahay Hain yeh log! Keh rahay Hain she is no more with us! Itna aasan Hai Kya Kisi insaan Ki mout" Woh musalsal deewar par mukkay barsa raha tha aur as pas ke log usski halat par tars kha rahay thay.

Hadeed bhagta Hua OR Ki waiting area Ki taraf bharta Hai , aur Aryan Ki Deewana war halat ko Dekhta hai , aur aas pas ke logon ki baatein uskay kanon mein Parti Hain.Manzar dhundhla Hua , woh dharam se zameen par gira , aur ussay Laga woh iss bar waqayi sans Nahi lepayega.

Dil Iss qadar buray hochukay Hain ab ;
Jo apnay thay apnay Nahin lagtay ab
Anaa ko hamne itna sar charha rakha Hai;
Sooratein bhi dekhna gawara Nahin ab
Ranjishein Zara Zara ikhati karke dilon mein
Mukhlis rishton Ko bhi thukra Diya Hai ab ;
Kiun bina matlab hamkalam bhi Nahin hotay
Insan mehez mitti ke putlay hogaye Hain ab.







MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now