Being Misunderstood

3.5K 154 11
                                    

Devi was boiling in anger as it was the first time Shaurya denied her request and argued with her.

"Sab uss ladki ke wajah se. Shaurya ko mujhse dur karne pe lagi hai. "

Shaurya walked down the stairs calling his Badi Maa.

" Badi Maa breakfast mil sakta hai kya? College jana hai? "

" Breakfast? 12 baje? Aur tumhare subah ki classes ka kya? Students pe kya impression parega? Shaadi ke baad tum dono gayab? "

" Haa badi maa. Dhyan rakhunga agey se. "

" Aur Anokhi aaj kamre se nikalne wali hai ya nahi? "

" Aa jayegi. "

Shaurya ate the sandwich and juice that Kanchan served her and left for the college.

                  ~~~ In College ~~~

Shaurya received an indifferent attitude of professors and students towards him. He could see people gossiping about him but he thought it should be about their marriage.

Him marrying Anokhi was not only indigestible by his family but the whole institution as well.

Later Tej Enters his cabin.

" Bade Papa kya chal raha hai college me? "

" Mail check nahi kiya tumne? Check bhi kaise karoge. Anokhi se fursat mile tab na. Akhir tum apne papa jaise hi bann gaye. Aur Anokhi kyun nahi aayi aaj college? Kabhi absent nahi kiya na aaj tak. Sab malum hai usey."

" Nahi bade Papa aisa kuch nahi hai. Maine hi kaha tha usey aaj na aaye. Lekin kya malum hai. Hua kya hai?  "

" Education board ko complaint gayi hai ki tumne Anokhi ke saath zabardasti ki hai. Aur complaint karne wali hai Aastha Kashyap. "

" What? Unki itni himmat. "

" Aur tumhe kya lagta hai? Anokhi in sab mein involved nahi hai? Apne Aastha ma'am ko bataye bina woh koi kaam nahi karti. To usey tum dono ki shaadi ke bare me kaise nahi pata tha. "

" Koi to misunderstanding hai bade Papa. I'm sure. Aur Anokhi ka lena dena nahi hai in sab se. "

" Aisa hai. To jao. Baat karo Anokhi se. Pucho ussey ye sab kaise hua. Apni Aastha madam se bole complaint wapas le. "

" Main Anokhi se baat karta hu. "

Anokhi was reading her book when she received call from Aastha.

" Anokhi. Thik ho na tum? Mujhe bohut chinta ho rahi thi tumhari. "

" Main thik hu. Mujhe aapko kuch batana tha. "

" Maine sunn liya hai sab kuch. Tum abhi aake milo mujhse. "

" Okay. But aap itni tensed kyun hai? "

" Milke baat karte hai. "

She hung up the call, got ready and straightway left to meet Aastha.

" Anokhi...!! " Shaurya entered his mansion calling out her name.

" Kya hua? " Badi came out and asked.

" Anokhi kaha hai. "

" Bahar gayi hai. "

" Kaha gayi hai? "

" Bataya to nahi but last call Aastha ka aaya tha to shayad usise milne gayi hai. "

And he felt like something pinching his heart. He clenched his fist.

" Main aata hu badi Maa. "

" Kaha jaa rahe ho? "

" Mujhe aaj uss Aastha Kashyap se sara hisab clear karna hai. "

               ~~~At Aastha's house~~~

" Kya? Aapne Education board me complaint ki hai unke against? Kyun? "

" Mujhe yahi bataya gaya hai ki Shaurya ne tumse badla lene ke liye tumse zabardasti Shaadi ki hai. "

" Kisne bataya. Aur aapne Kyun beleive kiya? Hum dono ne mutually decide karke shaadi kiya hai. Pyaar Karti hu main unse. "

" Pehle kabhi nahi bataya tumne mujhe? Yaha tak ki shaadi ke bare me bhi nahi bataya. "

" Aastha ma'am main bata deti. Aap out of station thi. Aapka phone not reachable tha. Rahi baat hamare relationship ki to ye hamesha se complicated rahi hai isiliye maine kisiko kuch bataya nahi kaha tha. Bas Reema aur Maya ko malum tha.  "

" Mujhse bohut badi galti ho gayi hai.  "

" Please ma'am. Main unhe pareshan nahi dekh sakte. Mushkil se chehre pe khushi dikhti hai unke. "

" Main apni complaint wapas le lungi aur Shaurya se maafi bhi maang lungi sabke samne. "

" Thanks Aashtha maam. "

" Maam kyun? Abse to main tumhari maa hui na? Tumhari saas. "

She blushed looking away from her.

" Sarmati v hai ye Anokhi? Khus ho na? "

" Bohut. "

" Achcha hai. Lekin apne sapno ko v mat bhul jana kabhi pressure mein aake. College kyun nahi gayi?

" Kal chali jaungi. "

Shaurya entered their to confront Aastha when he heard their rest of the conversation.

" Bhulna mat yaha kis maqsat se aayi ho. Hum dono ne milkar jo sapna dekha tha woh tumhe hi pura karna hai. "

Shaurya had only one thing going on in his mind and he mistook her words in that way.

" I won't let you down. "

He left from there.

" But woh complaint. "

" Main abhi wapas leti hu. "

" Thanks main apne sapno ko agey to badhana chahti hu lekin saath me unhe bhi bohut khush rakhna chahti hu. Hope main unhe bhi kafi disappoint na karu. "

             ~~~Sabarwal Mansion~~~

She entered the room where Shaurya was opening his shirt buttons. She went and hugged him from behind sliding her hands across his chest.

" Aap kab aaye? "

" Tumse matlab? "

She left him and made him face her. "

" Ye kya tone tha? "

" Kya expect karti ho mujhse?Uss Aashtha Kashyap se milke mere against plotting karne ke baad you expect me main tumse pyar se baat karu? "

" Plotting? main? Aap mazak kar rahe hain mere sath? "

" Mazaak tumne bana rakha hai. Mere pyaar ka hamare rishte ka. Uss Aashtha Kashyap ka badla lene ke liye mujhe Shaadi ki thi na tumne? "

" Aap kya bol rahe hai? Pyaar Karti hu main aapse. Mujhe bar bar ye batana kyun parta hai? Kitne baar main aapko yakin dilane ki koshish karu? "

" Ab Mrs Aastha Kashyap ki student,  main tumhari kisi baat ka yakin nahi karne wala. Bohut bada dhoka khud ko de chuka hu. Ab aur nahi. "

" Dekhiye gusse mein kuch bhi bole jaa rahe hai aap. Jaiye fresh ho jaiye. Thande dimag se baat karte hai na. Please. "

" Nahii. Abhi koi baat nahi hogi. Listen to me now. Get out of my house!! "

" Shaurya? "

" Call me Sir. Bas aur koi relation nahi hai hamara. Get out!!! "

" Shaadi ho chuki hai hamari... "

" Jaa Rahi Ho ya security ko bulau? "

Devi was listening to all the shouting with a contended smile and dialled a number.

" Hello... Maine kaha tha na... Don't lose hope. Shaurya sirf tumhara hi hai. "


Thanks for Reading.

Anamika
#Shaurya_Anokhi_Shippers

Shaurya Aur Anokhi Ki Love StoryWhere stories live. Discover now