Their Personal Loss

3.4K 178 41
                                    

A notification popped up in Shaurya's phone.

" Next time se agar meri fikar ho to main chahugi aap khud aake meri help kare naki kisi aur ko bheje. Kyunki next time se main aap se related kisi ki madad nahi lene wali. "

" Ziddi Ladki. " Shaurya exclaimed clenching his jaw.

Anokhi was unpacking her bag and she received incoming message notification, the only thing she was restlessly waiting for.

" As if I care! "

" Main hi pagal hu. Inke pyaar mein itna desperate ho chuki hu ki inhe meri kadar hi nahi hai. "

She quickly unpacked her bags. Rama entered the room.

" Mamma, aap aur papa ji kahi jaa rahe ho kya itna ready hoke? "

" Haa beta. Tera papa ke office me hi kaam karte hai. Unki beti ki shaadi hai. Aaj late ho jayega. "

" Thik hai. "

" Yaha itne din baad aayi aur yaha to mammi bhi bahar jaa rahi hai. Mujhe to ab aisa lag raha hai kisi ko mere hone se koi farak nahi parta. "

Anokhi was feeling suffocated after sitting in the room for an hour. Only thing that was roaming in her mind was Shaurya.

" Socha tha yaha aaungi, surrounding change hoga to inke bare me zyada nahi sochungi. Par yaha bhi akeli par gayi hu.  Pata nahi kab sab kuch thik hoga. Aur inko kab akal aayegi. Main bhi kitna samjhau. "

She took her phone and walked out to meet her friends. Later she borrowed her bicycle. She was passing by a ground when she sensed something absurd happening in the farm.

On following the sound of giggling and talking of boys she found Raja sitting with his friends. He was taking drugs. She was shocked like anything. She took a snap from distance and left the place immediately.

~~~~~~Saberwal Mansion~~~~~~

" Kya kar rahi hai ye. Na phone na message subah se. Itni der tak to bina baat kiye reh nahi sakti. Fir se kisi mushibat mein to nahi aa gayi. "

He took his car keys and started to leave.

" Shaurya kaha jaa rahe ho? "

" Kapurthala. "

" Phir se. Phir uss ladki ke pas tum? "

" Badi Maa. Main aapki har baat maan lunga. Lekin iss waqt mujhe iss baat ki tasalli hona zyada zaruri hai ki woh thik hai. Main usko Chandigarh lane jaa raha hu. "

" Kyun? 20 saal to wahi rahi hai na? Waha safe nahi rehti kya ladkian? Tumhe achanak itni chinta kyun hone lagi? "

" Mujhe nahi pata lekin main bas usko ek bar dekh lena chahta hu. Uske bad aap mujhse Shagun se shaadi karne ke liye kahengi main mana nahi karunga. "

" Promise? "

" Haa. "

~~~~~ At Kapurthala~~~~

" Kya hai ye? Papa ji aapke liye itne sapne dekhte hai. Iss tarah se pure kar rahe hai aap unke sapne. "

" Had me reh tu? Mehmaan hai mehmaan ki tarah reh. Ye ghar ab tera nahi hai."

" Maa baap to woh ab bhi mere hi hai. Jinhe tu dhoka de raha hai. "

" Phone de. "

" Nahi... "

He tried snatching the phone from her hands but she was very adamant. He was still not in his proper senses and he pushed her to the ground.

He took the phone and ran away.

" Raja Bhaiya. "

She felt sharp pain in her abdomen. But she was more concerned about his brother.

" Ye dard kyun ho raha hai achanak. "

~~~ 2 hours passed ~~~~

Shaurya finally reached there after asking here and there for her address. He parked the car and ran straight into her house. He knocked the door which was already open.

" Anokhi.... "

He gave her several calls.

" Yaha hu. "

He ran towards her room. She came out of the washroom with tears rolling down down her cheeks.

" Kya hua tumhe? Ro kyun rahi ho. "

" Proof chahiye tha na aapko? Meri pregnancy ka? '

He looked downwards to find blood stains in her pyjamas and her bedsheet.

" Ye... dekh lijiye. Aankho se jab tak nahi dekhte aapko meri kisi baat pe bharosa nahi hota. Dekhiye main pregnant hu. "

" Anokhi... Pagal ho? Kab se bleeding ho rahi hai? Hospital jane ki bajaye pagalpan kar rahi ho idhar? "

" Abhi aapki daat mujhe affect nahi karne wali. Abhi aap meri baat sunenge. "

" Main sab sunn lunga. Hospital chalo Anokhi. "

" Nahi. Aapki wajah se baccha gir gaya hai. Main aapko maaf nahi karne wali. "

" Meri wajah se? "

" Aapne mara hai isey. Meri baat par yakin nahi kiya aapne. Koi responsibility nahi li iski. "

" Suno Anokhi. Main sare accusations lene ke liye taiyar hu. Hospital chalo please. "

" Nahi meri baat khatam nahi hui hai.... Aapne kaha mere jeene marne se aapko farak nahi parta... To ab. "

Anokhi lost her consciousness and fell on the ground.

" Anokhi... "

He picked her up and drove her to the hospital.

~~~~~~ Hospital~~~~~~

" Kaisi hai abhi Anokhi? "

" Thik hai woh. But miscarriage ho gaya hai. "

" Pata hai. Mil sakta hu main? "

" Ha. "

He entered the room. Anokhi was blandly looking at the ceiling.

He touched her hand but she removed his from other one. He caressed her hair.  She looked otherwise and closed her eyes.

" Pata hai naraz ho. Hona bhi chahiye. Jis waqt tumhe meri zyada zarurat thi. Mere pyaar aur tenderness ki maine usi waqt tumhare sath sabse zyada galat kiya. Tumhe ghar se bahar nikal diya. Divorce dene ki baat ki. Aur kya kuch nahi kiya tumhe hurt karne ke liye. Maine koi responsibility nahi li hai tumhari aur baby ki. "

She had tears escape from the corner of her eyes.

" Aap choti se choti baat par naraz hote rahe mere se. Maine har baar aapko space diya hai. Kya aaj aap mujhe mere haal par akela nahi chod sakte? Maine apna ek hissa khoya hai. "

" Nahi. Nahi chod sakta tumhe. Woh hissa mera bhi tha. "

" Maanne se inkaar kyun kiya tha fir? "

" Gusse me andhaa ho gaya tha main. Tumhari halat tak unseen kar diya. Tumhare dates, mood swings, physical conditions sab kuch jante huye bhi. "

" Ab kya faida. "

" I'm sorry. Main akela responsible hu tumhari iss halat ke liye. "

" Dekhiye. Galti aapki nahi thi. Khud ko blame mat kariye. Main do ghante darr or dard me bitaye jab main aapko dhund rahi thi. Bas wahi reason tha ki aapko saamne pakar maine aapko itna kuch suna diya. Meri galti thi maine uss ghar me wapas jane ka decision liya. Bhul gayi thi mera bhai ek criminal se bhi battar hai. "

" Ye sab tumhare uss nalayak bhai ne kiya hai? "

" Shaurya Sir. Please... "

" Suno. Main tumhare aur tumhari Aastha ma'am jaisa mahaan nahi hu. Main maaf nahi kar sakta usko. Naa main karne ki koshish bhi karunga. "



Thanks for Reading
Anamika

And sorry for this twist 😑 jutas, chappals and tamatars are welcome. Eggs are not. Thank you. ❤️

Shaurya Aur Anokhi Ki Love StoryWhere stories live. Discover now