Mending Things

3.4K 171 34
                                    

Shaurya completed all the formalities in the hospital.
"Abhi main Anokhi ko ghar le jaa sakta hu? "

" Haa but kuch time tak physical nahi hona hai and try saal bhar tak dobara pregnancy na aaye. "

" Okay. I'll take take care. Thank you Doctor. "

He entered the room.

" Chalo... "

" Kaha? "

" Ghar... Aur kaha? "

" Kaunsa ghar? "

" Natak kar rahi ho? "

" Main natak kar rahi hu? Maine hamesha us ghar ko apna mana tha. Lekin uss ghar me kisi ne yaha tak ke aapne bhi kabhi mujhe apnaya nahi. "

" Jo hua bhul jao. Chalo. "

" Itna aasan hai kya? Sab kuch bhul jana. Mere saamne baar baar wahi waqt yaad aata hai jab mujhe ghar se dhakke marke bahar nikal diya tha aap logo ne. Jab mann chaha ghar lekar chale ghaye jab mann chaha nikal diya. Khilona hu main aapke liye? "

" Ho gaya? Abhi chalogi ya aur bhi kuch bolna hai? "

" Aapko koi farak hi nahi parta. Main kuch bol rahi hu na aapse? Itna bada hadsa ho gaya hai. Kuch react hi nahi kar rahe aap. "

" Anokhi main baar baar nahi bolne wala. Jo bolna hai ghar jake bol sakti ho."

" Thik hai. "

She changed herself and went with him.

~~~~ Sabherwal Mansion~~~~

" Anokhi room me jakar rest karo. Main aata hu. "

Devi who already walked in when Anokhi entered asked furiously.

" Ye kya kar rahi hai idhar? "

" Yahi uska ghar hai. Woh kahi nahi jayegi. "

" Shaurya. Tumne promise toda hai. Shagun se shaadi karne ka. "

" Anokhi ka miscarriage ho gaya hai aapko dusri shaadi important hai? Mujhe iss waqt sirf Anokhi ki chinta hai. "

" Tumhe yahi darr hai abhi mentally disturbed hai? Thik hai tum rakho isey kuch din yaha. Jab sab kuch normal ho jayega. "

" Tab bhi ye yahi rahegi. Shaadi karke laya hu iss ghar me. Kahi nahi jayegi yaha se. "

Anokhi was sitting in the room alone. Kanchan joined her.

" Abhi kaisi tabiyat hai. "

" Thik hu. Inhe dekha kya? "

" Hmmm...  Garden me dekha tha. Chupke chupke rote huye. "

" Pata hai. Saamne ro lenge to unki ego hurt ho jayegi na. "

" Aisi baat nahi hai. Tumhe aur taklif nahi dena chahte. "

" Woh na chahte huye bhi de hi dete hai. "

Shaan joined a disturbed Shaurya.

" Thik ho Shaurya? "

" Haa dad. "

" Bhale hi Anokhi ko na bata sako. Mujhe to bol sakte ho? "

" Kya bolu? "

" Bol do jo kuch mann me chal raha hai. "

" Baap ki feelings bohut underrated hai Dad. Kyunki hum apna aasu kisiko dikhate nahi. "

" Haa Shaurya. Isiliye duniya chodo bachche bhi samajh nahi pate baap ke pyaar ko. Shayad ab tum samajh sako bhale hi maine kabhi dikhaya na ho lekin bohut pyaar kiya hai tumse beta. "

Shaurya Aur Anokhi Ki Love StoryWhere stories live. Discover now