Insult

2.9K 148 14
                                    

Shaurya tried her number multiple times but she rejected his calls.

He sent her a text.

" Anokhi baat nahi karna chahti fine. Atleast ye batado kaha ho. Thik ho ki nahi? "

" Zinda hu. "

Shaurya was extremely hurt at her cold behaviour.

" Okay. Tum abhi bohut gusse me ho. Main kal baat kar lunga tumse. Lekin ye bata do tum ho kaha pe? "

" Apne Aastha ma'am ke pas hu. "

Next morning Anokhi woke up and opened the door. She found Shaurya infront of her.

" Kya chahiye ab aapko yaha se? "

" Kaun hai Anokhi? " Aastha asked.

" Shaurya kya chahiye tumhe? "

" Apni wife se milne aaya hu. What do you mean by kya chahiye. "

" Aap na. Apni awaz yaha na ucha kare. Ye meri Aastha ma'am ka ghar hai. Aapka nahi. "

" Mera ghar Anokhi? Woh hamara ghar hai. Jise tum chodke aa gai. Aisa kya ho gaya main puch sakta Hu? "

" Kal ko aap mujhe kisi bhi mard ke sath Gynaecologist ke pas dekhte hai to kya main yahi sawal apke reaction pe kar sakti hu? Kya aisa ho gaya? "

" Maine explanation to diya tha na uska?
Anokhi kisine misguide kiya tha mujhe. "

" Yahi explanation main bhi deti to? "

" Situation kyun nahi samajh rahi ho? "

" Shaurya tum jao yaha se. Already bohut problems create kar chuke ho" Aastha interfered.

" Main baat kar raha hu na Apni wife se? Aapko kya dikkat hai? "

" Unhe dikkat ho sakti aur woh bol bhi sakti hai. Aapko koi haq nahi banta unse iss tarike se baat karne ka. "

" Dekho Anokhi. "

" Kya baat hai Anokhi ji. Sab thik hai? Aapko koi pareshan to nahi kar raha. "

Shaurya turned to find ACP Ahir. He rolled his eyes on seeing him there.

" Areyy yaar ab isko bhi abhi aana tha. "

" Kuch nahi ACP Ahir. Come in. "

" Kaha come in? Tumhari college ka time ho gaya hai na? Chalo main chod deta hu. "

" Uski zarurat nahi hai. ACP Ahir chod denge mujhe. "

" Kyun? Ye driver hai kya tumhara? And you... Tumhara recruitment Anokhi ki bodyguard ki duty karne ke liye kiya gaya tha kya? Aur duties nahi hai tumhari? "

" Woh mera friend hai. Main jab unko bulaungi woh tab aayenge. "

" Sunn liya Mr. Shaurya Sabherwal? Aur kuch kehna ya janna hai aapko? Nahi na. To jaisa Anokhi ji kehti hai waisa kariye. Aur nikliye yaha se "

" Anokhi... "

" Dubara zarur aaiyega. "

She closed the door on his face. A lone tear escaped his eyes. He gulped in the hatred and insult that he received there and left the place.

" Anokhi ye tumne sahi nahi kiya. This is sheer insult. "

" Woh jo kar rahe the woh kya tha? Kabhi aapko kabhi ACP Ahir ko kuch bhi bolte rehte hai.  "

" Anokhi ji aapne bilkul sahi kiya. Shaurya Sabherwal apni limit cross kar rahe the. Woh jo behaviour deserve karte aapne uska 50% bhi nahi diya. "

" Anokhi jo bhi hai. Woh tumhara husband and tumhara teacher bhi hai. Itni to izzat de sakti thi usko? Itni insult karne ki zarurat kya thi. Woh bhi baharwalo ke samne. "

" Ahir mere friend hai. Aastha ma'am mujhe late ho raha hai college ke liye. Hum nikaltey hai."

ACP dropped Anokhi in her college. Only the morning incident was roaming around in her mind.

" Jo kuch bhi hua sahi hi hua. Mujhe bura feel karne ki zarurat nahi. Paani sar se upar jaa chuka tha. Lekin. Ek baar bhi call nahi kiya uske baad. Bohut zyada hurt ho gaye kya? Maine zyada kar diya kya? "

She dialled his number but he didn't receive. She called again no response.

" Jab mann hoga khud se hi call kar lenge. "

On returning from college.... Anokhi saw Aastha packing her bags.

" Aastha maam kaha jaa rahi ho? "

" Main nahi tum jaa rahi ho apne ghar. "

" Ghar matlab? Itna kuch hone ke baad. Itna kuch ho gaya aap wapas mujhe unke sath rehne bolengi? "

" Tum dono ke jhagre se nuksaan sirf tum dono ka ho raha hai. Baki logo ka faida faida.  "

" Matlab? "

She received call from Shaurya.

" Ye mujhe call kyun kar rahe hai? "

" Utha lo phone. Koi zaruri baat hogi"

" Main nahi uthane wali. "
 
She kept the phone and went to take shower. The phone kept ringing.

" Hello. Jab main phone nahi Utha rahi to baat nahi karni hai na mujhe aapse "

" Hello madam. "

" Hello. Kaun bol raha hai? "

" Hello. Ye phone jinka hai unka accident ho gaya hai. Aapka number last dial pe dikha. Unki bohut serious condition hai. Maine aapko location bhej diya hai. Mil lijiye unse.  "

Anokhi lost her balance and fell on the floor.

" Anokhi kya hua? "

" Accident. Unka accident ho gaya hai. "

" Shaurya? "

" Haa? "

" Chalo... Anokhi. Hum hospital chalte. "

" Ye sab meri wajah se hua hai. "

" Anokhi utho. "

" Unhe kuch ho gaya to? "

" Anokhi ulti sidhi baatein mat karo. "

" Unki jaan chali gayi to? "

Anokhi got a tight slap from Aastha.

" Chup... Bilkul chup. Bohut bol liya. Maine hamesha tumhe apne bete se upar rakha. Uski baat na maankar tumhari maani. ussey zyada tumhe pyaar diya. Aur tumne kya kiya? Aaj jo kuch hua hai uski wajah tum hi ho Anokhi. "

" Meri wajah se woh. "

" Dekho tumhe chalna hai to chalo warna main jaa rahi hu apne bete ko dekhne. "

" Main... Main chalungi aapke sath. Unhe dekhne ke liye. "

Anokhi and Aashtha were becoming very restless in the cab. They scolded the driver a no of times for his driving speed.

On reaching the hospital they found Devi Tej and Alok already standing there.

" Kya karne aaye ho idhar? Uski family hai yaha. Jo unki parwah karti hai. "

" Badi maa ek baar mil lu unse. Mujhe bohot darr lag raha hai. Kaise hai woh abhi? "

" Dikh nahi raha hum OT ke bahar khade hai. And congrats Anokhi. Doctor keh raha hai bachne ke kam chances hai. All thanks to you. Uske sath jake do din bhi usey khush nahi rakh saki. Tumhare liye hi hame chod ke gaya tha na. Tum usey hi chod ke chali gayi? "

" Aapko jo bhi bolna ho bol lijiye. Lekin yaha rehne dijiye mujhe. "

" Bilkul nahi. "

" Devi surgery complete ho gayi shayad. "

" Doctor mera beta kaisa hai? "

" I'm sorry! "

Thanks for Reading
Anamika

Shaurya Aur Anokhi Ki Love StoryWhere stories live. Discover now