The next day
At Oberoi mansionTahir Tanvi ke liye pareshan hue ja raha tha. Uske ghar wale bhi usse thik se baat nahi kar rahe. Vo Chaya se Tanvi ka haal chaal puchne jata hai.
Tahir : Chaya! Chaya sun! Tanvi kaisi hai? Vo kya kar rahi hai?
Chaya : Humph!
Chaya kuch bina bole chali jati hai. Phir Tahir Jahnvi se puchne jata hai.
Tahir : Bhabi, Tanvi kaisi hai? Please. Mera janna bohot zaruri hai.
Jahnvi : Haan, mom! Aayi!
Yeh bolke Jahnvi bhi Tahir ko avoid karke chali jati hai.
Tahir : Abh main kya karu? Koi mujhe nahi bata raha.
At Tanvi's house
Nakul ko Tanvi ki khabar jaise hi milti hai, vo turant uske ghar chala aata hai. Nakul Tanvi ka naam pukarte hue ghar mein ghusta hai.
Nakul : Tanvi! Tanvi kaha hai?
Naina : Vo kal se apne kamre mein hi bandh hai. Hum sab ne bohot bola lekin vo darwaza nahi khol rahi. Usne kal se nahi kisi se baat ki hai aur nahi kuch khaya piya hai.
Nakul Tanvi ke room ke darwaze ke paas jata hai.
Nakul : Tanvi! Darwaza kholo! Main aaya hoon!
Tanvi ka koi response nahi ata.
Nakul : Tanvi, main janta hoon tum sun rahi ho! Please darwaza kholo!
Tanvi : Nakul, aap jaiye yaha se! Maine aapko dhoka diya hai! Maine sab kuch bigad diya!
Nakul : Nahi, Tanvi. Tumhari koi galti nahi hai. Kaun kya kehta hai mujhe koi farak nahi padta. Mujhe sirf tumhari baaton se farak padta hai. Mujhe pura vishwaas hai ki tum kuch galat nahi kar sakti.
Tanvi : Nakul, please aap jaiye. Main aapko apna chehra nahi dikha sakti.
Nakul : Main nahi jaunga. Jab tak tum darwaza nahi khologi, main yahi baitha rahunga.
Nakul darwaze ke bahar zameen par baith jata hai. Thodi der baad Tanvi darwaza kholti hai. Tanvi ko dekhke Nakul khada ho jata hai. Tanvi ki aankhein laal ho gayi thi. Uske chehre pe aansuon ke nishan the.
Nakul : Tanvi....
Tanvi : I'm sorry, Nakul. Lekin maine Tahir ke sath kuch nahi kiya.
Nakul : Janta hoon. Main tumpe apne aap se zyada bharosa karta hoon.
Nakul Tanvi ke aansu pochta hai aur use hug karta hai.
Nakul : Main sab kuch thik kar dunga. Tum chinta mat karo.
At night
Oberoi mansion
Avantika's bedroomAvantika apne room mein ek kitab padh rahi thi. Tabhi Tahir room mein aake knock karta hai.
Tahir : Mom?
Avantika : Tahir? Andar aao.
Tahir andar aake apne mom ke paas baithta hai.
Avantika : Kya kehna hai tumhe?
Tahir : Mom, mujhe aapse Tanvi ke bare mein baat karna hai. Mom, I love Tanvi. Kal maine jo kiya vo uski izzat bachane ke liye kiya. Mere paas aur koi option nahi tha. Aap please kuch kijhjiye na. Main uske bina nahi reh sakta. Maine Chaya aur bhabi dono ko uske bare mein puch liya. Lekin vo mujhe kuch nahi bata rahi.
Avantika : Tu sachme Tanvi se itna pyaar karta hai? Toh phir thik hai. Main kal hi uske ghar jake usse baat karungi.
Tahir : Sacchi, mom? Thank you so much! I love you, mom.
Tahir apne mom ko hug karta hai.
The next morning
Avantika Tanvi ke ghar jati hai. Vo door bell bajati hai. Tanvi ki nani darwaza kholti hai.
Avantika : Namaste.
Nani : Namaste. Ji aap kaun?
Avantika : Main Avantika Oberoi. Tahir ki maa.
Nani : Aap yaha kyu aayi hai? Aapke bete ki wajah se already humari Tanvi ki zindagi barbaad ho chuki hai. Aur kya baki hai?
Avantika : Dekhiye main jo baat bigdi hai use thik karne aayi hoon. Agar aap mere sath cooperate nahi karengi toh kuch thik nahi hoga. Please mujhe Tanvi se baat karne dijhiye.
Nani : Thik hai. Aap andar aaiye.
Nani Avantika ko Tanvi ke room mein le jati hai. Tanvi apne bed pe baiyhi hui thi. Aur uske sath Mamta baithi thi.
Avantika : Tanvi.
Tanvi Avantika ko notice karti hai. Avantika Tanvi ke paas jake baithti hai.
Avantika : Tanvi beta, mujhe tumse kuch baat karni hai.
YOU ARE READING
Band Baja Barat || Completed
FanfictionThis was my first Hindi story and it's pretty bad ngl. Read at your own risk.