Note: I'm really bad at titles. Do let me know if the title makes sense :)
Kalam ki syaahi,
Ugte suraj ki roshni,
Sach ka prakash ,
Bas inhi se the,
Zindagi me rang!
Phir ek din,
Kisi se mulaqat hui,
Anjaane me hi sahi,
Ek nayi roshni ghuli,
Ek naya rang simta,
Rangon ki ugaayi me uski!
Mehekti khushboo mitti ki
Gaanv ka mahaul dil me shaanti sa dhala,
Hothon par yun muskaan khili
Kuch hi mulaqaton me woh dil me chupke se utri!
Bekhabar tha woh uss taazi fiza se
Jo neeras hayaat me use halke se badalne aaya,
Jo tapti josh ke dhoop me
Ghani varsha banne aaya!
Bekhabar tha woh uss chandan ki khushboo se,
Jo jeevan ko mehkaane aaya
Jo dabe paanv khud anjaane se,
Hriday me utar aaya!
Par kismat se kaun hain bach paaya?
Naadan kismat pe naam na kabhi bhaaya
Aandhi sa woh saral sehej jeevan pe barsa
Dono ki kahaniyon ka aadhar basaya!
Bandhan me bandh gaye donon,
Pehchaan mili toh taazi hawa ka woh leher na bhaaya,
Roundi hui aatm samman ne gusse se taandav hi karvaaya!
Woh jaan na paaya,
Un shabdon ka bhaav jo uss aatma ko chub rahe the
Woh samajh na paaya uss diye ke lau kahi bujh rahe the
Woh pehchaan na paaya uss jaan pe kya beet rahi thi
Woh jaan na paaya dard uske komal se man ko kis kadar nichod rahi thi
Uss chehekte sitaare ke baaton se jo sama jagmagata
Woh dekh na paaya uspe khamoshi kaise dhal gayi thi!
Phir ek din aisa aaya,
Kismat ne aankhon pe se thoda sa parda sarkaaya,
Tez baarish me usne
Shabnam ki uss boond ko patte se girta paaya!
Uss ek lamhe me aisa khauf dil pe chaaya,
Use khone ke khayal se ruh yun khap-khapaya,
Tab ehsaas hua woh zaroori hain jeene ke liye,
Tab yeh anubhuti dil me ghar kar gaaya!
Aage waqt aur kismat gawa hain
Woh kahan se kahan pahunche!
Waaqif nahi they jo pehle
apne jeevan ke berang dhang se
Pyaar ke bandhan se
rangon se aaj waaqif ban gaye!
Der se hi sahi par use uss jannat ki pehchaan mili
Aur phir tha ek lamba kathin raasta aur atal ladaai!
Thaamke uska haath, uske sheetalta aur prem se himmat jutaai
Usme aag aur barsaat ko apni baaton ke hoslon se yunhi jagayi
Sang chale ek hi path aur manzil ke hamrahi!
Poochoge usse toh aaj woh kahega aur sweekarega iss sach ko - usne apne liye ek aalaukik heera nasamajh duniya ke nakaare paksh se dhoondhi aur hamesha ke liye uss bandhe phir bhi aazad panchi ko apne prem ke pinjre me qaid kar liya. Aaj woh uski aankhon me dekhke kahega, poori duniya ke saamne kahega, use apne liye jannat ka ek bhaag mil gaya hain. Woh maila chaand mil gaya hain jo maila sirf duniya waalon ki nazar me hain kyunki uske liye toh woh daag sirf uski kurbaaniyon aur sangharshon ke chin hain!
Love,
Pratyusha
YOU ARE READING
Seasonal Scrawl | Collection
Short StoryA collection of tales on Adilie, Sairat and Shivi Published On IF