Hey all,
So this is a small poem written by me, dedicated to the character Imlie.
Woh aazaad chiraiyya thi
Khwab uski aankhon me chamakte the
Kalank ke kaale rang se naapa jaata tha usko
Par uske bheetar samaye rangon ki roshni ko kaise rokte?
Samaaj ki bediyan jo baandh na paayi use
Aisi woh bebaak panchi thi
Jo har boond mein khushiyan barsaaye
Megh yeh Imlie kehlaye
Shararti, natkhat si
Pyaari si ek shaitaan thi
Apni Amma ki laadli
Apne Dadda ki shaan
Yehi uski pehchaan thi
Phir mod le li aisi zindagi ne
Ulajh gayi kisike sang uski lakeerein
Ek andhera sa uske ruh pe chaa gaya
Dard ne iss qadar dil ko nichodke rakh diya
Qurbaani toh de di uski niswarth aatma ne
Par uske dukh ka bhaar na dil se utaar saka
Bachpana uska phir bhi nikhra
Rang usne phir bhi bikhere
Sabko apna maan lia
Par gawah hain waqt woh kis qadar badli
Pyaar ke dard ne kya se kya bana diya?
Woh sametti rahi khudke toote hisson ko
Jo toot gaye taanon apmanon ki bauchar me
Muskurake sab maanti rahi
Apnon ke khushiyon ke lihaaz me
Khamoshi me lipte uske jazbaat the
Tanhaai se jude uske andaaz the
Maangna usne kabhi seekha na tha
Isliye uske haq bhi kisi aur pe qurbaan the
Rahi na woh aazaad chiraiyya
Bediyon se jagdi ek aatma thi
Khushiyan toh phir bhi barsaati
Par khudki khushiyon se parayi thi
Doosron ke liye woh vijayi thi
Haqeeqat me khudse haari laachar thi
Phir bhi woh behte megh na barse
Bhigoye nahi kisiko aapne saath hue anyaay ke pratishodh me
Khamoshi me jo prem nibhaati rahi
Apne prem ki berukhi ke bhi wafaadar thi
Qaid thi jo prem ke marz me
Phir bhi woh aazaad thi!
Phir jab baari prem ki aayi
Uski khamoshi ko jab kisike lafz ne sehlayi
Uss daur phir khayal aaya kisika
Khushiyon se door phir woh bhaagi
Yehi silsila aaj bhi kaayam hain
Jahan ek premika se ek behen aayi pratham hain
Kya manzil paayegi uski daastan
Kya chutega kabhi tanhaai se waasta?
Ab bhi ghat na paaye hain
Uske ruh ko ghere andhere
Ab bhi bhare nahi hain
Dil pe lage zakhm saare!
Bikhri par simti
Udaas par khush
Isi vyangya se hain vyaakhya uski
Toofanon se ab bhi jujhti
Naam hain Imlie!
Love,
Pratyusha
YOU ARE READING
Seasonal Scrawl | Collection
Krótkie OpowiadaniaA collection of tales on Adilie, Sairat and Shivi Published On IF