Sacchai...

141 27 5
                                    

Mukhiji's house in Delhi:
Dhwani Juhi aur Manas ke liye halwa lekar ayi thi.
Dh: Genda-Khargosh ye dekho mai tumhare liye kya layi hun...?
M: Kya hai Hathi..?
Dh:Garamagaram Halwa...
J&M: Halwa...??😋😋
Dh: Haaa... Chalo aao jaldi jaldi breakfast krlo... Fir school bhi to jaana hai...
J&M dining table pr baith gaye aur halwa khane lage... Aaj kitne dino baad unhe apne Haathi ke haat ka halwa mila tha... Jab Purvi ki Molkki Mukhiji ke sath hui thi, ye dono bacche apne Maa ki jagah use nhi dena chahate the, pr ab aisa waqt aa gaya ke ye bacche bina apni Haathi ke hasana bhul gaye...

(Dhwani ne aur Halwa dono ke dish mein diya aur ab khud hi un dono ko Halwa khilane lagi)
J(self): Haathi ke Kanhaji, plz Haathi ki memory lauta do na... Humein na Haathi ke haat ka banaya khana roz khana hai, unke saath hasna hai, khelana hai... unki gadi lori sunkar sona hai... Baba bhi to kitna miss karate hai unhe... Plz Kanhaji plz...
Dh:Manas, tumhare Baba kaha hai...? Unhone nashta kiya...?
Ma: Wo na hamare school ki taiyyari kr rhe hai... Waha Rewari mein to ghar mein Priti didi, Gopi bhaiyya aur bahut log the... Aur hamari MAA bhi thi...😔Ab yaha Baba hi humari saari taiyyari kr ke dete hai...
Dh: koi baat nhi... main tumhein seekha dungi apne school ke liye kaise taiyyari karate hai... Fir Baba ko bhi takleef nhi hogi...
Dh(Self): Ye bacche apne Maa ko kitna miss karate hai...? Pata nhi Bhagwanji aisa khel kyu khelate hai...? Inki Maa ko inse chheena aur mujhse meri yaadon ko... Aur Mukhiji... Mukhi matlab shayad Rewari ke Raja jaisa unka aura hoga, ghar mein naukar honge pr yaha to unhe..... apni patni ke jaane ke baad apne bacchon unki Maa ki kami mehsoos na ho iska pura prayas kar rahein hai...😔

Dhwani ke dimaag ye baatein chal rahi thi tabhi Mukhiji waha aaye...
M:Chalo bacchon tumhari school bags to taiyyar kr di hai maine... Jaldi se nashta khatam kro... Fatafat...
Are Dhwaniji, aap kab aayi...?
Dh: Ji abhi... Bachchon ke liye Halwa leke ayi thi...
M:Are waa... Juhi-Manas ke to maje hai... Manne bhi Halwa chakhana hai...
Dh:Haaa,haaa... Main abhi dish mein laga deti hun...
(Aur wo dish mein bss ek chammach hi Halwa parosati hai...)
Ma:Bss itnahi Halwa Baba ko...?
Dh: Haa Genda... Baba ko diabetes hai na... To iss liye aap itna sa hi Halawa khayenge Mukhiji...😊
Manas,Juhi aur Mukhiji ko ek pal laga ke bsss Purvi hi baat kr rhi ho... Wo bss ek dusare ke chehare ke taraf dekhne lage...
M: Tanne, mera matlab aapko kaise pata chala mujhe Diebetes hai...?
Dh:Matlab....?🙄 Haaa... Bachchon ne bataya hoga kabhi to....
J:Nhi Haathi, humnein to kabhi nhi bataya...
Dh:(surprised) tumne nhi bataya...? Haaa... Uss cartoon Daksh ne bola hoga kabhi... Wo sab chhodo... Fatafat ready ho jao... School bhi to jaana hai...Chalo...
Main bhi ghar jaakar ready ho jaati hun...
Aur wo ghar ke liye nikal jaati hai...
Dh(self): Ye kya ho raha hai mere saath...? Mujhe kaise pata chala ke Mukhiji ko diebetes hai... Haaa... Pakka hi uss cartoon ne bataya hoga... Pr wo Juhi-Manas ko Mere Bachchein bolna...??? Shayad main inn logo ke baare mein bahut jyaada soch rahi hun... Kyu sochati hun main inke baare mein itna...? Kyu inn sabke baare mein sochati hun to emotional ho jaati hun main...?

Ab dopehar ho gayi thi.
Veer Delhi pahunch gaya... J&M to school gaye... Yaha Baap aur Bete mein baatchit chal rahi hai...
M:Veer Rewari mein sab thik?
V:Haa Baba, sabkuch thik hai... Aap batao na aap kuch jaroori baat krnewale the na...
M:Haa... Veer manne ek baat samjh mein naa aa rahi... Iss Daksh ne Bawari ke accident ke baad uska ilaaj kiya, use sahara diya... Pr usne Bawari yani Dhwani ke kisi pariwarwale ko, rishtedaar ko khojane ki koshish kyu na ki hogi...?

Veer Mukhiji ne iss baat ka jikr kiya ye dekh ke sunn reh gaya... Usko apne kiye saare kaam yaad aa gaye... Kaise usne gharwalon ko behla-fusala kr ghar ke akhbaar band karwaye, kaise gaawwalon ko jhoothi kahani batakr ye khabar Mukhiji tk na pahunche iski arrangement ki... Apne kiye kaam Veer ko apni aankhon ke saamne dikh rahe the...

M: Are ke keh raha hun main...? Suna ke na tanne...?
V:Haa Baba, sun raha hun... Sach keh rahein hai Baba aap... Mujhe to lagata hai ye Daksh chahata hi nhi ke Dhwani ji past se related koi log unse mile... Baba mujhe lagata hai humein bhi yaha se wapas Rewari jaana chahiye... Daksh ko kahi se pata chala ke hum Dhwani ji ke past se related hai to shayad wo humse saare buisness deals tod de... Waise bhi Purvi ji aapko bhulkar jindagi mein aage badh rahi hai... Aapko bhi unhe bhulakar aage badhna chahiye...
M(with a sarcastic smile): Waa Veer waa... Kya soch hai tumhari...!!Waa...!! Kaha se sikhe tum ye sab Veer...? Itna dikhawa...?? Aur kis liye ye sab...?? Bawari taa teri naarazagi hai yo main jaanta tha... Pr tu apne baap ka dard, apne chhote bhai behen ka dard na pehchan saka aur ab Daksh ke baare mein manne bata rahe ho... Veer wo to paraya hokar bhi apna nikla... Manne kabhi na socha tha ki tu mere taa itna jhoot bolega... Mere khilaaf koi chaal chalega...
V:Baba, ye aap kya bol rahe hai... Main koi chaal aapke khilaaf...?? Koi to aapko mere khilaaf bhadaka raha hai Baba...

Mukhiji apni jagah se uthein aur Veer ki taraf pith karke apne dono haath pith pr bandhe,unke style mein khade hue...
M(in his strong voice): Veer, SACHCHAI  mein na bahut takat hoti hai... Jab Sach ka saamna hota hai na Veer to yaa to insaan sawar jata hai, apne bikhare hue jeevan ko samet leta hai ya fir yahi SACHCHAI tumhein tukdon mein bikhar deti hai...
V: Baba ye aap kya bol rahein hai mujhe kuch samjh mein nhi aa raha...

Mukhiji turns to him and says...
"Veer, Daksh ne Bawari ke pariwar walon ko jaanne ke liye akhbar mein kya kehte hai usse... wo... ad... haaa ad... chhpvaya tha... pr tanne wo khabar mujh tak pahunchane na di... Yo mat kehna yo sab jhooth hai... Manne gaav mein phone krke puchha hai logo se... unhone mujhe bataya ke kaise tanne unko mujh tk pahunchane bhi na diya...
Teri Bawari taa narazagi main jaanta hun... Pr uske jaane ke baad manne yo baat jaani hai,apno ki kimat unke dur jaane ke baad hi pata chale hai... Teri shaadi ke baad manne bhi naa jaane usse kya kya bol baitha aur uski sajaaa manne Bhagwan ne de di... 6 mahine mein uske liye tadapa aur aaj bhi tadap raha hun... Aur jo tumne yo sab SACHCHAI mere ta chhupane ki saajish ki na... Manne bahut dukh pahuncha iss baat taa... Puri duniya ke waar ko jhelata firata yo Mukhi teri waar se ghayal hua... Pr naaa... Manne tanne koi sajaa na deni hai... Kyon ki agar Bawari yaha aaj hoti to wo mujhe tanne maaf krne ko hi kehti... Aur wo waqt dur nhi jab wo firse mere saath hogi... Meri Bawari jinda hai iss SACHCHAI ne mujhe sawara hai... Pr main na chahta Veer ki koi aisi SACHCHAI tere saamne aave ki tu bikhar jave...

To be continued....

MolkkiWhere stories live. Discover now