Continued:
Next day Morning:
N:Prakashiji apne plan ke mutabik sab ready hai na....?PM:Aap chinta na kro Daksh ki Naniji... Sab kuch taiyyar hai... Wo aa hi rahe honge...
N:Accha to chalo hum Dhwani se baat krte hain...
PM:Haaa haa chaliye...
In Dhwani's room:
N:Are Dhwani beta...Dh: Haaa Nani...
N:Beta Prakashi ji ne gaav ke PanditJi ko aaj bulaya hai... Suna hai haath dekhakar bhavishya batate hain...
PM:Aur unhone bataya hua bhavishya abhitk jhoota saabit na hua hai...
N: To main chahati hun ke Daksh aur tumhara haath dekhakar wo tumhare aanewaale zindagi ke baare mein bataye... Sabkuch accha hi hoga aur agar kuch baadha hai to usse dur karne ke liye koi upaay bhi puch ke lenge...
Dh:Naniji... Innn sabki jaroorat hai kya..?
PM: Jaroorat kaise na hai beta...? Hum bujurgon ki baatein sun bhi liya karo, hum to humesha hi apne bachchon ka bhala chahate hai...
N:Haaan... Ab koi sawaal mt pucho... PanditJi aate hi hum tumhein aur Daksh ko bulayenge to taiyyar hoke aa jana...
Dh:Thik hai Nani... Aap jaisa kahein...
Itni baatein kr ke Naniji aur Prakashi Maa Dhwani ke kamare se chale gaye...
Unki ye saare baatein Sudha ne chhupake se sun li thi... Jabse Priti unke plan ke baare mein bataya tha, Sudha aur Namarata jiji aur chaukanne ho gaye the... Ab wo Prakashi Maa, Naniji aur Anjali ke har hulchul pr nazar rakhane lage the....
.
.
.
.
.
S:Bua... Naniji aaj Purvi ko Delhi jaane ke liye manahi lengi aisa lag raha hai mujhe....NB:Aisa na socho Sudha... Think positive... Bss PanditJi aate hi tumhein jaise kaha hai waise kr do... Saath mein Bhagwan se prarthana karo ke hamara ye plan safal ho jaaye bsss...
S: Hey Kanhaji... Bsss bahut hua ab... Ab hamari Purvi humein lauta do... Hamara ye PRAYAS safal kr do...
Dono ne haath jodke man hi man Kanhaji se prarthana kr li...
.
.
.
.
.
NB:Are Dhwani.... Itni jaldi mein kaha chali???Dh: Wo Naniji ne bulaya hai... PanditJi aanewale hai na...
NB: Dhwani... Ek baat puchhni thi... Ab Daksh ki aur tumhari shaadi ko bahut kam din bache hai... Shaadi ke baad tum Rewari se chali jaogi to apne past ko yaad krna tumhare liye aur mushkil ho jayega... Tumhein yaad hain na humne yaha Rewari mein tumhari shaadi krne ka plan kis liye kiya tha?
Dh:Haaa Namarata ji... Main PRAYAS to kr rhi hun... Pata nhi pr har baar kuch dhundhlese chehare dikhate hai... Lagata hai sabkuch mere aaspass hi hai pr main un tk pahunch nhi pati hun...
NB: Ab aapko apne dimaag pr aur thoda jor dekar PRAYAS karna hoga Dhwani warna samay haath se chhut jayega...
Dh:Aap thik keh rahi hai Namarataji...
N:Dhwani... Neeche aao beta PanditJi aa gaye hai...
NB: Chalo chalate hain...
.
.
.
.
.
NB:Pranam Panditji...P:Are khush raho, Namarata Beti...
N: Ji PanditJi... Ye hai Dhwani... Mere naati Daksh ki honewali patni... Iska hi bhavishya dekhna hai...
NB: Naniji, bhavishya to dekhenge hi PanditJi... Pr usse pehele.... Panditji Daksh aur Dhwani ki shaadi aap Haryanvi ritiriwajon se karaoge na...?
To hamare Mehmaan Delhi se hai inhe yaha ke riti-riwajon ke baare mein batayiye... Aao Dhwani, baithiye Naniji... Maa, Anjali aap bhi baith jayiye... Riwajon ke baare mein sunate sunate hamari shadiyon ki yaadein bhi tazaa ho jayengi...Naniji, Maa aur Anjali naa chahate hue bhi baith gaye... Isss bhavishya batane ke karyakram mein ye riwajon ke baaton ki kya jaroorat thi aisa sawaal unke chehare pe saaf dikhai de raha tha...
P:Are Namarata beti... Shaadi Delhi mein krein ya Rewari mein kuch riwaaj hr jagah ek jaise hi hote hai... Mandap mein agni ke saamne dulha aur dulhan ka gathbandhan kiya jata hai.....
(Panditji kuch iss tareeke se baatein kehne lage ke kisike ke bhi saamne shaadi ka pura chitra khada ho jaaye... Dhwani ke aankhon ke saamne bhi aisa fulon se saja hua mandap aa gaya...)
Dulha aur dulhan ek dusare ko warmala pehnate hai...Fir agni ki 7 parikramaye karate hue shaadi ke 7 wachan dete hai,jisse Saptpadi kehete hain... Fir dulha dulhan ke maang mein sindoor bharata hai aur gale mein mangalsutra pehnaata hai... Aur uss waqt se wo dono pati-patni ho jate hain...
(Panditji ye baatein keh rahe the tabhi us hall se ek naukar badi si painting leke jaane laga... Wo Purvi ki wahi painting thi jo Mukhiji ne banayi thi...)
Dhwani ki nazar uss tasveer ke taraf gayi aur usse shock laga... Jabse Panditji shaadi ke riwajon ke baare mein bata rahe the tabse koi chehara uske aankhon ke saamne aa raha tha jisse wo pehchan nhi paa rahi thi... Uss insaan ke saath hobek badese mandap mein khadi thi aur ab ye tasveer... Dhwani ko ab chakkar aane laga tha... Jaise taise wo apne jagah se uthi aur sir ko pakdkar wahi gir gayi...
"Dhwani...."
"Dhwani..."Sab usse jagane ki koshish karne lage...
NB: Isse room mein leke jaana hoga...
N:Ruko bhavishya dekhana hai uska...
NB: Uska bhavishya hone ke liye uska jinda rehna, thik rehna, healthy hona jaroori hai Naniji...
Mukhiji aage aaye, unhone Dhwani ko uthaya aur kamare mein leke chale gaye... Daksh ye sab dekhata reh gaya...
Namarata jiji ne Dhwani ko check kiya aur ek injection de diya...NB: Humein lagata hai humein Dhwani ko aaram krne dena chahiye... Chaliye...
.
.
.
.
.
M:Manne kaha tha na Bawari ki wo tasveer uske saamne na aani chahiye, to fir wo kamare se baahar kaise aayi...?Mukhiji tasveer leke jaanewale naukar pr chillane lage the...
"Humne kaha tha usse..." Namarata jiji ne kaha... "Tum jao..." Wo naukar chala gaya..."Bhaiji, aap hamare saath chaliye...."
Namarata jiji Mukhiji ka haath pakad ke unhe kamre mein leke gayi...
NB:Bhaiji humne usse kaha tha...
M: Ke jaroorat thi pr...? dekha nhi kaise chakkar aakar gir padi wo... Manne usse aur takleef mein na dekhna chahta Namarata...
NB: Issiliye humne ye shock dene ka plan kiya Sudha ke saath milake...
M: Plan...?? Kisliye...??
NB: Bhaiji hamare saare PRAYAS kr chuke hai Purvi ki yaadasht wapas laane ke liye... Aur ab din bhi kam bache hai... Uski shaadi agar Daksh se ho gayi to hamare haath se saari baat nikal jayegi... Hum jaante hai humne roka tha usse kuch baatein batane se pr ab usse ye shock dena jaroori tha... Ab agar uski yaadasht laut aaye to achcha hi hai agar na bhi aati hai to humein pata chalega wo kitna shock seh sakti hai... Pr inn sabmein Bhaiji aapko strong rehna hoga...
M: Main kuch bhi kr loonga pr Bawari ko takleef na honi chahiye bss...
NB: Bhaiji aap chinta mt kijiye...
.
.
.
.
Ek-do ghante baad ab Dhwani ko hosh aane laga tha... Kamare mein kaise aayi ye sochate sochate subah jo bhi hua usse yaad aaya... Aankhen band kiye aur usse kisika chehara dikha....
.
.
.
"Namarata ji...""Are Dhwani ji aap kamare se bahar kyu aayi...?? Aap aaram kijiye..."
"Sudha, humein jaldi se Namarata ji se milana hai... Kaha hai wo...?"
"Wo chhat pr gayi hai... Rukiye hum leke jaate hai aapko..."
"Nhi Sudha... Hum chale jayenge..."
.
.
.
.
"Namarata ji.... Hum hum... Humein aapse kuch baat krni hai..."
.
.
.
.Ab Dhwani Namarata jiji se kya baat krne aayi hai ye padhne ke liye wait kariye next part...
Stay tuned...
.
.
.
.To be continued....
YOU ARE READING
Molkki
FanfictionHere is a fan-fiction written by Chaitali D. A PurVir❤️ fan... A PurVirian😍 In India, there is a custom-Pratha similar to dowry called MOLKKI-Mol ki Dulhan in which the bride is baught with some money or some expensive things. These Molkki's has to...