Continued:
.
.
.Aaj ka poora din thodasa aaram, thodi bahut baatein krne mein beet gaya. Raat ko khaane pr Mukhiji ne Daksh aur Dhwani ko shaadi ki saari vyavsthao ke baare mein baataya. Dhwani ke chahare pe khushi ke chhalak rahe the pr Daksh aur Naniji man hi man ghabraye hue the.
NB:BhaiJi.... Kyu na kal hum sab milake gaav mein laga mela ghumane ka PLAN krein...? Main bhi bade dino baad gaav ayi hun, Dhwani aur sabhi Delhiwale bhi gaav dekh lengi...
J&Ma:Haaa Baba chalate hai na... Bahut masti karenge hum jaise pehele kiya karate the...
M:Haaa haaa jayenge,jaroor jayenge... Shaadi ki taiyyariya yaha haweli mein chalati rahengi hum gaav ghum kar ayenge...
D:Nhi humein kahi nhi jaana hai... Hum yaha rahenge aur shaadi krke jald se jald yaha se chale jayenge...
C: Pr shaadi ka muhurat to 8 din baad ka hai na to ek din mela ghum lenge...
D(gusse se): Chandani di aap thodi der shant rahiye na...
Dh: Unhe kyu daant rahe ho Daksh...? Sahi to keh rahi hai wo... Tumne dekha Mukhiji ne ek din mein kitni taiyyariya karwayi hai to baaki sabkuch bhi ho jayega... Chalo na mela dekhane jaate hai... Hum bhi to dekhe Genda aur Khargosh kya kya masti karate the...
Dekho na bachche kitne excited hai...
Hum bhi chalate hai na plz...J&Ma: Haaa Daksh uncle plz...
D: Achcha ok... Thik hai... Jayenge... Ghum ke aayenge.... Pr main jab kahoon wapas aana hai to laut aana hai...
S:Daksh ji aapne gaav ka mela kabhi dekha hi nhi hai... Yaha koi aisi cheez hoti hi nhi jisse aap bore ho... Aapka man hi nhi krega ghar lautane ka...
Ye sab baatein sunkar Dhwani ka chehara khil utha... Bachche to khaate khaate apne chair se utar ke naachne lage, Mukhiji bhi khilkhilakar has padein...
Dh:Tum khana to khaa lo pehele mere Gende aur Khargosh... Hum kal bahut majje karenge... Chalo chalo... Phat se khaana khaake sone bhago...
Un sabko yun khush dekh Daksh, Naniji, Veer ,Anjali aur Maa ne jaise taise khana khatam kiya aur apne apne room mein gaye...
.
.
.
.
NB:Achcha kiya Sudha tumne mela ghumane ka idea diya...S:Haaa Bua... Ek baar Mukhiji aur sab aisehi mela ghumane gaye... Unhone waha bahut majje kiye the,Purvi ne humein bataya tha... Shayad isse kuch madat ho jaye usski yaadasht laut aane mein...
NB:Aisa ho to achha hi hai...Chalo ab so jaate hai...
S:Haaa...
.
.
.
.
Chalate chalate Namarata Bua ne dekha Mukhiji uss room ka darwaja khol rahe the jaha Purvi ka saara saman rakha tha... Mukhiji uss room mein gaye aur unhone ek badese painting pe daala kapada hataya... Wo Purvi ki painting thi... Namarata jiji muskurate hue waha nikal gayi... Unhe pata tha... Bhaiji ab unki Bawari se baat krne aaye the,unhe disturb karana thik nhi hai..
.
.
.
.
"Dekh Bawari tu to jaanti hai,teri baatein sunane ki, tere se dil ki saari baatein kehne ki aadat padi hai manne... Uske bina manne neend na aati... Galati se lag bhi jaaye kabhi neend to tere hi sapane aate hai... Yaha Rewari mein to iss tasveer se baat karke so jata tha pr waha Delhi mein kaise sota tha manne pata hai bss... Ab jo tu yaha Rewari laut aayi hai manne bharosa hai ab sab thik hoga... Tu to jaanti hai tere siva mujhe koi na sambhal sakta... Mera gussa bhi tu hi sambhal sakti hai, meri jiddd aur mera bachpana bhi... Bss tu jaldi meri puraniwali Bawari banke mere pass laut ajja... Bsss... Manne aur kuch na chahiye... Dekh rahi hai bacche bhi kitne khush hai, ye haweli kitni khush hai.... Tere Dhwani hone se yaha itni khushiya hai soch tu jab Purvi Virendra Pratap Singh- meri Bawari banegi to yaha kitni khushiya hongi... Beetein baaton se aage badh ke naye seere se jindagi jivenge... Bss ab bahut hua... Laut aaja Bawari, laut aja..." Mukhiji Purvi ke tasveer se ye saari baatein kr rahe the aur ye sab bahar khade Daksh ne sun liya...
.
.
.
.
Apne room mein lautkar Daksh bechain hoke room mein hi ghumane laga...D(self): Kya karu main...? Mujhe kuch samjh mein nhi aa raha... Mukhiji ki aaj ki baatein sun ke dimaag keh raha hai ke main Purvi unse door krke galti kar raha hun... Pr mera dil to Dhwani se pyaar kr baitha hai... Kya karoon main...?? Dil ki sunu yaa dimaag ki...??
Ye sab kaise sambhal jayega...?? Kaise main Dhwani ko meri banau ya Mukhiji ke Purvi ko unhe waapis de du... Aaaaaa... Mujhe kuch samajh mein nhi aa raha hai...
Nhi... Nhi.... Nhi.... Daksh tumhe aise confuse hoke kuch haasil nhi hoga...
Tumhe kuch PLAN karke kaam krne hoga... Jo bhi karna hai soch samajh ke karna hoga...
Haaa... Haaa... Maine tay kr liya hai... Bsss main aisehi karoonga...
.
.
.
.
.
.
.
.
Ab Daksh ne kya tay kiya hai ye padhne ke liye aapko karna hoga next part ka intezaar... So stay tuned....
.
.
.To be continued...
YOU ARE READING
Molkki
FanfictionHere is a fan-fiction written by Chaitali D. A PurVir❤️ fan... A PurVirian😍 In India, there is a custom-Pratha similar to dowry called MOLKKI-Mol ki Dulhan in which the bride is baught with some money or some expensive things. These Molkki's has to...