KAAT

101 27 5
                                    

Continued:
.
.
.
.
Mele mein Mukhiji,Juhi-Manas,Dhwani, Chandani Di, Namarata Di aur Sudha maje kr rahe the, Daksh kamse kam dikha to raha tha pr man mein tension se ghira hua tha.
Yaha haweli mein alag hi hawaye chal rahi thi. Naniji ne Anjali aur Prakashi Maa ke sath haath mila liya... Anjali aur Prakashi Maa nhi chahate the ke Purvi wapis haweli aye... Koi soch bhi nhi sakta tha ki Maa bhi aisa chahegi... Jab ye sab baat Namarata jiji ke saamne ayegi to unhe bada dhakka lagega... Naniji to pehelese hi apne Daksh ke pyaar mein,uske pyaar ke liye kisi bhi hadd tk jaane ko taiyyar thi to Maa aur Anjali se haath milana kya badi baat thi...??

N:PrakashiJi ab aap hi batayiye kaise Dhwani ko main yaha se wapis Delhi le jau...?

A:Naniji, usse Delhi wapas le jaana jaroori hai... Yaha rahegi to JethJi kuch bhi karke usse uski beeti jindagi yaad karwayenge hi...

PM:Baat to tu sahi keh rahi hai Anjali... Virendar pagal hai apne Molkki ke pyaar mein... Usse wapas paane ke liye wo kuch bhi kar sakta hai... Kya karein fir...?

N:Kuch aisa hona chahiye jiski uss Mukhi ke pass koi KAAT na ho...

PM:Haaaaa.... (Sochate hue...)....
Haaa... Ek ho sakta hai... Main mere gaav ke pandit ko bulati hun... Usse hum kuch paise dekar bata denge ke Daksh aur Dhwani ke haath dekhkar bhavishya batane ke bahane se ye bataye ke Rewari mein shaadi krna un dono ke bhavishya ke liye ashubh hoga to unhe yaha Rewari mein shaadi nhi karni chahiye...

A:Waaa Maa... Kya dimaag paya hai aapne... Aur iss baat ka JethJi ke pass koi KAAT nhi hoga... Naniji aap bss itna bol dena ke shaadi karanewale PanditJi hi aisa bol rahe hai to humein yaha shaadi nhi karani hai... Hum shaadi Delhi mein hi karayenge...

N:Idea to accha hai... Pr jo Pandit bulana wo koi bharose ka aadmi hona chahiye...

PM: Uski chinta aap na kro... Itne din se gaav mein log paal ke kis liye rakhe hai...?? Aapka kaam ho jayega... Bss wo Molkki mere ghar se durr chali jaaye to mujhe chain milega...
.
.
.
.
.
Mele se aakar thake hue sab apne apne rooms mein chale gaye... Dhwani aaj bahut jyada khush thi... Itne dino baad wo yun khul ke hasi thi,kheli thi, bachchon ke saath bachchi bn gayi thi...
Nhi to har waqt usse apne atit ki yaadon ki baatein satati thi... Aaj wo bhut jyada khush thi... Din bhar ke baare mein sochate sochate wo wahi sofe ke kursi pr hi so gayi...
.
.
.
.
.
.
"Nani...." Daksh chillate hue Nani ke kamare mein aya. Waha Maa aur Anjali pehelese hi baithe the...
D:Nani mujhe aapse bahut jaroori baat krni hai...

N:Haaa bolo beta...

D:Inke saamne nhi...

N:Ye paraye nhi hai beta... Ye to hamare dost hai... Bolo bolo...

D:Nani mujhe lagata hai ke humein Dhwani ko sab sach bata dena chahiye... Aapko aaj usse mele mein dekhana chahiye tha wo Mukhiji, Juhi-Manas ke saath kitani khush thi... Aur main bss uski khushi chahata hun...

PM:Aur kya uske bina tu khush reh pavega...?

A:Aur wo aaj Dhwani hai issiliye khush hai agr Purvi hoti to ro rahi hoti...

D:Matlab...?

A:Matlab... Jethji uspr kya julm uthate the wo bss hum gharwale jaante hai.. Daksh Molkki ki yaha gaav mein koi ijjat nhi karata, JethJi bhi nhi... Agar aapki Dhwani yaha reh gayi to bss Juhi-Manas ki aaya aur Jethji ke pair ki jooti bn ke reh jayegi yaha pe... Aapko jab uss raat wo mili thi to JethJi ke changul se chhutkar to bhagi thi Purvi uss raat...

D:Pr Mukhiji to hamesha yahi batate rahe ke apni Bawari se kitna pyaar karte hain... Unki Bawari unka SABKUCH hai...

PM:Koi insan apne patni pr kr raha anyay jag ke saamne kaise batayega Daksh... Aur Virendar to usse apni patni tak nhi maanta...

N:Beta... Ye dono Mukhi ke saath yaha rehti hai... Uski sachchao jaanti hai... Aur maine ek aisa plan banaya hai ke Dhwani hamare saath Delhi chalegi aur wahi tumhare saath shaadi karegi...

D:Sach Nani...??

N:Haaa bilkul... Ab tum jao aur shanti se so jao... Saari tension apne Nani ke pass rakh do...

D:You are so sweet Nani... Thank you so much... Good night...

N:Good night beta...

Daksh apne room mein sone chala gaya..

N:Prakashi ji aapka hathiyaar taiyyar hai na...

PM: Haa bilkul... Aap chinta mat kijiye...

Naniji ,Maa aur Anjali ke chehare pe evil smile khil uthi...
.
.
.
.
.
In kitchen:
S:Bua aap jaake so jao... Main kr deti hoti subah ke naashte ki taiyyariya... Ye Priti bhi to hai saath mein..

NB:Nhi tum bhi to thaki ho aaj... Teeno milake jaldi jaldi kaam nipta lete hai aur sone jaate hai...

P:Namarata Jiji... Aapse kuch baat krni thi...

NB:Haa bolo Preeti...

P:Ji aaj maine Badi Malkin, Anjali Bhabhi aur wo Delhi se aaye mehman Naniji ki kuch baatein suni... Teeno milake Mukhiji-Mukhiyani ke khilaf kuch shadyantra kr rahe hai... Mukhiji aur Mukhiyani ji bade acche hai unke saath kuch bura naa hona chahiye...

NB:Haa pr ye to batao kya keh rahi thi teeno...?

S:Haa bolo... Daro nhi... Bolo...

Aur Priti ne unn dono ko Maa,Naniji aur Anjali ke plan ke baare mein bataya ke kaise wo Panditji ko bulakar unse jhoot kehlwaane wale hai... Kaise PanditJi ke baaton ka sahara lekar Dhwani ko fasanewale hai...
Maa ki ye kartoot sunke Namarata Jiji dang reh gayi,unko aankhon se aansu behne lage...

NB:Sudha, humne kabhi socha bhi nhi tha ke Maa BhaiJi ke baare mein kuch bura sochengi... Aur wo ye kya kr rahi hai...? Wo itni kyu aur kaise badal gayi hai...??

S:Bua... Aap hi aise ro dengi to Purvi aur Mukhiji ko kon madat karega...?

NB(aansu ponchhate hue):Nhi Sudha... Ab hum BhaiJi ke saath kuch bura nhi hone denge... Priti tumne bada achcha kam kiya ke ye sab baatein humein bata di... Tum chinta na kro hum kuch na kuch KAAT dhundh hi lenge...
Chalo Sudha... BhaiJi se baat karte hai... Priti jara ye kitchen ka kam sambhal lena kisiko saath leke...
.
.
.
.
.
.
Sudha aur Namarata Bua Mukhiji ke kamare ke ore chal padi... Pr dekha Dhwani apne kamare mein kursi pe hi so gayi...
"Dekh rahi ho Sudha kaise bachchi ki tarah soyi hai... Usse to patahi nhi uske pith-peeche iss ghar mein chal kya raha hai..."Namarata jiji ne kaha... Donone jaake usse uthaya aur bistar pr sone ko kaha... "Mukhiji humein aaj bahut majja aya,hum aaj bahut khush hai..."Dhwani neend mein hi badbada rahi thi... Sudha aur Namarata Jiji ab Mukhiji ke kamare ke ore chale gaye...

Aaj Mukhiji bhi dinbhar ghum ghum kar thak gaye the... To unki bhi aankh jaldi lag gayi... Namarata Jiji unhe uthahi rahi thi to Sudha ne kaha,"Bua sone dijiye unhe... Purvi ke jaane ke baad itne shant sote hue bahut kam baar dekha hai humne... Nhi to har waqt, raat-raat bhar Purvi ke painting ke saamne hi dikhai dete the Mukhiji..."
"Thik hai... Tum keheti ho to nhi uthati... Hum hi kuch KAAT dhundh lete hai hai unke plan ka..." Namarata Jiji ne kaha...

Dono sochate hue Namarata Jiji ke room mein baithi...
NB:Sudha.... Humein lagata hai kal humein Purvi ko ek shock dena hoga...
S:Matlab...??
NB:Dekho humein pata nhi ye KAAT kitna kam karegi pr jo ye teeno milke Purvi ko shock dene wale hai usko issi shock se kaatna padega... Suno...
Aur Namarata Jiji ne apni puri idea Sudha ko batayi...
.
.
.
.
Ab Namarata Jiji ne Sudha ko kya idea batayi ye jaanane ke liye aapko krna hoga next part ka intezaar...
Tab tak ke liye ek baar firse meri likhi ye kahani ke saare parts padh lijiye...
.
.
.
.
To be continued....

MolkkiWhere stories live. Discover now