Continued:
At Daksh's house:
D:Dhwani kaha gayi thi tum? Aur aise sar kyu pakada hai tumne...?Dh: Mukhiji ke yaha gayi thi main...
D: Kyu jati ho tum uss insaan se milane bar bar....??
Dh: Pehele puri baat to sun lo Daksh... Main Mukhiji se milane nhi gayi thi, main Dr.Rawat se milane gayi thi... Tumne hi bulaya hai na unhe yaha mere treatment ke liye...
D(in small voice): Haa... Galati kr di maine....
Dh: Kuch kaha tumne...?? Rehne do... Mujhe kuch nhi sunana hai... Mera sar bhari hua hai main thoda aaram karana chahati hun...
D: Ruko Dhwani mujhe tumse kuch jaroori baat karni hai...
Dh: Daksh abhi nhi...
D: Dhwani abhi karana jaroori hai...
Agale 10 din mein hamari shadi hai... Nani ne PanditJi se bolake muhurat nikala hai... Fir aage muhurat 3 mahine dur hai...
Dhwani was in shock...
Uska sar chakrane laga aur wo gir padi...
"Dhwani, Dhwani....Chandani di doctor ko bulao..."-DakshChandani Di called Mukhiji to tell Namrata that Dhwani is unconscious.
Namrata came... Gave some medicines and left. She suggested everyone not to disturb Dhwani and let her take some rest.
.
.
.
Aaj rat bhi Dhwani ke sapno mein wo pagadi pehene hua aadami, do bacche, ek badasa ghar yahi dikh raha tha... Aur fir kisi kone se usse awaz ayi "Dhwani, 10 din mein hamari" Aur wo dar ke jaag gayi...
"Nhi, agar Dr.Namrata jaise kehti hai waise agar mera koi pariwaar hoga, mera pati hoga to main Daksh se shaadi kaise kr sakti hun...??"-Dhwani
Ye sab sochate-sochate usse neend kab lag gayi pata nhi chala...
.
.
.
Next morning:
D:Dhwani maine tumse kal kuch kaha tha tumne kuch kaha nhi uske baare mein...Dh: Good morning...
D: wo sab baad mein... Pehele bolo...
Dh: Daksh mujhe sochane ke liye thoda samay chahiye...
Daksh ne Dhwani ke bajuon ko kas ke pakada aur pucha"Samay chahiye....? Kisliye chahiye samay...??"
Dh: Takleef ho rahi hai mujhe Daksh... Leave me...
D: Sorry... Sorry.... Lekin samay kis liye chahiye tumhe... Hum dost hai... Ek-dusare ko jaante hai... Meri family ko bhi tum pasand ho...
Dh: Aur meri family ka kya...?? Kaha hai wo...?
D: Maine unhe khojane ki koshish ki thi... Tum jaanti ho...
Dh: Haaa... Janti hun... Fir bhi mujhe thoda samay chahiye...
D:Nhi Dhwani... Ye meri request samjho ya jabardasti... Hamari shaadi 10 din baad hogi... Main office jaa raha hun... Shaam ko aate hi shaadi ke shopping ke liye jaayenge....
Dh: Nhi Daksh... Meri baat to suno...
He left...
.
.
.
.
Dhwani Juhi-Manas ko dekhane ke liye Mukhiji ke ghar gayi... Kal ke sardard ki wajah se aaj wo school nhi jaanewali thi... Mukhiji to Juhi aur Manas ko leke school bhi chale gaye the...NB: Aao Dhwani... Thik lag raha hai ab?
Dh: Haaa... Fir bhi aaj school nhi gayi...
NB: Koi baat nhi... Tum school ka itna tension mt lo... Pr lagata hai kisi aur baat ka tension liya hai tumne...
Dh: Haa wo actually Daksh keh raha tha agale 10 din mein shaadi karni hai... Naniji ne muhurat nikala hai...
Bachchon ko school mein drop krke aye Mukhiji ne darwaje pr hi ye baat sunli...
Wo Namrata ke pass akar baith gaye...NB:Are waaa... Ye to badi acchi baat hai... Congratulations...!!!
Dh(surprisingly):Haaaa... Thank you... Pr mera dil nhi keh raha hai Dr. Pata nhi kyu?? Aapne jabse bola hai khi mera pariwar hoga... Shayad mera pati, mera sasural,mere bacche honge tabse Daksh se shaadi krne ka khayal bhi mujhe disturb kr raha hai...
NB: Shayad aap ka pariwar aapke apne log aapko dil se pukar rahe hai... Hota hai... Hum physically kisi aur jagah chale aate hai pr apna dil khi piche ataka rehata hai... Tumhare case mein b bsss wo kaha atka hai ye tum jaanti nhi...
Dh: Pr mujhe jaldi se jaldi wo janana hai...
NB:Haaa jaroor janogi... Pr ab mujhe batao... Tumhara accident kaha hua tha, kaise hua tha ye tumhe kuch yaad hai...??
Dh: Haaa... Wo Daksh ke gaadi se takrayi thi main... Kaha... Kaha...? Haaa Hariyana ka koi gaav tha... Rewari...? Haaa Rewari... Ek minute... Mukhiji aap wo Rewari ke hi hai na...?
M:Haaa haaa... Main Rewari ka hi hun...
NB:Dhwani... Shayad Rewari ya Rewari ke aaspaas ke kisi gaav mein tumhara ghar, tumhari family ho... To hum sab Rewari chale kya...? Main bhi apne maayake ho aavungi aur tumhare pariwar ko bhi khojenge...
Dh: Idea to accha hai... Pr Daksh keh raha hai 10 din mein shaadi hai to kaise...??
M:To tum dono ki shaadi hi Rewari mein kara denge... Waha ka Mukhi hun main... Main kahun to saare intezaam yun chutaki mein ho jayenge...
Dh(muskurakar): Haaa pr Dhwani, Naniji nhi maane to...
NB:Dekho Dhwani... Unko tumhe manana padega... Tumhe agar apne past ke baare mein janana hai to... Aur mujhe ye lagata hai agar Rewari ya aaspass ke gaav se tumhe kuch jaani-pehchani si cheeze, log dikhenge to tumhari memory wapas laane mein thodi help ho jayegi...
Dh:Thik hai... Main Daksh se baat karati hun... Main chalati hun...
NB:Thik hai... Kya plan hota hai humein batana... Hum aage ki taiyyariya karwayenge fir.... Dhwani, Daksh ko mana lena haaan... Ek doctor nhi ek dost ki tarah keh rahi hun...
Dhwani muskurayi aur chali gayi...
.
.
.
M:Manne dil pe patthar rakhke shaadi Rewari mein karo aisa suzaav diya hai Namrata... Bsss Rewari jaane ke liye sab raazi ho aur Bawari ki yaadasht jald ta jald wapas aa jaye...NB: Aap chinta mat kijiye Bhaiji... Sab thik hoga... Usse sab yaad aa jayega... Usko kuch baatein yaad hai... Dhundhali si hai pr hai... Shayad Rewari jaake sab clear ho jaye...
M:Main bhi yahi chahta hun... Mere Bawari ke Kanhaji koi CHAMTKAR kr do...
NB(self): RamJi... Maine peheli baar Bhaiji ko aise dekha hai... Yun haara hua... Kisi chamtkar ki raah dekhate hue... Plz koi CHAMTKAR kara do... Main apna scientific knowledge laga rahi hun... Aap bhi thodi madat kar do plz...
To be continued:
YOU ARE READING
Molkki
FanfictionHere is a fan-fiction written by Chaitali D. A PurVir❤️ fan... A PurVirian😍 In India, there is a custom-Pratha similar to dowry called MOLKKI-Mol ki Dulhan in which the bride is baught with some money or some expensive things. These Molkki's has to...