GruhPravesh

94 26 3
                                    

Continued:
.
.
"Maalik ek badi gaadi haweli ki taraf aa rahi hai..."-koi naukar bola...

M:Jaroor Bawari ayi hogi.... Main dekhata hun...

NB:Bhaiji... Ye kha to lijiye...

J&Ma: Yeeeee.... Haathi aaa gayi...
NB:Are tum dono kaha jaaa rahe ho...? Baap aur bachche ek jaise hai...

Juhi-Manas aur Mukhiji ko yun jaldi bhagata dekh Namarata Bua ki aur Sudha ki hasi ruk nhi rahi thi...

Koi naukar khusphusaya-"Kitne dino baad haweli mein hasi ki aawaj gunji,itna utsah bhara hai... Haweli ki khushiya laut aayi aaj Mukhiyani ke aate hi..."
Ye sun ke Maa,Anjali aur Veer ne apni aankhein badi karke uss naukar ki taraf dekha... Wo bechara dar ke maare khambe ki piche chhup gaya...
.
.
.
.
.
.
Gaadi ke darwaje khol ke Dhwani gaadi se utari hi thi aur ek hawa ka zoka usse chuke chala gaya,maano haweli ki hawa bhi usse chhune ko beqarar thi.
Mukhiji aur bachche tabtk darwaje tk pahunch gaye the... Unhe dekhakar Daksh ne Dhwani ka haath kas ke pakad liya jaise wo use khi jane nhi dega. Chandani di ke chahare pr muskan ayi pr NaniJi ka mood thik nhi tha.

M(hath jodke):Are ayiye... DhwaniJi,Daksh... Ayiye Naniji, Chandani ji... Hamari Rewari aur meri haweli mein aapka swagat hai...

J&Ma:Haaathi.... Welcome Haathi....
Yeahhh... Haathi aa gayi...

Utne mein Sudha aur Namarata Jiji arti ka thaal leke saamne ayi...

NB:Rukiye,rukiye... Aarti to utarne dijiye... Aao Sudha...

Sudha ne aage badh ke Dhwani ki aarti utari. Sudha ki aankhon mein bhi utni hi khushi jhalak rahi thi jitni Juhi aur Manas ki aankhon mein thi...

Sudha Purvi yaani Dhwani ki bachpan ki saheli thi... Dono saath mein pali-badhi thi... Ek saath school-college jaya karati thi pr kismat ne aisa khel khela. Purvi aur Sudha dono ki Molkki hui aur dono dost ek dusare se dur ho gayi... Pr Sudha ke saath hue atyaachar ke baad Purvi ne Mukhiji ke madat se usse bachaya aur usse ek achchi jindagi dene ki koshish ki. Sudha ki jindagi mein abhi bhi kuch pareshaniyan thi pr jab Purvi saath ho to har mushkil paar sakati hai aisa uska vishwas tha.
Issiliye Purvi ke jaane ke baad udaas hue uske chehare pr aaj Purvi ke aane ke baad raunak dikh rahi thi. Khushi ke maare Sudha ne Dhwani ko ekdum se gale lagaya.

Ek pal ke liye Dhwani chauk gayi ke ye anjaan ladaki mujhe kyu gale laga rahi hai....?? Wo kuch bole tab tk Juhi aur Manas usse aur Mukhiji ko khichate hue haweli ke andar leke jaane lage aur dono ne GruhPravesh kiya... Haa Mukhiji aur unki Bawari ne GruhPravesh kiya... Shaadi ke baad ke rasmon ki tarah,chaaro taraf se naukaron ne bahut saare ful barsaaye aur Dhwani haweli ke andar aa gayi...

Dhwani ko Mukhiji ke saath aage badhata dekh bahar Daksh aur NaniJi aur andar Prakashi Maa, Anjali aur Veer ke seene mein maano aag si lag gayi...

Dhwani haweli ke andar ayi. Saamne khade logon se Mukhiji aur Namarata jiji ne sabka parichay karwaya. Sabko muskurakar Namaste bolkar Dhwani aage badh gayi. Pr uski nazarein maano kisi cheez ko dhundh rahi thi, kya tha usse khud hi samajh mein nhi aa raha tha... Sabkuch anjaan tha, naya tha pr use jaana-pehchana sa, apna sa lag raha tha. Ye kya ho raha tha...??

"Aayiye aap sab fresh ho jayiye... Main naashte ki vyavstha karwati hun..." Namarata jiji ne kaha...

"Hum Haathi ko uska room dikhayenge"
Juhi aur Manas chillate hue bole...

NB:Haaa haa... Jao jao... Aayiye Chandani ji, Naniji iss taraf... Sudha aapko room dikha degi... Gopi, Daksh bhaiyya ko unka kamara dikhao...

D:Main Dhwani ke saath rahunga...
Dhwani ne chaukkar usse dekha.

C:Thoda sabr kr Daksh, mere bhai shaadi ke baad reh lena uske saath... Shaadi tk rehna alag kamron mein... hai na Naniji...??

D:Aap rukiye na thoda Chandani di...

NB:Aapka room Dhwani ke room ke saamne hi hai Daksh... Aayiye Gopi aapko room dikha dega...

Sab apne apne room mein chale gaye. Dhwani ke liye wohi room tayar kiya tha jo Mukhiji aur uska kamara tha. Mukhiji ka saaman uss room se hatake dusari room mein rakhawa diya gaya.
Room mein chaaro taraf dekhane ke baad Dhwani kuch yaad krne ki koshish krne lagi... Kuch dhundhlasa dikh raha tha usse pr kya tha kuch samajh mein nhi aa raha tha... Aisa usse tab se lag raha tha jab se unki gaadi Rewari ke andar pahunch gayi thi. Har cheez,har gali aise lag rahi thi jaise pehele usne dekhi ho... Aisa kyu ho raha tha usse kuch samajh mein nhi aa raha tha...
.
.
.
.
NB:Kaisa lagi room aapko Dhwani...?

Apne soch mein khoyi hui Dhwani ye awaj sunkar dar gayi.

NB: Are dariye mat... Hum hi hai Namarata... Pasand aya aapka kamara aapko...?

Dh:Room to bahut achchi hai... Mujhe to sab kuch achcha laga... Neeche ka bada hall,kitchen yaha tak ki seedhiyaa bhi pasand ayi hai...

NB:Chalo ye to bahut achchi baat hai...

Dh:Haaa pr kahi BhagwanJi ka mandir nhi dikha...

S:Mandir hai... Aapko le javungi main... Hall ke paas mein hi... Bachchon ke dange mein aapko dikha nhi shayad... Pata hai...Juhi aur Manas ki Maa uss mandir ke Bhagwanji ke saath saath apne maayake se laaye apne Kanhaji ki pooja karati thi. Unhone unke liye ek chotasa mandir apne room mein hi banava liya tha...

Dh:Aur kya kya karati thi Juhi aur Manas ki maa...?

Sudha bolne hi wali thi pr Namarata Bua ne usse rok liya...
NB:Sabkuch batayenge aapko pr abhi aap fresh hoke,naashta krke thoda aaram kro... Travel krke thaki hai aap... Chalo Sudha...

Dh: Haaa... Thik hai... Pr Sudha aap mujhe batana haan ki Juhi aur Manas ki Maa aur kya kya karati thi...
S:Haaan...
.
.
.
.
Sudha ne Dhwani ke kamare se dur jaate hi Namarata bua se pucha "Bua aapne mujhe kyu roka...? Main bata deti usse kuch baatein..."
NB: Yahi to nhi karana hai humein Sudha... Jitni baatein use khud se yaad aa jayengi usse takleef kam hogi... Hum usse purani cheezein batayenge to wo dimaag pr jor daalegi... Roj ke kaam hote hue,chhote-bade baaton se usse baatein yaad aa jaye, usse uske sawalon ke jawab mile to uski yaadasht laut ana shayad aasan hoga...

S:Thik hai Bua... Kanhaji bsss kuch bhi karke hamare Purvi ki yaadasht lauta do...

Namarata bua aur Sudha ne wahi khade khade hi haath jod liye...
.
.
.
.
To be continued....

MolkkiWhere stories live. Discover now