Wo aa rahi hai...

109 26 5
                                    

Continued:

.
.
.
Rewari ka rasta kuch jyaada hi lamba lag raha tha aj Mukhiji ko... Kitani saari yaadein khul rahi thi dimaag mein... Kaise Bawari Molkki ban ke unke jindagi mein ayi aur dheere dheere unki jindagi ban gayi...

Juhi aur Manas bhi khush the aj... Apne ghar jo jaa rahe the dono aur ab unka Haathi bhi waha aanewala hai... Dono umar mein chhote hai pr wo apni Haathi ki importance jaante hai... Wo jaante hai ke Haathi ke bina unki family complete nhi ho sakti...

Namarata bhi khush kyu kii wo apne maayake, apne gaav jaa rahi thi... Saath hi saath apne BhaiJi ke Bawari ki yaadasht laut aane ke liye man hi man prathana kr rahi thi...

Sab Rewari pahunch gaye... Puri haweli maano neend se jaag uthi... "Maalik aaye,bacchhe aye... Are Namarata Jiji bhi aayi hai..." Naukaron ke aise awaj aane lage... Sab apne kamare se nikal ke haweli ke bade se living room mein jama ho gaye... Mukhiji ki haweli kisi raja ke mahel se kam nhi thi... Waise Mukhiji bhi kisi raja se kam nhi hai...

Prakashi Maa aur Anjali Namarata ko dekh ke khush hue pr Mukhiji ka khilakhila chehara dekh ke dono ke seene mein maano aag si lag gayi....

Prakashi Maa hai to Mukhiji ki sauteli maa pr Mukhiji ne kabhi unse galat vyavhar nhi kiya tha... Aur Maa bhi Virendar se yaani Mukhiji se bahut pyaar karati thi(ya sirf dikhati thi pata nhi) pr Vaibhav- Prakashi Maa ka saga beta-uske maut ke baad apne Virendar se unhone muh mod liya tha... Paiso ka laalach to Maa ko pehelesehi tha pr kabhi kisiko dikha nhi... Pr Anjali ka paiso ka,satta ka lalach kai baar saamne aya tha... Usne kai baar Purvi ko pareshaan kiya tha,Mukhiji se daant bhi lagwayi thi... Pr Mukhiji ne apne sautele bhai Yogi-Anjali ka pati-uske liye Anjali ko ghar se nhi nikala tha...
.
.
.
.
.
M:Sab log suno... Hum sabko lag raha tha na ke meri Bawari yaani Purvi 6 mahine pehele accident mein mar gayi thi... Naaa wo jinda hai... Aur kal Rewari wapas aa rahi hai...

Ye baat sunkar ghar ke naukaron ke chehare pe muskan ayi pr gharwalon ke nhi... Bsss Sudha-jo Veer ki patni thi aur Purvi ki saheli uske aankhon mein khushi ke aansu jhalake...

S:Sach mein Mukhiji...? Purvi ghar wapas aa rahi hai...?? Ab mujhse intezaar nhi ho raha... Kb usse milungi... kab usse gale lagavungi...

M: Naaa Sudha tu aisa kuch na kr sakti...

S:Kyu...??

M:Kyu kii... Bawari hum sab ko bhul gayi hai... Usse yaad nhi ke hum sab uske pariwar wale hai... 6 mahine pehele uss bus ke accident mein nhi pr kisi aur gaadi se takrane ke wajah se uske sir pr chot ayi thi isiliye wo sabkuch bhul chuki hai... Purvi se Dhwani bn gayi hai...Yaha tak wo ab dusari shaadi kr rahi hai aur wo shaadi hamare yaha iss haweli mein hogi...

Ye sunakar Maa, Anjali aur Veer ka bhi chehara khil utha... Namarata ko laga tha kam se kam Maa aur Veer to Mukhiji ke saath honge Purvi ko wapas paane ke liye pr unke chehare ki ye khushi- usne Namarata ke saare andajon pr paani fer diya...

M:Agale 10 din mein Dhwani ki shaadi Daksh Singh Shekhawat ke saath honi hai... Aur hamare pass yahi 10 din hai Bawari ki yaadasht wapas lane ke liye... Haweli mein taiyyariyan chalati rahengi jaise kisi shaadi ke liye chal rahi ho pr humein Bawari ko sabkuch yaad karwane ki koshish jaari rakhenge...

S:Mukhiji... Purvi ko hum saari purani tasveerein dikhayenge... Use uske gaav leke jaayenge... Uske Maa-Baba se milwayenge... Uske saath baithkr usse yaad karwayenge...

NB: Hum aisa nhi kr sakte Sudha... Aise jabardasti cheezein use dikhane se, uske dimaag pr jor dalne se usse takleef ho sakati hai, koi attack aa sakata hai...  Isiliye jo bhi karana hai soch samajhkar karana hai... Ghar mein rakhi uski saari  cheezein, tasveerein chhupa do kahi pe... Ghar mein aane ke baad uske dimaag ne yaha kuch mera tha ye yaad karane ki koshish krni chahiye... Saari process uske dimaag khud hi krni chahiye... Jabardasti cheezon ko yaad dilana usse takleef dega aur usse takleef mein dekh ke humein bhi takleef hogi...

S:Bua... Aap jaise kahogi waise hoga... Koi Purvi ko kuch bhi jabardasti yaad dilane ki koshish nhi karega...

Ye sunake Anjali ke chehare pe ek ajibsi muskurahat ayi aur waisihi muskurahat Prakshi Maa ke chehare pe bhi dikhai di... Namarata ke aankhon se ye baat chhuti nhi...

M:Main jara gaav mein jaake logon ko ye khabar de ata hun... Log usse dekh ke Mukhiyani keheke bulaane lage to usse kuch samjh na aavega aur dimaag pr jor dene lagegi wo... Aur takleef hogi usse...

NB: Haaa BhaiJi... Aap bilkul thik keh rahe hai... Aur gaavwalon ko bhi khushi hogi ke unki Mukhiyani lautkar aa rahi hai...

M:Haaa... To main chalata hun... Tum Sudha ke saath milake taiyyariyan shuru karwao... Meri Bawari aa rahi hai ghar laut ke... WO AA RAHI HAI...

To be continued....

MolkkiWhere stories live. Discover now