Wo Sirf Meri Hai...

142 26 6
                                    

Next day Morning:

At Daksh's house:
D(on call): Sir, wo Dr.Rawat yaha kyu aayi hai...?

Dr: Aapne hi to unko bulane ke liye force kiya tha Mr.Daksh... Aap hi Miss Dhwani ki yaadasht wapas lana chahte the...

D: Pr ab main nhi chahta ki uski yaadasht wapas aye...

Dr: Matlab...?

D: Kuch nhi Sir... Pr ab mujhe nhi lagata iski jaroorat hai... Aap unse keh dijiye...
Dr: Mr. Daksh aap ye kya bol rahe hai... Wo aapke case ke liye London se ayi hai...

D: ohk Sir... I'm sorry... Mujhe ye dar hai ke iss yadasht wapas lane ke process mein Dhwani ko koi takleef na ho...

Dr: Don't worry Mr. Daksh... Dr. Rawat is very famous for her treatments and counselling methods.... So... Let her handle this all...

D: ok...Thank you Sir...
D(self): agar Dhwani ko uska past yaad aa gaya to wo mujhse dur... Usss Mukhi ke pass chali jayegi... Main ye bilkul bhi nhi chahata... WO SIRF MERI HAI, SIRF MERI HAI....
.
.
.
.
At Mukhiji's house,
Mukhiji dropped kids in the school and just reached home. Namrata was waiting for him.

NB: Bhaiji... Aap se kuch baat krni thi...

M: Haaa... Bol...

NB: Bhaiji... Purvi ko agar uska past yaad dilana hai to koi khas baat usse batani hogi... Usss baat pe kaise react karati hai uspe humein uske treatment ki intensity tay karani hogi....

M: Are hum dono ki kitni saari yaadein hai tanne ke batau...?😢
Kisi mandir mein Mama Sarkar ne usse dekha the... Sakshi ke baad maine to koi naya rishta banana to dur ki baat apne purane saare rishten bhi bhul chuka  tha... Manne dusari shadi-wadi na krni thi... Pr Maa aur Mama Sarkar ki jidd thi.... Bawari ke ghar ke haalat bhi kuch thik naa the.... To sar ka bojh hatane ke liye uske pita ne uski MOLKKI mere saath tay kr di, use bina bataye....
Shaadi ke baad usse pata chala main shadiahuda tha... Mere bachchen hai...
Aur wo meri MOLKKI hai.... Usse iss MOLKKI shabd se bahut nafrat hai Namrata... Usse bada dukh hota hai jab koi usse meri Molkki bolata hai... Shuruwat mein main bhi kuch rukha-rukha sa bartaav kr rha tha uske saath... Pr dheere dheere usne mere bachchon ka, mere gharwalon ka, mera dil jit liya... Aur wo ab hamari jindagi ki sabse khass... Kya kahe hai angrezi mein... Im... Important insaan hai...

NB: Bhaiji... Aap bahut pyaar karate hai naa Purvi se...?

M: Haaaa... Uske har gun se pyaar krata hun... Jis tareeke se wo humara khayal rakhati hai... Jaise wo mujhe samajhati hai... Jaise wo mujhe pehchanti hai... Jaisa uska mere bachchon ke liye lagaav hai... Jaise wo apne swabhiman ke liye ladhati hai... Jaise wo sach ke saath khade hone ka saahas dikhati hai... Uski har baat se pyaar karata hun main... Sakshi se bhut pyaar kiya tha maine... Pr uske jaane ke baad jo main andar se tuta hua tha usse sameta hai Bawari ne... Mere tukde tukde jode hai usne... Iss mein usse kai baar zakhm lage... Maine usse ghayal kiya pr wo dati rahi... Bachche bhi to shuruwat mein bada tang kr rahe the usse... Manne bola bhi... "Bachchen sambhalana na ho hoga tere taa..." wo boli... " Mukhiji, hum koshish jaroor karenge... Kyon ki koshish krnewalon ki kabhi haar nhi hoti hai..." Aur uski har koshish rang layi, Namrata... uski har koshish rang layi... Bachchen to bachchen pr mere jaisa patthar bana insaan bhi usne jit liya...
Tu to jaanti hai... Jimmedariyon ke bojh tale main na bachpan thik se jee saka na dost bana saka... Pehele ghar mein tu hi meri dost thi... Fir Sakshi aayi... Sakshi bhi meri patni se jyada meri dost thi... Pr Maa aur Mukhiyani banate banate mere dost bankar rehna Sakshi ke liye mushkil kaam ban gaya... Pr Bawari ne sabkuch achche se sambhal liya... Usne Maa ya Mukhiyani ya fir meri patni banane ke liye prayas nhi kiya... Bsss wo sabki dost ban gayi aur mere liye to mere SABKUCH❤️ ho gayi...
Aur main jaanta hun wo bhi mere taa itna hi pyaar karati hai... Shayad mere se bhi jyaada... Haaa abhi bhuli hai manne... pr iss baat ka manne vishwas hai ke WO SIRF MERI HAI...
Accidentwale din maine  bahut galat keh diya tha usse.... Pr insaan gusse mein bol deta hai kuch... Uske jaane ke baad wo saari baatein kitni dukh denewali thi yo main jaan gaya hun... Aur uski sajaa manne mil gayi hai... Uske bina yo 6 mahine maine kaise kaate hai manne pata hai sirf...
Aur wo agar aur koi sajaa manne dena chahti hai wo manne manjoor hai... Bsss usse sab yaad aa jaave...

Mukhiji turned his face and wiped his tears . Namrata did the same.

NB: Bhaiji... Aap chinta mt karo... Sab thik ho jayega... Purvi ko beeti har baatein yaad ayengi...
.
.
.
.
.
Kids returned from the school so as Dhwani. She came to meet Namrata...

Dh: Dr. Wo meri yaadasht wapas laane ke liye hum kuch karane wale the na...

NB: Haaa... Karana to hai... Pr kya tum taiyyar ho...??

Dh: Haaa... Main bilkul taiyyaar hun... Mujhe janana hai mere beete kal ke baare mein... Meri family, mere maa-baba... Mujhe kuch bhi to yaad nhi hai...

NB: Shayad tumhari shaadi bhi hui hogi... Shayad bachchen bhi honge tumhare... Koi ghar... Koi gaav tumhari raah dekh raha hoga... Tumhara pati tumhara intezaar kr raha hoga...

Dh: Aap sahi keh rahi hai Dr. Maine kabhi iss baare mein socha hi nhi...

NB: Koi baat nhi... Maine tumhare Dr. se baat ki hai... Dhwani dekho tumhare accident mein tumhare dimaag pr jordar waar hua hai... Tumhare past yaad krne ke process mein tumhare brain ko takleef ho sakti hai... Tumhe usse sehana hoga... Khud ko sambhalana hoga...

Dh: Dr. main ye karoongi... Mujhe har haal mein apne past ke baare mein jaanna hai...

NB: Ok... To mujhe ye batao... Jab bhi tum tumhare past ke baare mein sochne ki koshish karati ho tumhein kya dikhata hai...?

Dh: Koi jagah hai... dhundhli si hai bilkul... Kisi shaadi ki hai shayad.. Ek insaan khada hai pagadi mein... Kai log hai waha pagadi pehene hue pr wo insaan kuch khaas tha shayad... Usse dekhne ke liye logo ne bheed lagayi hui hai... Chehara nhi dikh raha tha thikse...

Itna keh kr hi Dhwani ne apna sir pakad liya...

NB: Tum thik ho...? Paani pi lo thoda...
(Dhwani ne pani piya) issiliye maine kaha tumhein khud ko sambhalana hoga... Ab jaake tum aaram kro... Pehelehi din dimaag ko jyada takleef dena thik nhi hai...

Dhwani went. Mukhiji entered in Namrata's room and asked her.
"Bawari, thik to hai na Namrata...?"
"Wo thik hai Bhaiji, isss process mein dimaag pe jor padega, usse thodi takleef to hogi hi... Kisi shaadi ki baat kr rahi thi wo... Pagadi pehene hue insaan ki... Kyaa aapko pata hai...?"-NB

M: Uske dost Sudha ki shaadi thi... Uski bhi MOLKKI hui thi... Mere pass ye Bawari jhagadane ayi thi ke Sudha ko Molkki banaya jaa raha hai... Aap usse bacha lo... Manne tab tak patahi na tha ke Molkki pr kaise julm hote hai... Manne uss waqt kuch na kiya... Pr apne saheli ke liye mere saamne aane ki himmat dikhanewali yo ladki uss din mere dil mein jagah kr gayi...

To be continued....

MolkkiWhere stories live. Discover now