Mukhiji,Juhi-Manas ko apni pyaari Bawari ko, apni Hathi ko aise bukhar mein dekhana maano saja lag rahi thi.
Aaj to J&M ne school jaane se bhi mana kr diya tha... Hum yahi apne Hathi ke saath rahenge aisi jidd pr ade the dono... Kuch der baad ek nurse ayi... Aaj din bhar wo yahi rukanewali thi...M:ChandaniJi,Naniji kahi dikhai nhi di...?
C:Ji wo mandir gayi hai... Aaj unke kisi saheli ke ghar kuch program hai waha janewali hai fir... Aapko agr kisi kaam ke liye jaana hai to plz...
M:Naa naa aisi koi baat na hai... Ab dekho Juhi-Manas to unke Haathi ko chhodke khi naa javenge... Manne bhi aaj kuch khaas kam na hai... Main ruk jata hun... Waise Naniji aur Daksh bhi to nhi hai... Bawari ke saath.... Mera matlab hai aapke saath yaha kisiko to rukna chahiye... Main hun upar bachchon ke saath...
C(self): Haayeee mere Chandji mera kitna khayal rakhate hai... Iss bahane mere Chandji pura din mere aankhon ke samne rahenge....☺️Dhwani ka fever abhi tk kuch km nhi hua tha... Mukhiji to iss tension mein bss pure room mein chal rahe the... Babbarsher ki wahi chaal pr aankhon mein Bawari ke tabiyat ka tension saaf dikh raha tha... J&M baari baari Dhwani ke sir ki pattiyyan badal rahe the... Nurse ne ek do baar firse Dhwani ko check kiya... Itne mein Chandani di waha ayi...
C:Juhi-Manas, tum dono chalo... kuch khaa lo... Subah se kuch khaya nhi hai tumne chalo...
M:Haaa bachchon... Jaao...
J:Baba, aap bhi chalo na...
M:Tum dono aao tab tk main yaha tumhare Haathi ke pass rukata hun...
C:Haaa chalo tum dono...
(And they left Dhwani's room.)
Nr:Ji main hamare Sir ko call krke Ma'am ki condition ke baare mein batati hun...
M:Ji...
Ab Mukhiji apni Bawari ke sir ki pani ki pattiyaan badalne lage the... Goa mein Mukhiji ne Goa apni Bawari ki khayal rakha tha...
M(self): Kaas Bawari.... Tanne yaad hota humne Goa mein jo waqt saath mein bitaya tha... Tera yun hum sabko bhul jaana ab sehen na ho raha... Bss bhi kr dein ab... Pehchan le apne Mukhi ko aur apne logon ko... Tere bina pichle 6 mahine kaise kate hai hamare bss hum hi jaante hai... Ab ye sab aur kitne din chalana hai... Bss hua ab....
(Pahad jaisa ye insan aaj ankhon mein paani liye baitha tha.)
.
.
.
.
Mukhiji Dhwani ke baju se uthne lage tabhi... Usne Mukhiji ka haath pakada...
Haaa... Dhwani ko hosh aya tha... Maano... Mukhiji ke dil ki baat ustk pahunch gayi thi... "Mukhiji...." Ekdum dheemi si awaj mein usne pukara... Aur Mukhiji ke sharir mein koi leher si daud padi... Dhwani held Mukhiji right hand so tightly and laid her head on his shoulder. Apne thakaan se bhare aankhon se Mukhiji ko dekhne ki koshish kr rahi thi... "Aap yahi hai... Aap kahi nhi gaye... Koi nhi le jaa sakta aapko..." Ye aur bahut kuch aisa kuch badbadayi jaa rahi thi wo... Jis tarah Usne Mukhiji ko pakada tha, maano koi apna insaan ho aapke pass... Pal bhar le liye Mukhiji ko bhi laga ke 'yo Meri Bawari' hi hai... Kuch adhuri baat karate hue Dhwani firse behosh ho gayi... Pr ab uska fever pehele se bahut kam hua tha....
Mukhiji ne Nurse aur J&M ko aawaz di... Nurse ne aake Dhwani ko check krke kaha, "Bukhar abhi kam hua hai... Chinta ko koi baat nhi... Shaam tk pura utar jayega... Tab tk main hun yaha..."
Ab Mukhiji,Juhi-Manas aur Chandani di sabko thoda chain aya...
.
.
.
.
.
Ab Dhwani pure hosh mein ayi thi... Chandani di ne jabardasti juice pilaya tha... Bachchein aur Mukhiji ghar laut aaye the....Nr: Ma'am aapke husband aur aapke bachche aapki kitni care krte hain...
Dh:Husband aur bachchein...??
Nr: Haaa wo jo dhoti-kurta pehene hue the... Subah se ab tk aap ke hi pass baithe hue the... Bechain the bahut... Iss room ke kamse km 100 rounds kiye honge unhone... Itna bechain maine kisi delivery ke liye aaye patient ke pati ko nhi dekha hai kabhi...😅Aur aapke bachche... Pura time aapke sir ki ye paani ki pattiyan badal rahe the... Kitna khayal rakhate hai aapka...😇
Dh: Ji wo mere husband aur mere bachchein nhi hai... Wo hamare padosi hai aur wo bachche mere students hai...
Wo teeno pura din yaha the...??
Nr: Haa... Pura din... Ma'am pr unhe dekh ke aisa bilkul nhi laga ke wo koi paraye hai... Aapke liye teeno itne bechain the jaise kisi apno ke liye bechain ho.... Ab itne saalon mein hospital mein maine dekhe hai patients ke apne-paraye... Wo teeno maano jaise aapke apne the...
Accha main ab chalati hun... Aapki medicines yaha pe rakhi hai... Time pe lijiye plz... Ab aapka bukhar utara hai pr abhi kisi baat ka stress mat lijiye... Aaram kijiye... You'll feel better....
And she left.Dhwani ke dimaag mein Nurse ki baatein gunj rahi thi... "Aisa laga wo jaise koi aapke apne ho..." "Aapke husband....", "Aapke bachchein...."
Aur itne se baat se wo thak gayi aur firse so gayi...
.
.
.
.
Yaha ghar laute Mukhiji apne uss haath ki taraf dekhte baithe the jis haath ko Dhwani ne thama tha, apnehi kandhe pr apna haath fer rahe the...Jaise bahut dino baad kisi apne ne unhe chhuva tha... Koi soch bhi nhi sakta itna Sakht-Kathor dikhnewala Mukhiji jaisa insaan aaj itna emotional ho gaya tha... Aaj ke Dhwani ke uss ek CHHUVAN ne unke Bawari ki saari yaadein jaag gayi thi... Bawari ka unke sir pr haath ferana, Bawari ka daud ke aake unke gale se lagana, aisi kai saare yaadein Mukhiji ke aankhon ke saamne thi.... Pal bhar ke liye unhe aise laga ke unki Bawari laut ke aa gayi ho...
M(self): Manne abhi jaake Bawari se baat krni hogi.... Shayad use pichhli kuch baatein yaad aa gayi hai... Manne jaana chahiye....
And he started walking towards Daksh's house... Ab Bawari se dur rehena aur mushkil ho gaya tha... Daksh ke ghar ki bell bajayi... Darwaja Naniji ne khola...
N:Ji kahiye...?
M:Kuch na Naniji bsss wo Dhwaniji ki tabiyat ab kaisi hai ye puchne ke liye aaya tha... Bachchein bhi aane ki zidd kr rahe the pr unhe jaise-taise roka hai manne... Thik hai na ab wo...?
N:Ji haa... Bilkul thik hai... Aapko ab uski chinta krne ki koi jaroorat nhi... Ab main aa gyi hun na main rakhungi uska khayal... Aapne jo aaj madad ki uske liye Dhanywad...🙏
M: Dhanywad ki ke baat hai Naniji... Wo to hamari apni hai... Mera matlab hai... Mere buisness partner Daksh ke pariwaar ka hissa hai... To usmein koi badi baat nhi hai... Thik hai... Ab main chalata hun...
Itna bol ke Mukhiji darwaje se hi laut aaye... Naniji ne unhe ghar mein tk aane nhi diya... Pr aaj ke Dhwani ke bartaav ne Mukhiji ke dil mein ek aas jagi thi ke shayad Purvi ko uske bhule hue kal ki kuch baatein yaad aa gayi hai... Aaj raat sukoon se sone ke liye ye itni baat bhi kaafi thi unke liye....N(self):Main jaanti hun Mukhi aap yaha kyu aaye the... Pr chahe kuch bhi ho jaye main apne bachche ka dil nhi tutane dungi... Dhwani ki shaadi Daksh se hogi aur usee apna past yaad aane se pehele hogi....
To be continued...
YOU ARE READING
Molkki
FanfictionHere is a fan-fiction written by Chaitali D. A PurVir❤️ fan... A PurVirian😍 In India, there is a custom-Pratha similar to dowry called MOLKKI-Mol ki Dulhan in which the bride is baught with some money or some expensive things. These Molkki's has to...