Krishna: maddam ek baat pochun ap say?
Bhavna: ha pochain kiyà poochna chahtay hain ap...
Krishna: ap toh Jan hi gaen hungi Kay DSP maddam humari mom hain..
Bhavna: ji Kal ki mulaqat Kay bad humain andaza ho gaya tha woh toh. Lagta hai k ap kaafi dartay hain un say.
Krishna: or kiyà Karen hum aaj bhi unka gussa or bhaukal pehlay ki tarha hi hai..
Bhavna: Kiya woh shru say hi aaisi hi hain?
Krishna: ha par dadi maa kehti hain k yahan isi thanee mei unki ek maddam sir hua karti thi, jinhon nay un Ka gussa kaafi had tak shant karwaya tha, mom un say buhat pyar karti thi unki buhat izzat kiyà karti thi, unhain Zara bhi kuch hota tha toh mom say bardasht nahi hota tha... Un Kay jannay k bad phir say mom pehlay jaisi ho gaen hain balkay unka gussa pehlay say zayda barh gaya hai.
Bhavna: ab Kahan hain unki maddam sir?
Krishna: kisi ko pata nahi woh Kahan hain.
Bhavna: aur kiyà bataya hai apki dadi nay un k baray mei..
Krishna: maddam sir ya mom k baray mei...
Bhavna: maddam sir k baray mei kaisi thi woh...
Lady: tum Kaun ho aur maddam sir mei itna interest kyun lay rhi ho.
Krishna: aray dadi ap yahan???
Dadi: ha hum tumhain yeh tiffin daynay aaey thy tu bhool aaya tha ghar par...
Bhavna: ap Krishna ki dadi maa hain?
Dadi: ha hum hai Krishna ki dadi Pushpa Singh aur tum Kaun ho.
Bhavna: hum yahan ki naye S.I Bhavna mallik hain...
PS: Bhavna mallik.......
Bhavna: kiyà ap mujhe maddam sir Kay baray mei aur batein gi woh Kaun thi kaisi thi....
PS: humari maddam sir buhat jazbati thi, thanee mei aanay wala har case jazbat say solve kiyà karti thi. Hum yahan us samay head constable hua kartay thy, humaray liey woh humari beti ki tarha thi. Woh mujrim say zayda jurum ko khatam karnay par vishwas rakhti thi. Buhat hi Sundar thi... Un k chehray par hamesha ek pyari si muskan rehti thi.. hamesha hum ko ek parivar ki tarha lay k chalti thi... Shant, suljhi hui samjhdar ap kay naam ki tarha haseen thi.. unki bari bari aankhain woh hansi or jab un k galon par woh darha parta tha toh aur bhi khubsorat lagti thi.. yun toh woh buhat hi shoq or chanchal thi par waqt or halat nay phir unhain khamosh or mature bana diya tha, har ek say pyar karti thi.. jab say woh yahan say gaen thi yeh thanaa bilkul viran ho gaya tha, woh jab is thanee mei aaen thi tab yeh thana band honay k kaagar par tha, or agar woh na hoti toh yeh thana kab ka band ho Chuka hota.. unhon nay is thanee ko bachanay mei apna jee Jan laga diya tha hum nay Sath mil k buhat si pareshaniyun Sahi hain par thanee par koi aanch nahi aanay di thi humari maddam sir say, sab ko smait k lay k chalti thi.. or dekho aaj bhi yeh mahila thana usi parsthithi say guzar rha hai sarkar ka order aaya hai agar is thanee mei sudhar nahi aaya toh yeh thanaa band kar diya jaey ga.. aaj humain maddam sir ki kami buhat mehsoos ho rhi hai agar woh aaj yahan hoti toh zaroor is thanee ko apnay ghar ko tala lagnay say bacha layti..
Bhavna: dadi ap pareshan na hun hum hain na hum ap logon ka ghar band nahi honay dyn gay hum bachain gay is thanee ko band honay say.. hum ap ki Ms jaisay toh nahi hain par ha in ki tarha bannay ki koshish zaroor Karen gay, bus humain apki dua ki zaroorat hai...kehtay hain na
" Hath par hath rakh k umeedain bandhnay say kuch nahi hota
Hota tabhi hai jab faisaly atal or araday mazboot hotay hain"Tajurba toh nahi hai humaray par hum himmat nahi harain gay apni aakhiri dam tak koshish karen gay.
Humari Ammi Kaha karti hain..
Humain nakami say mayus ho Kay haar nahi manni chaheay kyun k humain us say buhat kuch seekhnay ko milta hai, agar hum nay zindagi mei harna nahi seekha toh zindagi say kuch nahi seekha.. Humain hamesha apnay hoslay buland or himmat jawan rakhni chaheay.. kyun k agar hum na aasani say har maan li toh zindagi mei kabhi kamiyab nahi ho paen gay..
YOU ARE READING
HUMARI ADHORI KAHANI:
Fanfictionstory based on anuseena love story when haseena herself shoot Anubhav how's her life going after that incident... will they again meet?