Next morning 🌄:
First haseena wakes up and found herself wrapped in her love arms, she smiles and gives a light peck on his heart and snuggle herself more in his arms, his sleep disturb by the movement he thought she is sleeping peacefully he just gives a kiss on her forehead.
" Hum toh apni har subha isi tarha chahtay thy haseena ji, k hum aankh kholain or apka yeh chehrah humaray samnay ho, hum roz apko isi tarha apni bahon mei lay k soen , Jo sakoon or Jo Khushi humain ap Kay Sath ap k qareeb reh k milti hai woh kahen aur nahi hai haseena ji. Par Sath Sath dar bhi lagta hai Kay na janay Kaun sa toofan humaray aagay khara hai Jo hum dono ko phir say alag kar day ga, hum ap say behad prem kartay hain jis ki koi had nahi hai haseena ji, par bharosa nahi hai humain humari qismat par. Hum apko dard dayna nahi chahtay hain haseena ji. Koshish Karen gay Kay hum apko khush rakh saken, baqi wahi hoga Jo humaray naseeb mei bhagwan nay likha hoga"
HM: good morning Anubhav 🌅 .
AS: ap jag rhi thi?
HM: nahi par jab ap khud say batein Kar rhy thy tabhi humari aankh khul gae, waisay ek baat kahen aaj pooray 6 mahinay bad humain itni achi or sakoon ki neend aai hai, sirf apki wajah say hum itnay dinon bad chain say Soo paen hain, aaj pata chala k Ammi ki goud k bad sab say sakoon ki jagha pati ki bahain hoti hai. Jahan hum apna har dard har takleef bhool jatay hain.
AS: aaisa kuch nahi hai haseena ji maa ki goud say zayda sakoon ki jagha koi ho hi nahi sakti, waisay bhi hum pass rehnay say apko aaj tak sirf perah pohnchi hai, woh sakoon woh pyar Jo ap chahti hain woh hum apko kabhi nahi day saken gay.
HM: ap pyar toh kartay hain na hum say Anubhav?
AS: shaid.
HM: or yeh shaid agar ap humari aankhon mei deekh k kahen toh behtar hoga, kyun ap kal say hum say nazrain chura rhy hain. Isliay na k ap humari ankhon mei deekh k hum say jhoot nahi keh paen gay.. hum jantay hain k ap hum say kis qadar mohabat kartay hain Anubhav, Jin ka bayan lafzon mei mumkin nahi hai toh phir hum say nazrain churana band karen or humari ankhon mei aankhain dal k baat karen.
AS: hum ap say nazrain nahi chura rhy hain haseena ji balkay hum sharminda hain hum nay Jo bhi aaj tak ap k Sath kiyà hai us k liay.
HM: yahan dekhain humari taraf Anubhav or humari baat humari taraf deekh k sunain gay ap. Kis baat ki sharmindagi hai apko Anubhav, is baat ki Kay ap nay desh ko apnay pyar par tarjeeh di, ya baat par sharminda hain ap k ap nay humain surakshit rakhnay k liay hum say har rishta toar diya tha, ya is baat par sharminda hain k ap ka hum say pyar Karna sirf ek ghalti thi, naraz honay ka haq humain tha ap say Anubhav, par hum aam premikon ki tarha nahi hai Jo aainay ka ek hi rukh dekhti hain, hum nay dosri taraf bhi jhanka hai Anubhav, humaray dard say Kai gunnah zayda bara dard apka tha Anubhav, humaray pass sab thy humara dard bantnay k liay, par ap k pass koi nahi tha Jo ap k kandhay par hath rakh sakay jis k seenay say lag k ap apnay saray dard aansoon mei baha saken. Apnon ki suraksha k liey apnon k dil mei khud k liey nafrat dalna aasan nahi Anubhav. Hum kabhi ap say nafrat hi nahi Kar paey.. humara pyar din ba din ap k liay barhta hai Anubhav. Kam nahi hota, hum har mushkil mei ap k sath rehna chahtay hain please ap dobara yeh sab keh k humara dil mat toreay ga. I love you Anubhav..
She hugs him.
AS: I love you too haseena ji. Hum koshish karen gay k humari wajah say apko dobara takleef na ho.
HM: good ab jaldi say tyar ho jaen humain thanee Jana hai or apko head quarter, dobara DSP ki post join karnay k liay application daynay.
AS: lekin...
HM: hum nay commissioner sir say baat kar li hai Anubhav, Mahesh sir 6 mahinon ki chutti par ja rhy hain or shaid us k bad woh apna transfer apnay home town mei karwa lyn gay.
YOU ARE READING
HUMARI ADHORI KAHANI:
Fanfictionstory based on anuseena love story when haseena herself shoot Anubhav how's her life going after that incident... will they again meet?