Continue from previous...
Nani: Bhavi beta tu thak gae hogi ja ja k thori dyar aaram kar lay. Haseena kiyà hua Kahan kho gae hai tu..
HM: kahen nahi Ammi...
Bhavna leave...
NM: hum jantay hain tu kiyà sooch rhi hai, uski yad aa rhi hai na.. tera dard hum samjh saktay hain beta. Maa hain hum teri, teri manta ko hum khoob samjhtay hain...
HM: Ammi ap janti hain na hum yahan is shehar mei loat k kabhi aana nahi chahtay thy , par Bhavna ki zid humain yahan lay aai.. sach bolun toh hum bhi yahi chahtay k hum ek bar usay deekh lyn, pata nahi Kahan hoga, kitna bara ho gaya hoga humara beta.. kitni nafrat karta ho ga na apni maa say woh... Kiyà Ammi Allah hum say itnay khafa hain?
NM: nahi beta Allah apnay naik bandon say khafa nahi hota, bus unki azmaish layta hai k Kaun is kasauti mei khara utarta hai, dekhna woh tujhe tere betay say zaroor milaey ga ek din.. or Hassan tujhe maaf bhi karay ga..
Bhavna comes from downstairs, Ammi and haseena both are unaware.
HM: Ammi hum yeh sooch rhy thy k hum nay Bhavna say us Kay Abu ki Jo sachai chupai hai jab usay pata chalay ga toh us par kiyà guzray gi Kiya woh bhi hum say nafrat karay gi sab ki tarha, usko jab yeh pata chalay ga k us Kay Abu ka murder hua tha or woh murder usi ki Sagi...
Bhavna: Kis nay kiyà tha unka murder, Humain toh aaj tak ap nay yahi bataya k woh ek police officer thy ek case k doran woh shaheed ho gay thy, ap janti hai usay bolain jawab dyn, Kaun hai jis nay mujhe aanat kiyà hai, mujh say mera bachpan mere Abu chehnay hain. Ammi mei saza day k rahun gi us insaan ko jis nay mujh say or ap say sari khushiyan cheeni hain humari. Kaun hai woh???
HM: ha hum jantay hain us insaan ko.
But her nani interrupt before haseena tell her whole truth...
NM: koi faida nahi hai uska Bhavna us insaan ko saza mil chuki hai..
Bhavna (pov): Mera maan nani ki baton par yaqeen karnay say mana kyun kar rha hai,nahi kuch toh hai Jo Ammi or nani maa hum say chupa rahi hain, woh zaroor janti hain humaray Abu k qatilon ko. Par mujh say chupa kyun rahi hain sach.. koi toh gehra raaz hai inki khamoshi mei, kyun Ammi baat baat par dar jati hain, kyun woh mujhe police officer bannay say rok rahi thi, kyun unhon nay aaj tak mujhe mere Abu ka naam tak nahi bataya, kiyà unhain dar tha k woh log mujhe bhi koi nuksan na pohchain ya phir koi aur wajah... Mujhe apnay Abu k baray mei jald say jald pata lagana hoga.. is k liey mujhe kisi ki help chaheay par Kaun karay ga meri help....
************
Scene head quarter:Karishma strikes with a constable due to their strikes the file from his hand dropped.. he take it and goes.
KS: ek minute yahan aaeay ga, yeh Kaun si file hai lag toh buhat purani rahi hai, isay Kahan lay ja rhy hain ap?
Constable: maddam woh commissioner sir nay yeh file mangwai hai unhain hi daynay ja rha hun..
KS: theek hai ap yeh file humain dyn hum sir ko day dyn gay... Hum sir k pass hi ja rhy hain..
KS ( pov): yeh file sir ko kyun chaheay, yeh toh koi kisi buhat hi puranay case ki file lag rhi hai.. dekhtay hain k is file mei kiyà hai.
She opens it when she starts reading case details her expression changed, her faces colors faded away, she grabbed the nearest chair and take a glass of water drinks in one go..
" Yeh kaisay ho sakta hai" still in shocked, " yeh toh us case ki file hai jis par bhabhi or bhaiya akhiri bar Kam Kar rhy thy, kiya Jo bhaiya nay Jo Kaha hum say Kaha tha woh sach tha haseena maddam kiyà sach mei nirdosh thi, kiyà bhaiya ki Jan laynay or Ms ko phasanay k liey sharyantar racha gaya tha.. agar aaisa tha or Ms janti thi bhaiya bayqasoor hain toh unhon nay in par gooli kyun chali thi? Sach kiya hai humain pata lagana hoga... Ms agar baygunnah hain toh unhain insaaf zaroor milay ga... (Lost in thoughts of guilt and many unanswerable questions raised in her mind which destroy her mind peace)
YOU ARE READING
HUMARI ADHORI KAHANI:
Fanfictionstory based on anuseena love story when haseena herself shoot Anubhav how's her life going after that incident... will they again meet?