PART #8

642 87 16
                                    

Hassan is driving like a mad man...
Hassan : nahi milna chahta tha tum say haseena mallik nafrat karta hun tum say, kyun tum aai phir say humari zindagi mei, khud ko hum say or mujhe meri behan say dour rakha kyun kiyà tum nay aaisa, buhat nafrat karta hun mei tum say, tum buhat buri ho haseena mallik, par pata nahi kyun aaj tumhain deekh k mujhe itni takleef kyun hui humari nafrat kyun kamzoor parnay lagi, nahi aainda kabhi dobara tumhari shakal nahi deekhun ga  mei, kabhi nahi na hi baba ko yeh pata lagnay dunga k tum Kahan ho. Kyun k baba k zariey tum meri Zindagi mei wapis aa sakti ho Jo mei nahi chahta, par baba ko uski beti say dour kaisay rakh sakta hun, Bhavna Kiya sach mei meri Sagi behan hai? Khoon ka rishta ho ya na ho mei nay dil say usay behan mana hai. Par mere sawalon ka jawab Kaun day ga...woh sawal Jin ka Jawab mei aaj tak dhondta aaya hun, nahi Hassan tum haseena mallik ko bina saza diey kaisay chor saktay ho , ek wahi hai Jo tumhari tumharay baba ki or Sath Sath Bhavna ki bhi gunahgar hai, tum us say jitni bhi nafrat karo ek bar toh tumhain us say milna hoga Hassan...wahi day gi jawab tumharay sawalon gay, mei Bhavna ko tum say alag kar k tumhain bhi wahi takleef dunga tab tumhain mere dard ka ehsaas hoga haseena mallik...

He takes u turn and makes his way towards haseena's  house🏠... Noor Jehan opens the door and Hassan peeps inside without saying anything...

Hassan starts shouting " haseena mallik bahir aao Kahan ho tum aaj Hassan Anubhav Singh aaya hai tum say apnay saray sawalon k Jawab laynay.. woh tum say nafrat karta hai tumhari shakal nahi deekhna chahta phir bhi aaya hai tum say badla laynay bahir aao tum Kahan chup k baithi ho himmat hai toh Hassan Anubhav Singh ka samna karo aa Kay" ( burning with anger)

Haseena: Hassan mere bachay...
She comes and hugged him tightly mujhe pata tha tum zaroor aao gay apni maa say milnay usay ek mooqa zaroor do gay beta. ( She cupped his face and starts giving numerous kisses on each and every inches of his face , tears continuously rolling down from her eyes , Hassan eyes also becomes moist and his anger reduce little due  her mother's love warmth. ) Tumhari maa nay kuch bhi jan boojh k nahi kiyà hai Hassan woh buhat majboor thi beta, bhala Kaun maa apnay Jigar k tukray ko yun chor k aati hai..

Hassan pushed him a little: natak band karo tum apna, baba par tumharay in aansoon ka asar ho sakta hoga par mujh par nahi... Sach sach batao Bhavna ka mujh say kiyà rishta hai haseena mallik jawab do mujhe...

HM: woh tumhari Sagi behan hai Hassan... humara or Anubhav ka khoon...

Hassan: ha mujhe tum say ek aur dhokay ki umeed thi haseena mallik, so woh mujhe mil gaya hai, mei Bhavna ko apnay Sath ghar lay k jaunga.. woh tumharay Sath nahi rahay gi ab.

NM: yeh tum kiyà keh rhy ho beta , haseena maar jaey gi Bhavna k bina usi k liey toh jee rhi hai woh.

Hassan: nahi marti yeh kisi k bina nani maa, mujhe bhi toh chor k zinda thi na yeh, kiyà farq parta hai , acha hai na maar jaey yeh jaisay is nay mere baba ko maara tha.. bus Bhavna mere Sath jaey gi mei yahan say usay liey bina nahi jaunga . Woh aa jaey mei usko iski sari sachai bata k apnay Sath lay jaunga apnay ghar.

HM: nahi Hassan tum aaisa nahi Kar saktay ..

Hassan: mei aaisa hi karun ga haseena...

Haseena: nahi hum kahen nahi janay dyn gay apni beti ko.. hum tumharay Sath Sath uski bhi nafrat nahi seh paen gay.
Wipes her tears and runs to her room..

NM to Hassan: Hassan theek hai tujhe Bhavna ko Sath lay Jana hai toh lay jao par sach janay bina hum tumhain Bhavna ko nahi lay janay dyn gay kahen, tumhain kiyà lagta hai haseena tumhain chor k buhat khush thi, nahi woh buhat toot gae thi suicide bhi do bar karni chahi us nay par nahi Kar pae kyun k us k grav mei Bhavna pal rhi thi.. Bhavna k bad us nay Bhavna ko hi apni zindagi apnay jeenay ka maqsad bana liya tha, sab kuch usi k liey Karna chahti thi.. mana k teri gunahgar hai par usay tera gunahgar bannay par majboor kiyà gaya tha.. warna woh toh tujh say Bhavna say bhi zayda pyar karti hai Hassan. Ek aurat ki jitni bhi Santan kyun na ho Jo lagao Jo pyar pehli Santan say hota hai woh kisi say nahi hota.

HUMARI ADHORI KAHANI:Where stories live. Discover now