Here is the new chapter... .enjoy everyone...
(everyone came in drawing room after dinner... .as they are talking... purvi is in her room)
Purvi : (sit on bed) hume samajh nahi aa rha... ki ye mukhiji aakhir chabte kya hain humse... pehle mann ko maarne ki koshish ki... aur ab mann ke saath hi itna apnapan... .pehle humaare bacche ko dosh bataa dia... aur ab... ab usi bacche ke liye itna pyaar... (get up) is waqt to hum khud unhein samajh nahi paa rahe...
Voice : (normally) kya baat hai... aap mukhi virendra pratap singh ko unhien ki patni... purvi virendra pratap singh nahi samajh paa rhien... aur jahaan tk hum jaante hain... unhein aapse behtar to koi samajh hi nahi sakta haathi...
Purvi : (see juhi manas there) genda... khargosh... .hum nahi samajh paa rhe unhein... .hume nahi samajh aa rha... ki jo 10 saal pehle hau use maane... yaa ab jo ho rha hai use... .10 saal pehle jo hua... jo humaare saath hua... use bhi nahi bhool skte... aur aaj jo ho rha hai... use maan bhi nahi paa rhe...
Juhi : (came near her) haathi ... 10 saal pehle kya hua tha... ye aaj tk humne aapse nahi poocha... .naa hi kabhi baba ko aapke aur mann ke baare mein bataya...
Manas : (nodded) hume aaj bhi yaad hai... jab aapke marne ki khabar ghar aayi thi... to kis tarah baba toot gye the .. apne aapko unhone naa jane kitne dino tak kamre mein hi band rkkha tha... .naa kisi se bolne aur na hi dhang se khana... .(teary) uske 2 mahine baad hi daadi ne hume hostel bhej dia... us sabse door bhejne ke liye...
Juhi : (see purvi) aur wahaan jb aapka letter hume 6 mahine baad mila... to hume lagaa maano bhagwan ne humaari sun li ho... (teary) haathi jb aap humse milne aaye... humne apne chhote bhai aur aapko jab sahi salaamat dekha tha naa... wo din sabse khushi ka din tha humaare liye... .(wipe her tear) lekin phir aapne humse manaa kr dia... ki aapke zinda hone ki baat hum ghar mein kisi se naa kahein ...
Manas : (turn) aur yahi baat chipaae rakhne ke liye... aur aapse humesha milne ke liye hum america studies ke liye pahunch gye .. har mahine aapse milte the... apne bhai ko badaa hote hue dekha...
Juhi : (stern) lekin baba ko ye sab dekhne ko nahi mila haathi... unhone mann ka bachpan... humara bachpan... .aapka pyaar sab kuch... sab kuch kho dia...
Purvi : (stubborn) galati bhi unhone hi ki thi... .ek kundali ki wajah se unhone humaare bete ko maarne ki koshish...
Manas : (cut her sentence) ek min. Haathi... aap kehte ho ki baba ne mann ko maarne ki koshish ki thi ... unhone aadmi bheje the... (narrow his eyes) lekin jo humne abhi kuch hafte dekha hai... .baba aur mann ke beech... jabse unhein pataa chala hai ki mann unka hi beta hai... wo ek ek pal dhoondhte hain .. uske paas hone ke liye... uske saath khelne ke liye .. ab aap hi bataaiye haathi .. jo baap apne bete ke aas paas rehne ke itne bahaane dhoondhta hai... uske liye sab kuch krta hai .. kyaa wo apne us bete ko maarne ka soch bhi skta hai...
Juhi : (see her) aur sach to ye hai haathi... .ki sirf baba hi nahi... aap bhi baba ka pyaar nahi bhooli hain... (purvi saw her) haan haathi .. agar aap bhool gyein hotien... to aaj jab wo khaane pr se uthkar gye .. uske baad hi aap bhi bahana banaakar nahi jaatein...
Purvi : (avoid eye contact) aisa... aisa kuch bhi nahi hai...
Manas : (smile) kisse jhooth bol rhi ho haathi... humse yaa apne aap se...
Juhi : (see her with smile) sach yahi hai haathi... ki baba aaj bhi aapke liye utne hi maayne rakhte hain jitna pehle the... .baba aap bhi aapke dil mein hain...
Purvi : (nodded in no) nahi... ye sach nahi hai .. jhooth hai ye .. wo insaan mere liye kuch bhi nahi hai...
Manas : (turn towards her) to phir... .aap aaj tak aage kyun nahi bad paayein... kyun aaj tk aapne doosri shaadi nahi ki .. kyun kisi aur ko apne dil mein jagah nahien de paayein aap... .ab tk aapne jo kahaa... jo aapke saath hua humne bharosa kia... .humne aapki har kasam maani... humne ghar mein kisi ko aapke baare mein nahi bataya ... (stern) or ab... ab haathi... aisa lagta hai... ki is kahaani mein koi aur bhi shaamil hai...
Juhi : (came near her) zaraa socho haathi... .agar saalon pehle jo hua usme baba ka haath hota... .to kyaa wo mann ke saath is tarah bartaav krte... .kyaa use apni pagadi pehanaate waqt unki aankhon mein aansoo hote ... kyaa use dekhkar... wo itna khush hote... ek baar socho haathi .. ek baar... .(purvi remember all the moments and think about it... )
Purvi : (think then said) pr... jo humne dekha... jo hua...
Manas : (serious) ek baar phir se cheezon pr nazar daaliye... .sach tk pahunch hi jaaengi aap... (with this they left from there)
Purvi : (try to connect the things) hume kuch samajh nahi aa rha... sach kya hai... jo saalon pehle humne suna... yaa jo bacche keh rhe hain... .(think) kyaa hume ek aur baar soch lena chahiye... kyaa ek baar mukhiji se baat krni chahiye... (she think about this... meanwhile a servant came and told that all are calling her in hall... she nodded and came downstairs... there she saw all are playing games)
Shaurya : (saw her) aa chhoti... .. dekh kitna accha game chal rha hai...
Purvi : (confused) kaisa game ...
Karan : (smile) game ye hai bua ki..... (show her a bowl) is bowl mein kuch chits hain .. jinme kuch words likhe hain... ab aapko ek chit choose krni hai... .aur jo word mile us par aapko ek gaanaa gana hai .. aur haan ye word is song mein hona chahiye... chaliye aap bhi baith jaaiye... shuru krte hain....
Purvi : (try to deny) aap sab kheliye... humara mann nahi hai...
Abhi : (insist) aree beta aao naa... thoda time family ke saath bhi spend kro... .aa jaao... (she can't deny so nodded and sit with them) chalo bhai... to pehle chit kaun uthaane wala hai ...
Arjun : (get up and take chit) pehle mein hi aa jaata hoon... .(open it) to bhai humara word hai... nagme... (think) haan...
Tum agar saath dene ka vada karo
YOU ARE READING
Tujhse Naraz Nahi Zindagi...💞💞 (Two Broken Soul)..💔
Hayran Kurgucontinued chapters of Meri Dhadkan mein....Season 2...dekhte hain kyaa mod aayaa hai kahani mein...❣️✍🏻🤝