Episode 13

17 1 0
                                    

Haider ko 2 ghante hogaye the gari musalsal chalate hue, besabar tha wo Layla ko dekhne ke liye.

Gari chalate hue dekha usne dekha ke samne se ek bike par do larke a rahe hai, par unhon ne mask pehne hue the.

Usne foran Hassan ko call ki.

—Hassan ¿tuje wo bike dikh rahi hai?

—Han, muje kuch theak nahi lag raha, hume ehtayat se guzarna hoga yaha se.

—Han, tu bhi kheal rakhna or piche hi rehna—Haider ne kaha.

Wo jo samne se arahe the un ka irada sirf or sirf inko nuqsan pohchna tha.

Dono amne samne agaye the ke un bike walo me bina koi moka diye gun nikal ke sidha Haider ki gari ko Mari.

Goli sidha shishe se par ho kar iske bazu par lagi.
Haider ki gari ruk gayi thi, Haider dard se behal ho raha tha, khoon nikal raha tha boht zeda.
Wo bike wale ek goli  Hassan ko bhi marna chahte the par nishana jaldi me galat laga or wo wahan se speed ke sath bagh gaye.

Hassan ne jab Haider ki gari ruki hui dekhi wo baghta hua bahir nikla us ki gari ki taraf baghte hue rukh kiya.

Usne jab Haider ko dekha dard se behal usne gari ka darwaza khola or Haider ko bahir nikala.

—Tú theek hai? Kiya sawal kar raha hu me bhi—Hassan ne uski bazun se khoon dekha to uski ankhein khul gayi.—Chal abhi wapis doctor ke pas.

—Kuch ni hua mujhe pagal—Haider ne khud ko compose karte hue bola

—Kiya matlab kuch ni huwa teri bazu pe goli chli hai! Chal wapis—usne rukh mora par Haider ne roka usko.

—Kuch ni huwa muje, gari me box para hua hai patti lagade Bas muje khoon na nikle.—use boht dard ho raha tha par wo wapis nahi jana chahta tha.

—Tu pagal to ni hogaya?

—Hassan jazbat me na ao, marunga ni me agar doctor k pass na gaya to, hum jis kaam se aye hai wo pura kar ke hi wapis loten ge, me Layla ko wapis le kar hi jaun ga.

Hassan ne ankhein pheri upar se niche.

—Or Agar bhabhi wahan na hui to?

—Wo wahin hai mera dil kehta hai ke wo wahin hai.

—Tu nae manega ga na?—Hassan ne pucha.

Haider ne nafi me sir hilaya.

—Acha chal me patti kar deta hun par muje dar hai ke infecction na hojaye, goli guzri hai teri bazu se.

—Koi infection nahi hoga tu ye muje band or chale yahan se— Haider ne bandege ki taraf ishara kiya.

Dono phir se nikal pare apni manzil ki taraf.

Ab sirf kuch hi lamhat me wo apni manzil tak pohchne wale the, intezar khatam hone wala tha, or action time shuru.

Jab ye dono gari se niche utre to in ke samne ek purana ghar tha toota hua, rang utra hua, beyanak ghar lag raha tha wo.

—Yaar kesi darawni jagah hai ye to ...— Hassan ne kaha darte hue

—Tuje dar lag raha hai?

—Nahi to.

—To phir chal, ya god me utha le jaun? —Haider ne mazakhiya andaaz me kaha, Hassan ne ankhein pheri upar se niche.

Dono us purane ghar ki taraf ji janib bare or jab darwaze k samne tak aye to darwaza band tha, lock hua tha.

—Darwaza to khul nahi raha, ab?—Hassan ne pucha.

—Waqt hua jata hai filmi style se darwaza torne ka.

—Shabash,  chal fer torde darwaza sher babbar!.

Haider teen char kadam  piche hua or phir.

3

2

1

¡booom!

Darwaza itna nazuk tha k Haider ki ek laat se toot gaya. Zeda zor ni lagana para hero ko.

Ye dono tez raftar se andar agayi or samne Ayesha ke bodyguards.

—Ye to boht sare hai kese nimpte ge? —Hassan ne ahista awaz me pucha.

—Police Bas ane wali hogi chal une apni taqat dikhate hai tab tak.

Body guard in dono ko gusse se dekh rahe the or in dono ki janib bar rahe the or ye bhi un ki taraf. Ek benefit ye tha ke pas koi  athyar nahi tha par Hassan or Haider ke pas the par abhi nikale nahi the.

Haider ne moka diye bina zor se uski gal pe mukka Mara or phir jwab me isne khaya bhi.

Hassan bhi kam nahi tha marne, lagta tha apni sara gussa aj yahin nikalna tha usne.

Tab tak police ki gari bhi agayi thi.
Police officers baghte hue aye or Hassan or Haider ko roka, un bodyguards ke hath me hathkari lagadi.

Hassan dusre police wale k sath ayesha ko dhoond rahe the or Haider dhoond raha tha ke Layla kidar hai.

Itne sare rooms me dekha par Layla ka nam  nishan nahi tha.

Akhir kaha hai Layla? Bas yehi soch raha tha Haider us waqt.
Phir usse stairs dikhi jo ke niche le ke jati thi.

Haider sirion utar k jab akhri floor pe poncha to udar ek hi room tha, baki sab jagah khali or veraan.

Isne darwaza kholne ki koshish ki par darwaza lock tha, kande se darwaza kholne ki koshish ki boht bar par ye darwaza boht mazboot tha, tha wood ka par boht mazboot, asani se nahi khulne wala tha.

Haider ne apne ird gird jaldi se dekha k koi cheez mil jaye darwaza torne me.

Phir uski nazar pari, ek kone me ek bara sara pathar tha rakha hua. Ye uski taraf gaya or pathar uthaya jo k boht bhari or wazni tha, Haider ne apna sara zor lagaya us pathar ko uthane me or usko darwaze tak le jane me.

Jab wo agaya usne zor se pathar darwaze pe mara jo neche a kar para.
Thori si kharash ayi par abhi darwaza nahi toota tha.

Haider ne bar bar utha k darwaze k upar marta raha jab tak k wo door niche a kar gir gaya, ise der nahi lagayi andar ane me.

Udar Layla pari hui thi zameen pe, bandi hui puri tarah buri halat me.

Ye baghta hua us ke pas gaya sab se pehle usko rassion se azad kiya, muh se tape hatayi.

Usko apne dono hathon me  uska chehra tham liya, uski taraf dekha jo use hi dekh rahi thi, ro rahi thi khamoshi se.

Layla ne kuch bhi soche bagair Haider ke sine se laggayi or boht rone lagi.

Haider to pehle hairan rehgaya, unexpected tha jo ho raha tha, Layla us k sine par sir rakh ke, or uske dono bazu uske ird gird the mazbooti se usko pakra huwa tha.

Haider bhi kuch seconds bad usko tham liya, apne qareeb  or zeda karliya.

—Ab me agaya hun Layla, ab or kuch nahi hone dunga tumare sath or jo hua hua uska badla zaroor lunga—Haider ne kaha gusse ki agh me.

Use Layla ke ansun bardash nahi ho rahe the, usko gussa araha tha ye soch kar k Layla k sath kiya kiya ino ne kiya hoga, or jis halat me thi wo. Haider ki ankhein gusse se lal ho rahi  thi.

Jab Haider ne Layla ko khare hone me madad kar raha tha par Layla khari nahi ho pa rahi thi, us ke puré jism me boht zakham the, har jagah se khoon ke nishan the.

Isne phir Layla ko apne bahon me utha liya, usne kuch nahi kaha kiuke wo khud khudko bejaan mehsoos kar rahi thi, kuch bhi karne ki himmat nahi thi usme..

Haider ka dil zor zor se dharak raha tha or use dar tha ke is dil ki halat kahin Layla ko na pata chal jaye.

Wo jab jab Layla ki taraf dekhta tha use ajeeb si feeling a rahi thi.

Jab wo dono upar k floor pe a chuke the wahan el police officer sath Hassan tha.

—Bhabhi...—Hassan lajawab rehgaya uski halat dekh kar.

Or tab tak Layla phir se behosh hogayi.














Teri meri kahaniOnde histórias criam vida. Descubra agora