Episode 22

20 0 1
                                    

Laylaaa o Layla Layla!!
Aisi tu Laylaaaa!!
Har koi chaaaahe tujhse!!
Milna akelaaaaa—koi apni besuri awaz me ga raha tha.

Piche se original gane ki awaz sunai de rahi thi par ye besuri awaz....

—O Layla!—lagta hai duo singer hai. Koi or bhi hai jo isi tarah gane ka satyanas kar raha hai

—Aaha! aaha! aaha!!Laila, Laila!
Hey! Hey!—aree yahan to pura la pura band shamil hai.

Mene bhi ankhein nahi kholni. Mushkil ho raha tha hassi ko control karna .

—Oye gana change karo koi shadi wala lagao!!

—Ye lo phir.

—Uth ja Laylaaa tuje ah Haider ke ghar hai! O Tuje sajan ke ghar jana hai—Ye Mahi ki awaz thi.

—Sare mil ke gao!—Nida ne kaha.

—Tuje sajan ke ghar jana hai!! Tuje sajan ke ghar jana hai!!—Sari mil k ga rahi thi.

—Humari -La-yla ko ghar jana hai!! —or ye Areeka bhi.

Sari lagta paglet hogayi meri shadi ki khushi me.

Finally mene apne sir se chadar hathai. Or ankhein kholi.

Adhi mere bed pe thi nach rahi or adhi zameen pe

Meri hassi nikal gayi—Tussi pagal o gayian. Lagda meri shadi di khushi wich tussan suba subah pang pi li.

(Urdu: Tum log pagal hogayi Ho? Lagta hai meri shadi ki khushi me subah subah  pang pi li tum logon ne.)

—Kuch esa hi samjh lo—Hazal ne kaha.

—Ab dulhan g humara concert khatam hogaya hai ab esa karen k tashreef le jaye niche.

—Yaar neend arahi muje zor ki —mene kaha susti me, ankhein mujse sahi se kholi nahi thi ja rahi.

—Aj tumari shadi hai pagal, aj bhi neend ayi tume?—Amna ne heraan ho kar pucha.

—Han na—mene puppy face bana kar kaha—sone do muje —me phir se let gayi bed pe chaddar upar karli muh ke.

Par in logon ne hatha di.

—Yaaar kea musibat hai, nai karni muje aj shadi cancel kardo.

Or ye sab hasne lagi.

— Koi joke mara mene?

—Ye joke hi tha—Heera ne kaha.

Phir mera bhai Ali, is ne entry mari.

—Layla api ap jag gayi, mama ap ko niche bula rahi hai—is ne kaha or chala gaya.

—Chal ab uth te ja.

Finally muje apne bed se juda hona hi para. Itna ajeeb lag raha tha k jis ghar me, jis kamre me, mene itna waqt guzara aj usse me chor k ja rahi hun kisi or k ghar.

Ye hum larkiyon ko hi kiyun kurbani deni parti hai? Apna sab kuch chor ke kisi or k ghar chale jana or phir susral wale sawal karte: Tumne hume diya hi kea hai? Tumne humare liye kiya hi kea hai?

Matlab k hum apne parents apne shokh, apne dreams, sab kuch chor ke ate hai in ke ghar ko sawarne or ye kehte ke humne kiya hi kea hai?

Khair kya kar sakte...

Mene bath li, nashta kiya sab k sath or phir sab ne kaha ke beta ab parlour ki taraf niklo. Mera bilkul bhi mood nahi tha par ab kea kareeeen?

Lagta me boht sust or lazy dulhan sabit hui hun.

Agar me kisi cheez k liye excited thi to wo apne bridal suit k liye barat ka  Ufff itna haseeen hai wo. Dekh dekh ke jee ni bharta.

Ap log bhi dekh lo, muje describe karne wala syapa ni hoga, or me kon sa darzi hun jo muje describe karna ata hoga, mushkil se exact color bata paungi.

Teri meri kahaniOpowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz