CHAPTER 13 | MERI IS HAALAT KI ZIMMEDAR MISHTI AGARWAL HAI!

106 4 0
                                    


" YASH"

Jaise hi peechhe se yeh aawaz aayi, Yash aur Mishti apni jagah par freeze ho gaye the. Yash ki aankh se ek aansoon tapak gaya. Mishti ko woh hadsa yaad aa gaya tha jise usne apni yaadon mein lagbhag kho hi diya tha. 

Jaise hi Yash peechhe muda, us aawaz ki owner bhag kar aayi aur Yash ko gale laga liya. Yash ke mooh se sirf ek hi shabd bahar aaya.

" Deepali........"

Usne kaafi faint si aawaz mein bola par Mishti ne yeh sun liya tha. Mishti ki aankh se bhi ek aansoon behe gaya jab usne dekha ki wo ladki Yash ko gale laga rahi hai. 

Deepali ne Yahs ke saath hug break kiya aur usne sabko dekha aur pehchanne lag gayi. Mishti ki family ko chhodke wo sabko pehchaan gayi. Jaise hi uski nazar Mishti par padi, wo Yash ki taraf turn hui aur ekdum serious face banakar usse sawal poochhne lag gayi.

" Yash, yeh ladki yahan kya kar rahi hai?"

" Deepali yeh-"

" MISHTI AGARWAL"

" Tum Mishti ko kaise jaanti ho? I mean I know wo ek bahut badi aur popular telly actress hai"

Deepali ne kuchh nahi bola aur Mishti ka haath pakadkar usko Yash ke ghar ke bahar dhakke markar nikal rahi thi. Yash Deepali ke peechhe jata par Deepali ne usko rok diya. Yeh dekhkar Kusum ne Deepali ko zor se ek thappad mara aur Mishti ko wahan se lekar chali gayi.

Is high voltage drama ke baad Deepali ko saans lene mein takleef hon lagi isiliye Yash ne usko hospital mein wapas admit karwaya. Yash ke dimag mein ek hi cheez bhari hui thi ki Deepali ne uski Mishti ke saath aisa kyun kiya. 

Mishti distraught feel kar rahi thi. Gade murde ukhad rahe the aur yeh sab ek din mein handle karna Mishti ke liye bahut difficult ho raha tha. Mishti apne room mein thi jab achanak se uski saans phoolne lag gayi aur wo ek hi cheez baar baar dauhra rahi thi. Use kuchh samajh nahi aa raha tha. W roye bhi jaa rahi thi. Achanak se Mishti bahut zor se chillayi aur behosh hokar gir gayi. 

Jai turant uske room mein bhagte hue gaya aur Kabir bhi aa gaya. Wo log Mishti ko turant hospital lekar gaye. Ye Yash ka hospital tha aur Kabir wahan par internship bhi kar raha tha. Mishti ko jaise hi admit kiya gaya, Kabir ne Yash ko call kardia aur usko Mishti ki halat ke baare mein bata diya. 

Yash ne bina delay kiya apne hospital ke best doctors Mishti ke treatment ke liye send kiye aur wo khud bhi aa raha tha. Bas thodi hi der mein Yash bhi wahin par pahuch gaya aur Mishti ke updates liye. Kusum wahan par chup khadi thi. 

THODI DER BAAD

Mishti aur Deepali same ward mein hi the. Yash Mishti ko examine karwa raha tha aur analysis report check kar raha tha. Us report se usko yeh pata chala ki Mishti ko panic attack aaya tha aur reasons wo log nahi jaante the. Examine karne wale doctor ne Yash ko bataya ki Mishti ko let go karna hi padega. Itne mein Deepali ko bhi hosh aa gaya tha aur uski nazar Mishti par padi jo wahan thi aur Yash uske saath tha. 

Yeh dekhkar Deepali ko bahut insecure feel ho raha tha. Yash ko nahi pata tha ki Deepali ko bhi same ward mein rakha gaya hai. Kuchh minute baad Mishti ko bhi hosh aa gaya. Uske uthte hi Yash ne usko gale laga liya. Mishti Yash ki embrace mein ro rahi thi. Yeh dekhkar Deepali ko betrayed feel ho raha tha. 

" Yash mai-"

" Shhhhh"

" Par-"

" Main jaanta hoon ki meri Mishti ne kuchh nahi kiya. Meri Mishti kisi ka kuchh bura kar hi nahi sakti. Mai yeh baaat achhe se jaanta hoon."

" Yash...wo ladki...Deepali thi....Mai...mai jaanti hoon use...Humm dono ka past connected hai"

" Mishti, Deepali wahi ladki hai jisse mai tumse milne se pehle tak pyaar karta tha. Irony dekho....Humare pasts connected hai"

" Hum apne secrets share karenge?"

" Hann"

Yash Mishti ko wapas leta deta hai aur fir uski nazar Deepali par padti hai, jisne uski Mishti ke saath saari conversation sun li thi. Wo wahan par chup chap lti hui thi. 

" Deepali, yeh maine socha nahi tha ki tumhe kabhi bolunga lekin kal shaam ko mere ghar aa jaana jo tumne bigada hai wo sudharna hai aur poora sach jaanna hai"

" Yash...Tum samajh nahi rahe ho ki yeh sab kuchh...huamara alag hona...meri is halat ki zimmedar sirf Mishti hai"

" Meri Mishti aisa nahi kar sakti"

Ye bolkar Yash wahan se chala gaya. Deepali ko bura lag raha tha.

NARRATOR'S POV

Apni apni jagah, Mishti, Deepali dono hi galat nahi hai. Dono sirf apni side of the story jaante hai. Poora sach koi bhi nahi jaanta hai. Poora sach bhi koi nahi jaanta tha. Lekin haan ek baar sabko sabki side of the story pata chalegi to hi sch bahar aayega. Ye sach kisi ki zindagi khushiyon se bhar dega to kisi ki zindagi uske paapo ke karan alag rukh le legi. 

END OF NARRATOR'S POV


I hope you like it and do not copy my work. Also do not forget to follow, comment, vote for my work. Stay tuned for the next part.  

KAHAN HUM KAHAN TUM | INDIAN MYG FFजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें