***RN-Humko Tumse Pyar hai***
Part - 15naina:-koi fayda nahi...unki bus jaa chuki hai...unki bus 4 baje ki thi and its already 4:45...aur waise bhi main nahi jaungi...kyuki raj mujhe nahi chahta...par ha bhaiya ho sake to apne aur uske beech ki duriyaan kam jarur kar lena...(naina room se bahar chali jati hai...aur sam rote hue wash room me...aur naveen bejaan wahi par khada hai...)
naveen ka mann fir bhi nahi manta hai to wo bus stop ki taraf jata hai aur wo sabse puchhta hai par raj aur aalekh ja chuke hai...naveen bas wahi khada hai aur roye ja raha hai...aaj naveen ko apne aap par sharm aa rahi thi...wo sir jhukaye kma wapas aata hai...aur sam usse puchhti hai ki kya raj aur aalekh mile par...par naveen ne apna sir na hilaya aur apne room me jakar packing karkar bina naina se mile nainitaal laut gaya...
ab in sab ki leaves khatam ho chuki hai sabhi apni apni jagah posted hai...in kuchh dino me raj ne apna no bhi change kar liya hai...sirf aalekh se baat karta hai wo...naveen ne kai baar kosis ki raj se baat karne ki but no use...naina to ab puri tarah badal chuki hai...wo huda se baat tak nahi karti hai...use huda se itani nafarat ho gayi hai ki naina ka bas chale to o huda ko jaan se maar de...sam ne kai baar naina ko kaha huda ko sabak shikhane k liye but naina chup hai wo sahi waqt ka intezaar kar rahi hai...par naina ne yeh thaan ke rakha hai ki wo huda ko usi ke hisaab se sabak shikhayegi...aur ab naina ke mann me huda k liye bhi ek plann chal raha hai...
dusri taraf raj bhi pura badal chuka hai...wo ab sirf serious rehta hai...sir apne kaam se kaam rakhna aur apna mission karna yahi kaam reh gaya hai raj ka...raj ke kaam ko sabhi sarah rahe hai bcz raj khatarnaak se khataranaak mission me jata hai aur apne desh ko pure tan mann se serve kar raha hai...aur yahan naveen aur aalekh bhi apne duty kar rahe hai...aur shalu bhi apni padhayi kar rahi hai...
academy me ab naina sam aur huda ka 2 yr khatam hone ko aa raha hai...naina ab sam ke sath milkar huda ke sath pyar ka natak kar rahi hai...huda bahut khush hai ki akhirkar uski jeet hui...abhi naina ne direct huda ko nahi kaha hai ki wo usse pyar karti hai par usne huda ko kai aise hint diye hai...wahi sam bas huda ko apni taraf attract karne ki kosis kar rahi hai...aur dono hi ab huda aur nair ke beech devide and rule ka farmula pana rahe hai...wahi ab jabse raj loge academy se gaye hai nair huda ko take k bhav leta hai ...ab kahin na kahin huda ko bhi aisa lagta hai ki usne galat kiya hai...par uska ego kahin na kahin uske ander k insaan ko peeche chhod deta hai...
naina ka bas yeh last year bacha hai academy me...ab uska bhi main moto life ka apne desh ko serve karna hai... naina yunhi apni window k pass khadi hai aur use bas apne purane din yaad aa rahe hai is acaedmy me..jo usne raj, naveen,aalekh,aur shalu ke sath guzaar the...
nagme hai...shikwe hai...kisse hai... baatein haui...
nagme hai...shikwe hai...kisse hai... baatein haui...
(naina ko pal yaad aa raha hai jab wo pehli baar raj se takraayiii thi aur dono ek dusre me kho gaye the...)baatein bhool jati hai...yaadein yaad aati hai...
baatein bhool jati hai...yaadein yaad aati hai...
(naina ko wo sabhi baatein yaad aa rahi jo usne aalekh naveen aur shalu ke sath bhi isi academy me guzare the...)yeh yaadein kisi, dilon jaanam ke...
chale jaane ke baad aati hai...
(use hal uss pal ka afsos hai jab wo raj ko apne dil ki na baat keh paayi...na hi use jaane se rok paayii...)yaadien...yaadien...oh yaadien...
yaadien...yaadien...yaadien...
(naina ke aankhon me aanshun unn kadvi yaadon ke liye hai to wahi uske honthon pe muskaan kuchh achhi yaadon ki daastaan suna rahi hai)
...
...
bandhan ho to...hum chhode...
darpan ho to...hum tode...
(raj apne quater se aasmaan ko dekh raha hai...aur use sirf yahi lag raha hai ki is saal me sab ko peeche to chhod aaya...par uski achhi aur buri yaad uska peecha kyun nahi chhodti...)
YOU ARE READING
Humko Tumse Pyar Hai-Rajveer -Naina (Raina) FF /LRL FF
FanfictionHi everyone, I am chandni , I m a bigggg fan of Rajeev, I used to write ff on rajeev in India forum but due to some personal reasons I stopped writing, now a days I m reading again, so thought y not to post my stories here as well, so it can be reac...