Muqaddar Ke Bandhan

388 12 0
                                    

"Faiza tum kya Fardan ke saath hi gayi thi uss din jis din maa ne tumhe kisi ke saath car mein jaata dekha tha?" Shafiq Faiza se puch raha tha.

"Mujhe iss baare mein baat nahi karni Shafiq please jao yahan se" Faiza Shafiq ke sawaal ko ignore karti hui boli.

"Tum kya uss Fardan se mohabbat karti ho? isliye iss shaadi ke liye raazi hogayi?" Shafiq Faiza se phir puchne laga.

Faiza ne gehri saans li aur boli, "Shafiq tumlog mujh pr bharosa nahi karte isliye main chahe kuch keh lu ab farq nahi padega. Meri shaadi ab unse ho hi rahi hai toh tumhe jo samajhna hai tum samajhlo!"

"Pr Faiza tum mujhe keh kar toh dekho main maa baba se baat karlunga. Agar tum usse mohabbat nahi karti toh tumhe usse shaadi karne ki koi zarurat nahi." Shafiq uske haath pakadne ki koshish karte hue bola jo Faiza ne jhatke se hata diye.

Faiza Shafiq se durr hatt gayi aur puchne lagi, "Shafiq mujhe kisi se kuch nahi kehna hai. Tum mama mami se baat kyun karoge? Tum ne bhi toh mera bharosa nahi kiya tha na uss din phir ab kyun bharosa karna chahte ho?"

Shafiq bola, "Main jaanta hu maine galti ki, mujhe tumhara bharosa karlena chahiye tha. Mai bas kuch waqt ke liye maa ki baaton mein aagaya tha pr mera yaqeen karo abse kabhi mai tumhari kisi baat pr shakk nahi karunga. Mai tumse bahot mohabbat karta hu Faiza isliye mai nahi chahta ke tumhari shaadi uss Fardan se ho. Tum iss shaadi se inkaar kardo aur mujhse shaadi karlo please."

"Shafiq ye kya keh rahe ho? Tumhara dimaag toh kharab nahi hogaya? Mai hamesha se tumhe bade bhai jaisa samajhti aayi hu." Faiza Shafiq ki baaton pr hairaan hoti hui boli.

"Pr mujhe tumhara bhai nahi banna. Mai toh tumse nikah karna chahta hu." Shafiq gusse se chillaya.

Faiza boli, "Mami ne tumhara rishta Arshia se tay kardiya hai toh tum mujhse aisi baatein mat karo."

"Faiza agar tum aaj nikah se inkaar karke mujhse nikah nahi karogi toh mai kabhi kisi aur se nikah nahi karunga." Shafiq bola.

Faiza hans padi aur bolne lagi, "Shafiq kabhi bhi kisi ek insaan ke sahare koi apni poori zindagi kharab kar raha hai toh khud ke saath nainsaafi kar raha hota hai. Tum mere liye bahot khaas ho lekin mai tumhare qaabil nahi hu. Tum Arshia ke saath bahot khush rahoge yaqeen karo mera."

"Mujhe Arshia nahi tumse mohabbat hai aur koi bhi insaan sirf tabhi khush rehta hai jab wo apni mohabbat ke saath ho." Shafiq Faiza ki koi baat sunne raazi nahi tha.

Faiza ne Shafiq ko zor se dhakka diya aur jaldi se darwaza lagane lagi. Shafiq darwaze pr dastak de raha tha utne mein mami ji wahan aagayi aur Shafiq se bahot sawaal karne lagi.

"Shafiq tum Faiza ke kamre ke bahar kya kar rahe ho? Tumhein mai kabse dhund rahi ho? Tumhe maloom hai na aaj shaadi hai Faiza ki...ghar mein 1000 kaam hai aur tum yahan kya kar rahe ho? Chalo mere saath aao aur mera kaam mein haath batao!" Mami ek hi saans mein boli aur Shafiq ki baat sune bina usse le kar chali gayi.

Shafiq Faiza ka nikah kisi aur se hota hua dekhna nahi chahta tha aur Faiza kisi se bhi nikah nahi karna chahti thi pr qismat ko kuch aur manzoor tha. Zindagi mein hamesha wo nahi hota jo hum chahte hain pr kabhi kabhi jo hum nahi chahte wahi hamare liye behtar hota hai.

*******************************

Rumaisa aur Ayesha aaj phir Faiza ko lekar parlour gaye hue the. Faiza ka bridal makeup chal raha tha aur Ayesha ko uski phuppi ke calls pr calls aa rahe the jinhe wo baar baar uthati aur har baar 20 minutes ka waqt maangti. Poore 2 ghante baad wo sab taiyyar the aur function hall pahonch gaye. Faiza ka bridal dress Ayesha ne apni pasand se liya tha aur wo apni pasand se bahot khush hui kyunki Faiza inn kapdo mein bahot zyada haseen lag rahi thi. Ayesha ne laal rang ka ek joda pasand kiya tha jo ek sharara tha aur usme bahot hi baarik aur khoobsurat kaam bana hua tha. Faiza ka rang sunhera hone ki wajah se ye rang us par khil raha tha aur wo beintehaa khoobsurat lag rahi thi. Uske ghunghat pr Fardan Ki Dulhan likha tha jisse Ayesha ne ache se set kiya aur phir usse stage ki taraf le gayi. Rumaisa maroon colour ka suit pehni hui thi aur Ayesha light pink sharara pehni hui thi jo uss pr bahot jach raha tha.

Shaadi me bahot saara kharcha toh Fardan ki taraf se hi hua tha sirf function hall aur khane ka intezaam Faiza ke Mama ne kiya tha jis pr Faiza ki mami kuch chidi hui thi. Faiza ki maa ke kuch purane zevar the jo mama ne usse shaadi pr diye the. Nikah bahot jaldi mein hone ki wajah se har kisi ko dawat dena mushkil tha isliye sirf khaas logon ko dawat di gayi thi.

Ek bade se hall mein 2 hisse kare hue the aur beech mein phoolon ki deewar ki tarah bana tha jisme ek taraf Faiza aur saari ladkiyaan thi aur dusri taraf Fardan bhi apni jagah pr maujood tha jo gents section tha. Moulvi Sahab nikah padhane lage.

"Fardan Shehriyaar bin Wajdan Shehriyaar kya apko Faiza Amani binte Furqan Ahmed Sikander se ba'haq meher 50 lakhs ke nikah qubool hai?" Moulvi Sahab ne Fardan se pucha. Fardan phoolon ke pardeh mein se Faiza ko dekhna chahta tha pr aisa toh mumkin na tha. Wo kuch sonch mein dooba tha aur sab hairath se aapas mein baatein karne lage the.

"50 lakhs??? 50 lakhs toh bahot zyada hai na?" Faiza ke mami ki ek behn boli. "Itni zyada haq meher? Kya bahot ameer ladka hai?" Arshia ki maa jo Faiza ke mami ki dusri behn thi puchne lagi.

"Haan 50 lakhs toh bahot hai. Humein bhi nahi maloom tha haq meher ki raqam itni zyada hogi. Ladka kisi Shehriyaar Industries ka maalik hai." Mami boli.

"Zeba Aunty Shehriyaar Industries ke baare mein apko kuch maloom bhi hai?" Arshia shock mein puchne lagi.

"Nahi beta wo toh Faiza ki principal ka bhatija hai isliye hum jaldi se raazi hogaye aur sab achanak tay hogaya. Pr Faiza ke mamu ne shayad koi daryafi ki hai." Faiza ki mami boli.

Arshia phir se boli, " Zeba Aunty, Shehriyaar Industries iss mulk ke top companies me se ek hai aur jis tarah wo company chal rahi hai wo ek crorepati toh hai."

"Zeba agar ladka itna ameer tha toh tumne ye rishta hamari Arshia ke liye kyun nahi dekha? Iss badkirdaar ladki ki toh qismat hi khul gayi." Arshia ki maa chidhte hue boli.

"Qubool hai! Haan mujhe ye nikah qubool hai...mujhe Faiza Amani se ye nikah qubool hai!" Fardan ne khushi se kaha aur uski awaaz pr sab chup hogaye. Faiza Fardan ki awaaz me jo khushi thi usse note karte hue soch rahi thi kya wo sach me itna khush hoga usse nikah karke pr usse pata nahi kyun ab tk bhi yaqeen nahi aa raha tha ke uski shaadi ho rahi thi.

"Faiza Amani Binte Furqaan Ahmed Sikander kya apko Fardan Shehriyaar Bin Wajdan Shehriyaar se ba'haq meher 50 lakhs ke nikah qubool hai?" Moulvi Sahab puchne lage.

Faiza ki dhadkan badhne lagi. Wo bahot khauf mein thi kyunki aaj wo apni poori zindagi ek ghair insaan ke haath mein dene wali thi. Uske zubaan pr koi lafz hi nahi aa raha tha. Ayesha aur Rumaisa uske haath pr haath rakh kr usse baat karne ki himmat de rahe the pr Faiza ke dimaag mein Fardan aur Shafiq ke izhaar'e mohabbat wali baatein chal rahi thi. Usse pata nahi tha wo jo karne wali hai sahi hai ya nahi pr usne apna mustaqbil rab ke faisle pr chodh diya aur kaanpti awaaz mein boli, "Qubool hai!"

Moulvi ne phir se wahi sawal kya. Aur Faiza phir boli, "Qubool hai."

Moulvi ne teesri baar sawal kiya aur Faiza ne iss baar gehri saans li aur confidence se boli, "Haan Qubool hai!"

Sab aapas mein gale mil kar mubarakbaad de rahe the. Faiza gehri saans leti hui Ayesha aur Rumaisa ke haathon ko dekh rahi thi jo unho ne uske haath pr rakhe the. Faiza Fardan ko toh nahi jaanti thi pr usse Ayesha bahot pasand aagayi thi. Bas 2-4 mulaqaton mein Ayesha ne Faiza ke dil mein jagah bana li jo bahot badi baat thi kyunki Faiza kisi se kabhi khulti na thi aur yahi wajah thi ke uski sirf ek hi dost thi, Rumaisa. Fardan muskurate hue sabse milne laga. Uske khushi ka koi thikana na tha. Usse lag raha tha aaj usne saari duniya jeet li ho. Shafiq Faiza ke teesri baar qubool hai bolne pr wahan se chala gaya tha aur Arshia uske picche bhaagi thi.

***************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones....Lots Of Love!!!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now