Few days later
Js: Haseena mujhe tujhse kuch baat karni hai,
Hm: haan, maa boliye na,
Js: laa Mishika ko mujhe de aur tu mere sath baith,
Hm: ji maa boliye,
Js: haseena yaad hai tune mujhse kaha tha ki tera sapna hai doctor banne ka lekin tujhe apna sab kuch chor kar jaana pada aur tu teacher ban gayi to mai tujhse puchna chahti hun ki agar tujhe ab mauka mile doctor banne ka to tera kya faisla hoga,
Hm: maa aap is waqt humse aese sawal kyu puch rahi hai aap janti hai na Mishika bahut choti hai abhi,
Js: maine tujhse tera faisla pucha to tu sirf uska jawab de,
Hm: maa agar ye sawal aapne humse Mishika ke aane se pehle pucha hota tab shyad humara jawab haan hota, lekin ab humara jawab na hai, hum wapas se teaching hi karenge kyuki usme hume Mishika ke liye waqt milega aur aap to jaanti hai na doctor hona kitni badi baat hai agar koi emergency aa gayi to hume jaana padega aur shyad hum Mishika ko waqt na de paye,
Js: aur tere sapno ka kya,
Hm: jaruri nahi ki sapne hakikat ban jaye, maa aapko kya lagta hai humara faisla sahi hai ya galat,
Js: main na tujhe Karishma ki ek baat batati hun jo kisiko nahi pata hai vo sunne ke baad tu khud batana tera faisla sahi hai ya nahi,
Karishma dasvi mein thi aur Anubhav baarvi mein, us saal dono ki board ki pariksha thi, to pre board ki pariksha me Anubhav ne bahut hi ache ankh laye the lekin Karishma fail ho gayi thi, to us result wale din Karishma ne humse aa kar kya kaha pata hai,
Hm: kya kaha,
Js: usne humse kaha ki ye padhai humare bas ki chiz nahi hai aap anu bhaiya se hi padhai karwa lo, hum ghar per reh kar aapka saara kaam kar denge lekin padhai nahi karenge,
To phir maine usse uske sapne ke baare pucha,
To usne kaha ye school ki pariksha mein hum paas nahi ho pa rahe to police afser banne ke liye to pata nahi aur kitna padna hoga aur hum usme bhi pass nahi ho payenge,
To phir maine usse ek baat kahi thi jo mai tujhe aaj kehna chahti hun,
Hm: kon si baat maa,
Js: yahi ki insaan ko vo sapne dekhne hi nahi chahiye jise vo pura na kar sake, aur agar tumne koi sapna dekha hai to use apne jeevan ka lakshya bana lo aur use pura karne ke liye drindh sankalp lo ki jab tak vo lakshay prapt nahi ho jaata tab tak haar nahi manoge aur raaste mein aane wali saari kathinaiyo ka dat kar samna karoge,
Yeh sunne ke baad usne ye taan liya ki chahe kuch bhi ho jaye police afser to vo bankar rahegi, aur usne mann lagakar padhai ki, aur aaj tu khud dekh sakti hai ki vo kis makam par khadi hai,
Tu hi bata agar us din vo haar maan jaati aur maine usse uska lakshay yaad nahi dilaya hota to kya vo abhi jaha hai vaha kabhi ho paati, kya aaj main itne garv se keh sakti ki meri beti ne police bankar mera naam roshan kiya hai,
Hm: to maa aap chahti hai ki main doctor Banu,
Js: doctor banna na baana ye tera faisla hai lekin main tujhse yeh keh sakti hun, jis din tu doctor banegi na us din teri ammi ko tujhpar bahut garv hoga,
kyuki tu naa hi sirf doctor bankar apna sapna pura karegi, logo ki jaan bachayegi balki teri ammi sar utha kar kahegi ki unhone tujhe akele is kabil banaya isliye unki beti ek dr hai,
Hm: maa aap dusri saas jaisi kaise nahi hai agar koi aur hota to vo humse pakka yeh kehti ki mujhe ghar baithkar ghar aur bache sambhalna chahiye lekin aap hai ki mujhe doctor banne ko keh rahi hai,
Js: maine to tujhse pehle hi kaha hai ki tu meri bahu nahi beti hai aur main tujhse nahi balki har ladki se yeh kehna chahungi ki unka kaam sirf ghar sambhalna nahi hota hai balki ek ladki vo sab kuch kar sakti hai jo ek mard kar sakta,
sabse pehli baat to yeh hai ki ek ladka ho ya ladki dono barabar hai isliye dono ko saare kaam aane chahiye vo ghar ho ya bahar ke aur dono ko hi apna sapna pura karne ka barabar mauka milna chahiye,
Hm: hum sach mein bahut lucky hai ki hume aap maa ke roop mein mili, aur ab mera faisla yeh hai ki main apna sapna jaroor pura karungi,
Js: chalo achi baat yeh hai ki tujhe meri baate samajh mein aa gayi,
Hm: haan hum achi tarah se samjh gaye maa aur thank you hume yaad dilane ke liye ki humara maksad kya tha,
Js: le ab Misha ko kamre mein sula de vo so gayi hai,
Hm: ji, hum Anubhav aur ammi ko ye bata kar aate hai ki jis sapne ko maine sapna samjh kar chor diya tha ab use pura karne wale hai,
Next Day
Js: haseena kaisa gaya sab kuch, jis kaam ke liye gayi thi vo hua ki nahi,
Hm: maa hum sab kuch batayenge pehle Anubhav aur ammi ko aane dijiye,
A few minutes later, Anubhav walked in, carrying Mishika in his arms, while Ammi also joined them.
Hm: ammi aapko Javed sir yaad hai humare professor,
Sm: haan,
Hm: hum university jaakar unse mile aur unhe humari saari situations samjhayi aur vo samjh bhi gaye aur humne unhe bataya ki hum wapas continue karna chahte hai to pata hai unhone humse kya kaha,
Sm: kya,
Hm: unhone kaha ki unhe humari kabiliyat par pura bharosa hai unhe pata hai ki hum doctor banne ke liye kitni mehnat kar rahe the isliye hume sidha is year ke students ke sath exam dena hoga jise clear karne ke baad hume sidha internship mil jayegi, lekin ek problem hai,
As: kya problem,
Hm: vo exam 4 mahine baad hai aur us exam mein humne jitna padha tha vo to ayega hi lekin uske baad aur ek year ki padhai hai jo humne nahi ki hai usme se bhi ayega aur hume char mahine mein sab kuch complete karna hoga,
Aur hum to purani saari padhai bhul gaye hai hume lag raha hai,
Js: haseena khud par vishwas rakh, tujhe yaad hai na maine kal tujhse kya kaha tha,
Hm: maa yaad to hai lekin 4 mahine bahut kam waqt hai isme itna sab kuch padhna namumkin hai,
Js: koi bhi kaam namumkin nahi hota hai aur tere sikshak ne kaha na unhe tujhpar pura bharosa hai aur mujhe bhi tujh par pura bharosa hai tu ye kar legi,
Hm: ji maa hum apke bharose par khayam rehne ki puri koshish karenge,
Js: acha to tu kal se apni padhai shuru kar de, aur Misha ki chinta mat karna uska khyal hum sab milkar rakhenge,
Hm: ji maa, lekin padhne ke liye hume books chahiye honge,
As: aap hume books ke naam bata dijiye hum laa denge,
Sm: haseena teri saari kitaabe maine sambhal kar rakhi hai us ghar mein,
As: to thik hai sham ko hum ammi ke sath jaakar aapki kitabe le ayenge,
Hm: hmm, lekin hume kuch nayi kitabe bhi chahiye honge vo jis year ki padhai humne nahi ki thi na uski,
As: aap chinta mat kijiye hum sab ayenge, aap to sirf doctor banne ki tyari kijiye,
Upon hearing Anubhav, Mishika let out a loud excited scream in her babyish voice, almost as if she was agreeing with whatever Anubhav had just said.
Js: ab to Misha bhi chahti hai ki tu doctor banne,
Hm: acha Misha aap chahte ho ki apki Mumma doctor banne,
Mishika grinned happily and seeing her joy, Haseena lifted her into her arms planting a series of kisses all over Mishika's face. Mishika burst into laughter, finding her mother's loving gestures absolutely amusing.
____________________________
If you liked this part then do vote and comment, see you in the next part ♡.
YOU ARE READING
Always There For You 💫
FanfictionA young man who saved a girl, instantly captivated by her, finds himself in a situation where they must marry. Will she agree to this proposal?
