Perfect Date

119 28 8
                                    

Haseena woke up in the morning, found an empty bed, got ready in the bathroom, and then sat at the dressing table to comb her hair.

Hm: Pata nahi Anubhav ko yaad hoga ya nahi, shyad nahi yaad warna to raat barah baje hi wish kar dete. Rehne do agar unhe yaad nahi hoga to mai bhi yaad nahi dilaungi.

M: Mumma aap itne pretty lag rahe ho, aap kahi jaa rahe ho?

Hm: Thank you beta, Mai kahi nahi jaa rahi balki aaj to maine hospital se bhi chutti li hai.

As: Kyu?

Hm: Kyuki hume break chahiye tha roz hospital jaa kar bore ho gaye the.

As: ohh,

M: Mumma to kya aap aaj mujhe school ke liye ready kar doge.

Hm: lekin roz to aap khud se ready ho jaate ho na.

M: Please na mumma,

Hm: Okay hum kar denge aap ready, chalo.

At Breakfast

Hm: Maa aaj breakfast bahut tasty bana hai, roz jaisa hota hai usse kuch alag hai.

Js: Kyuki aaj nasta Anubhav ne banaya hai.

Hm:(in mind) oh iska matlab yaad hai tabhi na breakfast banaya hai.

As: Woh aaj Meena didi nahi aayi aur maa ne unki tabiyat theek nahi lag rahi isliye humne banaya hai breakfast.

Hm: Maa aapki tabiyat thik to hai na.

Js: Woh thoda sa sar mein dard tha.

Hm: to maa aapne mujhe kyu nahi bataya.

Js: Theek bhi ho gaya hai ab, tu kyu chinta karti hai meri.

M: Papa bahut tasty hai breakfast.

Js: Woh to hona hi hai usne itne pyar se jo banaya hai.

M: Mumma aaj aapki chutti hai to kya aap mujhe school chor doge.

Hm: Haan Misha kyu nahi.

M: Aur papa aap bhi, aap aur mumma dono sath mein.

As: okay princess.

Hm: Misha aapka bag itna halka kyu hai,

M: Mumma aaj half day hai na,

Hm: ohh.

After leaving Mishika at school, Haseena inquired about their destination as Anubhav opted for an unusual route instead of heading straight home.

Hm: Anubhav hum kidhar jaa rahe hai yeh ghar ka rasta nahi hai aur na hi office ka.

As: Woh hume ek client se milna hai isliye.

Hm: client se is waqt,

As: haan kyuki 10 baje unki flight hai to woh humse usse pehle milna chahte hai.

At Some location

As: Hum abhi unse milkar aate hai tabtak aap car mein rahiye.

Hm: hmm,

Hm: (in mind) bas yaha baithkar intezar ke siwa aur kar bhi kya sakte hai, hume laga unhe yaad hoga ki aaj kitna special din hai lekin nahi.

While Haseena pondered in the car about Anubhav, a knock on the window interrupted her thoughts. Lowering the window, she found a little girl holding a single rose, offering it to her.

Hm: Yeh kisliye,

Little girl: Yeh aapke liye, kyuki aap bahut sundar ho.

Hm: aww thank you, aapka naam kya hai....

Always There For You 💫Where stories live. Discover now