Rekha: Haseena beta Misha aur Anaya kaha hai,
HM: Woh dono abhi bhi so rahe hai,
Rekha: acha thik hai, acha tu bata naste mein kya banau tere aur Misha ke liye.
HM: aunty I mean Mom jo sabke liye bana rahi hai wahi bana dijiye Woh sab khati hai khane ko haan bas uska drama yeh rehta hai ki usse meri plate se bhi thoda khana rehta hai.
Rekha: Yeh to achi baat hai warna to jab Anaya choti thi tab uske bahut drame the yeh nahi khana to woh nahi khana. Lekin abhi to woh sab khati hai.
Acha waise tujhe pata hai na aaj Anaya ki mehndi hogi...
HM: ji mom aap tension mat lijiye maine mehndi artist se baat kar li hai woh bilkul time par aa jayegi aur decoration ke liye Karishma ne kaha hai woh Billu ke sath decorators ko bhej degi aur fatafat sara kaam ho jayega.
Rekha: Mai kyu tension lu tune jo sab kuch aapne haath jo le liya.
M: Suprabhat Mumma,
HM: Aaj good morning ki jagah suprabhat kaise Misha,
M: mumma papa kaha hai,
HM: ohh lagta hai abhi bhi puri tarah se neend nahi khuli hai,
Misha hum yaha Nani Ghar mein hai yaha papa nahi hai lagta hai aap papa ko bahut Miss kar rahe ho.
M: hmm,🥱
HM: Mishu utho
M: mumma mujhe papa chahiye,
HM: Misha papa Dadi ghar mein hai yaha nahi,
M: lekin mujhe papa chahiye,
HM: acha aap humari baat suno, aaj na apke maasi ki mehendi hai usme aapki santu bua Karishma bua sab ayenge to aap unke sath chale jaana papa ke pass, okay.
M: hmm, lekin mehendi kya hoti hai.
HM: mehendi, aap woh shaam ko dekh lena pata chal jayega.
Rekha: acha Misha breakfast mein kya kahoge bolo hum bana denge.
M: umm, pasta, noodles, burger aur aloo Paratha.
HM: Misha!!
M: Mumma aap mujhe aese dekhoge toh mai papa ko bata dungi.
HM: hmm, aur kar bhi kya sakte ho har waqt to sirf papa hi yaad aate hai aapko.
Rekha: Misha aapko har waqt papa chahiye hota hai na to haseena jab Mishika apne papa ke pass chali jayegi toh tu na yahi ruk jaana waise bhi Anaya ke jaane ke baad hum akele ho jayenge.
HM: bilkul sahi kaha Mom aapne kyu waha bhi har waqt sirf papa papa hi karti hai.
Rekha: haan to usse apne papa ke pass hi rehne dena aur tu humesha ke liye mere pass reh jaana.
M: nahi mai mumma ke sath hi rahungi,
Rekha: nahi haseena mere sath rahegi kyuki woh meri beti hai.
M: nahi meri beti hai, meri beti
HM: 😳
Rekha: Offo Misha aap apne mumma ki beti ho ya aapki mumma aapki beti hai.
M: mai mumma ki beti hoon,
Rekha: waise hi Haseena meri beti.
M: mumma dekho na Nani kya bol rahi hai aap unko bolo aap mere saath rahoge.
Mai aapke bina nahi reh sakti main choti hoon na, aur Nani aap toh bade ho na aap akele reh sakte ho mai mumma ke bina nahi reh sakti aur nanu bhi toh aapke pass rahenge.
HM: haan baba mai aapke pass hi rahungi humesha, woh toh hum aur Nani aapke sath mazak kar rahe the.
Rekha: haan Misha mai to aapke sath sirf mazak kar rahi thi.
YOU ARE READING
Always There For You 💫
FanfictionA young man who saved a girl, instantly captivated by her, finds himself in a situation where they must marry. Will she agree to this proposal?
