Match Day

126 33 8
                                    

Hm: hello Aaru kaha hai tu, tujhe yaad hai na Misha ka match hai aaj. Woh tujhe dhund rahi hai.

AR: sorry yaar traffic mein hoon, tu Misha ko lekar stadium jaa, mai wahi aaungi. Aur haan uska sara saman dhyan se rakh lena aur haan mere room me dekhna, uske liye shoes hai.

HM: thik hai lekin match shuru hone se pehle aa jaana.

AR: pakka aa jaungi.

HM: Misha chalo hum dono chalte hai maasi wahi aa jayegi.

M: Kisiko meri match ki chinta nahi hai, maine papa ko phone kiya unhone nahi uthaya aur ab maasi.

HM: beta abhi aap jaoge waha thoda warm up karoge, coach ke instructions sunoge. Aapka match ko 5 baje shuru hoga na tabtak pakka maasi aa jayegi.

M: aur bua?

HM: aap jante ho na bua ko police station mein kaam hota hai woh bhi nahi aa payegi.

M: Mujhe nahi jaana match khelne jab koi dekhne hi nahi ayega.

HM: Misha footballer banne ka sapna aapka tha, aapne hi na humse ladai ki, hume manaya taki hum aapko football khelne de aur aap ho ki jab mauka mila hai to mana kar rahe ho.

M: lekin mumma...

HM: Koi mumma nahi, aapko footballer banna hai ya nahi.

M: banna hai,

HM: to sirf aaj ke match ke baare socho aur aaj match mein apna best dena. Aap doge na apna best.

M: Yes Mumma.

HM: To meri mumma ka bacha, chale hum.

M: hmm,

HM: Aur haan subha dadi ne aapko all the best wish kiya tha. Aap baat karoge unse jabtak hum stadium pahunchte hai.

M: haan mumma.

In the stadium, as the match kicked off, both Haseena and Mishika were swept up in a whirlwind of emotions. Down on the field, Mishika's heart pounded with nervous anticipation—it was her inaugural football match, after all. Meanwhile, Haseena, seated in the stands, mirrored her daughter's anxiety, her attention fixed solely on Mishika, the game, and the passage of time. Throughout the match, Anaya's enthusiastic cheers echoed through the stadium, serving as a constant source of encouragement for Mishika.

However, Haseena remained laser-focused on her daughter's performance, watching every move with bated breath. As the final whistle blew, signaling Mishika's team's victory with a 2-goal lead, Haseena couldn't contain her elation. Jumping up and down in her seat like a child, her happiness knew no bounds—it was a momentous occasion, marking Mishika's first triumph on the football field.

Outside the stadium

Hm: Misha aapne bahut achha khela, aap best the.

M: thank you mumma, aapko pata hai coach sir ne bhi aaj meri tareef ki.

Hm: Woh to karna hi tha, aapne sach mein apna best diya jaisa aapne promise kiya tha. I'm proud of you Misha.

AR: Arey meri mishudi tune to sach mein dil jeet liya. Ab bas aese hi khelna aur saare match jeetna.

M: Maasi aapne dekha jab maine goal kiya,

AR: haan, maine to siti bhi bajai thi jab aapne goal kiya tha.

Hm: to ab bua ke pass chalte hai unhe bhi to khushkhabri deni hai ki humari Misha ne apna first match jeet liya hai.

M: haan mumma jaldi chalo.

MPT

M: Bua!!

Ks: Mishika aap,

M: haan, Bua aaj mai match jeet gayi.

Karishma scooped Mishika up into her arms, her heart overflowing with joy at Mishika's victory. With a wide grin on her face, she began to spin around in celebration, her excitement palpable as she twirled Mishika around in the air. Mishika, caught up in the whirlwind of happiness, laughed gleefully, relishing the moment of triumph alongside Karishma.

Hm: bas Karishma, aapko chakkar aa jayega.

Ps: Chakri insaan ko kya chakkar ayega, haseena ji.

Ks: pushpa ji,

Hm: bas bas aap dono baad mein lad lena, pehle humari Mishika pe dhyan dijiye.

Ps: hume pata hai Mishika aaj match jeet gayi hai, aur humne to subha hi bholenath se prathna ki thi.

Ks: aur hume bhi pehle se hi pata tha ki Misha aaj match jeet jayegi, isliye hum Mishika ke liye specially halwa bana kar laaye hai.

M: sacchi bua,

Ks: haan, aap yaha baitho hum lekar aate hai.

M: bua aap bhi aate mera match dekhne to acha hota.

Ks: arey maine dekha aapka match.

M: Woh kaise aap to nahi aaye the.

Ks: humne billu ko bheja tha, to usne hume vedio call mein aapka pura match dekha.

Ps: humne bhi dekha,

Hm: acha. Waise Karishma aapne hume abhi tak is halwe ki recipe nahi batai.

Ps: yeh halwa banana to humne hi sikhaya hai Karishma madam ko, hum batate hai.

Ks: nahi pushpa ji,

Ps: kyu nahi.

Ks: kyuki is halwe ka humare aur Misha ke bahut mahatva, jaise ki Mishika ko jab bhi chot lagti hai to humesha bhabhi ko yaad karti hai aur agar Misha ko kuch batana hota hai to Bhaiya ko yaad karti hai vaise hi hum chahte hai ki jab bhi Mishika ko kuch khane ka mann kare aur khas karke halwa to usse humari yaad aaye.

Hm: acha to isliye aap hume recipe nahi de rahi,

Ks: sorry bhabhi agar aapko bura lage to.

Hm: koi nahi hum samajhte hain.

M: bua Mai na papa se naraz hoon,

Ks: woh kyu?

M: kyuki aap sabne mera match dekha lekin papa ne nahi dekha, aur maine jab unhe phone kiya to unhone uthaya bhi nahi, mai unse baat nahi karungi.

Ks: kya bhaiya aesa kaise kar sakte hai ruko hum phone lagakar poochte hai.
Nahi utha rahe,

Hm: rehne dijiye Karishma woh busy honge.

Ks: aese kaise busy, unke liye Misha se jyada jaruri kuch ho hi nahi sakta. Hum jaante hai unhe kitna bhi jaruri se jaruri kaam ho meeting ho ya deal ho koi bhi Mishika se badhkar nahi hai.

M: lekin papa to phone bhi nahi uthate bua.

AR: Misha abhi hum ghar chalte hai, aapko bhook lagi hogi.

Ks: thik hai Misha, aap tension mat lo hum hai na dekhna bhaiya ka kaan pakad kar aapke samne layenge aur maafi mangwayenge.

Hm: Misha ab sabko bye boldo, hum chalte hai.

AR:(in mind) sach mein jiju aesa kaise kar sakte hai Misha ke sath.
Jaha tak Mai jiju ko jaanti hoon, woh bade se bada deal ko Mishika ke liye loose kar sakte hai, to phir aaj match dekhne kyu nahi aaye.
Mujhe lagta hai pakka kuch na kuch gadbad hai, kal jiju ke office jaakar unse confront karungi.

____________________________

If you liked this part then do vote and comment, see you in the next part ♡.

Always There For You 💫Where stories live. Discover now