Next Day
At Anaya's House
AR: acha hua tu aa gayi haseena, pata hai mom dad mere kisise shadi karwane pe tule hue. Pata nahi inhe kya ho gaya hai bachpan se lekar aaj tak meri saari baatein maani aur ab jab mere life ka decision hai to sun hi nahi rahe.
Mai aese hi kisi aere gere se shadi nahi karne wali aur jarurat padi to mandap se bhag jaungi lekin kisi aur se shadi nahi karungi siwaye Anurag. Mom Dad ko bhi pata chalega ki mai bhi unki hi beti hoon.
HM: haan baba, mai bhi usi baare mein aunty se baat karne aayi hoon.
AR: Toh kar na kiska intezar kar rahi hai.
Tujhe pata hai yaha meri halat kitni kharab ho rahi hai soch soch ke ki woh mere sath khud ki beti ke sath aesa kyu kar rahe hai. Aur toh aur mera phone bhi mujhse leliya mai anurag se abhi tak baat bhi nahi kar payi.
HM: kitna bolti hai Aaru tu do min to shant reh khud hi sab bole jaa rahi hai mai bol rahi hoon na aunty se mai baat karungi.
AR: sorry 😔
HM: do min mujhe shanti se rehne de, abhi abhi aayi hoon aur tu sar pe chade jaa rahi hai aur waha Maa emotional blackmail kar rahi hai sabko. Bol rahi hoon aunty se hi baat karne aayi hoon.
AR: acha sorry tu na yaha Shanti se baith aur soch mai na tere liye paani lekar aati hoon, nahi paani nahi juice sahi rahega.
AR: yeh le juice,
HM: thank you,
AR: arey yaar tu sirf mom ko mana le, mai na tujhe kabhi pareshan nahi karungi, na hi irritate karungi aur tu jo bolegi mai woh karungi woh bhi pure ek mahine tak.
HM: Haan meri maa kitni baar bola, mai yaha aunty se hi baat karne aayi hoon.
AR: To chalo mom ke pass cha ....
M: Mumma!
HM: haan Misha,
AR: tu misha ko bhi laayi hai,
HM: haan,
M: mumma yeh dekho Nani ne mujhe kya diya.
HM: Nani?
Rekha: Mai,
M: Nani ne mujhe dry fruits diye aur mujhe nani bulane ko kaha, mai inko Nani bol sakti hoon na.
HM: haan Misha Woh aapki maasi ki mumma hai, iska matlab aapki Nani hi hui.
AR: kya fayda aesi mom ka jo apni beti ki baat na sune.
HM: Aaru!!
AR: kya Aaru tu yaha mom se baat karne aayi hai na to kar saamne khadi hai tere.
Rekha: bolo haseena beta kya bolna hai mai sun Rahi hoon.
AR: (wishpering)kabhi itne mithas se mujhe bola hai bolo Anaya beta kya bolna hai.
HM: aunty woh Anaya ki shadi, aap toh jaanti hai....
Rekha: jaanti hoon aur apne bache ki jarurate bhi samjhti hoon isliye ladka bhi pasand kar liya hai maine jisse Anaya ki shadi hogi.
AR: mujhe nahi karna apki pasand ke ladke se shadi.
Rekha: acha to Maine jo photo di thi, tumne nahi dekhi.
AR: nahi mujhe dekhni kisi bhi ladke ki photo.
HM: aunty kamse kam aap toh Anaya ki feeling ko samjhiye, woh kisi aur ke sath kaise khush reh sakti.
AR: bahut khush rahegi woh, haseena ek baar khud tu us ladke ki photo dekh le phir mujhse baat karna.
Rekha picked up the photo from the table and handed it to Haseena, her eyes scanning the image intently. Meanwhile, Anaya seemed to be paying no attention to her mother, Rekha, instead engrossed in eating dry fruits from Mishika's plate.
YOU ARE READING
Always There For You 💫
FanfictionA young man who saved a girl, instantly captivated by her, finds himself in a situation where they must marry. Will she agree to this proposal?
