Teri Aankhen hi haya ka saboot deti hai

94 4 1
                                    

Teri Aankhen hi haya ka saboot deti hai
Tujhe mein be-parda dekhne ka kaisa soch sakhta hu
Teri pardagi hi ek nisaar-e-wafa  hone ka saboot deti hai
Toh meri justaju-e-ashiq-e-tamanna ko bhi maar deta hu

Jab tujko hijab mein dekhta hu toh, fazal-e-gul ki mahek aati hai
Tujhse rishte banane ki khwaish zaroor thi meri par
Teri pardansheen ki khushboo se, meri saari najaayaz tamanna
Har jaati hai

Mujhse milkar tu kyun gunah mein girna chahta hai
Tu jaanta hai na mein kitna bura hu
Aaj mujhe ek accha kaam karne ka mauka Mila hai
Ki tujhse mein rishte tod du,
Par zaroori nahi ke tere liye mohabbat meri badalegi hai
Farak sirf itna hua hai jo dil hame roz Milne kehta tha na
Wahi dil roz-e-subh-o-shaam teri abroo ki hifazat ki dua karega

Tumhi dekho na waqt kaisa badal Gaya hai
Jis shakhs ko izzat ka pata nahi tha wahi dusro ki izzat karne laga hai
Yaahi toh izzat Mera khuda deta,
Jab ham uske huqum-o-ran ko pura karte hai

Ink & Ishq ( english - urdu poetry ) Where stories live. Discover now