Nafrat Ke Ghar Mein, Shama-e-ulfat Jal Rahi Hai

48 1 0
                                    


Nafrat ke ghar mein, shama-e-ulfat jal rahi hai
Kuch teri yaad-e-baa-ishq shikayat kar rahi hai
Uljhanon se uljh kar kabtak khudko tadpaoge
Mere yaha kaamil-e-barham ki baat ho rahi hai

Mushaere ne bohot badnaam kiya hai mujhko
Tu nahi toh teri mohabbat ki karwai ho rahi hai
Falak se noor-e-wafa nahi aati mere ghar abh
Bas kisi ke tavaqqo me raatein basar ho rahi hai

Saikdon bahane hai be-rukhi kar lene ke yaha
Par har guzarti shab me wasl ki baat ho rahi hai
Mujhe fana hi kardo abh iss bharam tum
Mere mitne ki wajah teri wafai ho rahi hai

Ink & Ishq ( english - urdu poetry ) Where stories live. Discover now