ZID NAA KARO JAANEKI KUCH AUR WAQT BAAKI HAI

63 3 0
                                    

Zid Naa karo jaane ki kuch waqt aur baaki hai
Jo banke mausam-e-bahaar aaye ho tum kuch phoolo ka khilna baaki hai
Meri yeh hasrat nahi ke tujhe Umar bhar yaad karu
Kuch din ki majboori hai aur kuch shama-e-dil-e-ashiqui ka jalna baaki hai
Farak nahi padta ab tum mera mazak banalo yeh bazm-e-ashiq mein
Kuch din tak dushmano ka zariya-e-luft tha,shayad ab apno ke liye Banna baaki hai
Bekabu hoti Jaa Rahi hai dillagi ab, kis ki aghosh mein dil yeh jal raha hai
Kuch log apne hai keh kar chale gye, ab auro ka jaana baaki hai
Unki naqsh-e-khubsurrti ka parast hua hai kuch logo ka dil
Kuch logo ka imaan toh bikh gya, kuch logo ka bikhna baaki hai
Shafaq-e-subh-o-shaam mein uska chehra nazar aata hai
Pata nahi kyun yeh mere saath kyun ho Raha hai, ya auro ke saath hona baaki hai

Ink & Ishq ( english - urdu poetry ) Where stories live. Discover now