JAB LAFZ THE KHAMOSH, AAKHON NE BAATEIN KI

51 0 0
                                    


Jab lafz the khamosh, aakhon ne baatein ki
Tu chahe inkaar karle, tere badalne ki tere andaaz ne gawahi di
Tujhe bhoolne ka masla nahi, tujhe mein bhoola chuka hu
Tera aks mere paas hone ki, Teri aati yaadon ne gawahi di

Mujhe laga shayad darmiyan bas kuch logo ke faisle hai
Par abh pata chala tere mukarne ki tere guft-e-ishq ne gawai di
Ajeeb kyun lagne lagi hai raat yeh Aaj mujhe
Lagta hai tere saath na hone ki noor-e-qamar ne gawai di

Darr lagta hai ki koi mujhe abh iss haal mein dekhe
Mere paas tere na hone ki logo ke sawalon ne gawai di
Uski hi raahon pe chal raha tha manzil ki talash mein
Unka mujhe tanha kar bikhra dene ki doori ne gawai di

_____________________________________________________________

English translation :

When words went quiet, eyes started to speak,
Even if you say no, your changes, your way, they peek.
Forgettin' ain't hard; I've moved on, you see,
It's those memories sticking, testifying about you and me.

I thought choices were just for a chosen few,
Now I get it, your saying 'no' spoke true.
Tonight's kind of weird, like the moon's sad too,
Missing you, it seems, the moonlight knew.

I'm worried someone might see me not okay,
People's questions about you being away,
I walked these paths, looking for where to stay,
But the space between us, that's what the distances say.

_____________________________________________________________

Both are written by. Me ( Shahid.N )

Ink & Ishq ( english - urdu poetry ) Where stories live. Discover now