YEH ZAROORI TOH NAHI

86 3 1
                                    

Izhaar karne ke baad bhi unse ibtida-e-mohabbat hui nahi
Mein tumhe yaad rahu yeh zaroori toh nahi
Bhala woh din kyun yaad Karu jo saath bad-e-saba mein guzare
Aab shab-e-azab mein uski shirkat ho yeh zaroori toh nahi
Mayusi har waqt chehre badal kar aati hai
Use mujhe dard se rahat Deni ho yeh zaroori toh nahi
Hirs-e-ishq ki kami uski wafa mein Nazar aati thi,
Isliye woh bichadne ki baat karti thi
Uske aise tawakkul se ham dhoke na khaye yeh zaroori toh nahi
Har jagah woh mujhe aakar tang karti hai
Yeh Mera Mahez wahem ho yeh zaroori toh nahi
Uski ek hi tasveer hai mere paas jis se mein uske saath baatein karta hu
Woh tasveer haqiqat mein ho yeh zaroori toh nahi
Mene dikha uski mayyat mere samne se lejaa rahe hai,
Mein use kandha bhi de Naa sakha,
Yeh Mera bas khawab ho yeh zaroori toh nahi

Ink & Ishq ( english - urdu poetry ) Where stories live. Discover now