Tum agar bichad jaogi toh baaki kya rahega

64 4 0
                                    

Tum agar bichad jaogi toh baaki kya rahega
Kuch waqt ke liye abaad hua tha dil ab barbaad rahega
Hamne uss bewafa ke saare khat jala diye par
Ek uska nishaan hai chehre par jo uska yaadgaar rahega
Mith jaane kehta hai aaj woh, kehta hai tum tark-e-talluqat karlo
Kaise samjhau use woh mera zariya-e-zindagi hai, aur maut tak rahega
Nikhat Teri mere jism se jaati nahi, kitne libaas badal chuka hu
Abh iraada kar liya ki nijaat nahi paani hai,dekhna hai yeh kab Tak mujko tadapata rahega
Gham-ba-gham sitam-ba-sitam ki alawa tumne Diya hi kya hai
Abh toh dil-e-faqeer ko inki aadat ho chuki hai, bas inke sahare hi zinda rahega

Ink & Ishq ( english - urdu poetry ) Where stories live. Discover now