part 11

806 48 11
                                        

At 4:00 AM

karan wapas aata hai aur dekhta hai ki Monami so gayi wo kuch nahi bolta aur apna saman pack karna lagta or fir apna saman laker nicha chala jata hai or fir barkha ka room mai jakar uska door pa knock karta hai 2-3 baar fir barkha bahar aayi hai

Barkha - kya hua karan itni subha ko sab thik to haina

Karan - ha bhabi sab thik hai wo batra sir ka call tha wo academy bula rahe hai kuch urgent kaam ki wajha sa to mai ja raha tha isliye aaya

Barkha - karan aaj hi to tumhari shadi hui hai tum aisa kaisa ja sakta ho monami kya sochagi usi kitna bura lagega

Karan - bhabhi maina phele hi bola tha mujhe shaadi nahi karni but aap ka jabardasti karna par maina shadi kar li aur mai to us ladki ko janta bhi nahi hoon mai kuch nahi janta mujhe jana hoga baki aap dekh lena
Barkha kuch bola usa phele wo bi akha ka per chu kar chala jata hai

Barkha - ab main monami ko kya bolu usa kitna bura lagega ki uski shadi ka din hi uska pati usa chor kar chala gayayahi sochta sochta wo apna room mai late jati hai

At 6:00 AM

Monami uthti hai aur fir tayar hokar nicha chali jati hai or kitchen mai jati hai or barkha ko dekhti hai

Monami - good morning bhabhi

Barkha - good morning monami tum itni jaldi kyu uth gayi kal bohut thak gayi hogi thora aur aram kar leti

Monami - nahi Bhabhi mai thik hoon aur aap bhi to thak gayi hogi aur mujhe adat hai subha jaldi uthna ki

Bakha - * smile* Karti hai

Monami - main aap ki kuch help kar deti hoon

Barkha - nahi sara kaam ho gaya hai aur waisa bhi aaj tumhara phele din hai tum bas kuch mitha bana do kyunki aaj tumhari pheli rasoyi hai

Monami - apna sar ha mai hilata hua ji mai bana deti hoon

Barkha - * smile *aur kuch help chaiya ho to bejhijhak bol dena mai bahar hi hoon

Monami * smile * ji

Or barkha kitchen sa bahar chali jati hai

Or fir monami sab ka liya kheer banati hai

At dinning table

Sab betha tha but karan nahi tha aur monami ki nazre unha doodh rahi thi

Monami - (in mind) ya khadoos Shergill kaha hai kal to bada lad raha tha aur waisa bhi sayad wo sach bol raha tha kyunki Ager wo chor hota to pata to chal hi jata bhabhi ko kyunki param bhaiya bhi to agent tha sayad maina galat soch liya aur accha hai wo yaha nahi warna wo to mujhe kaccha kha jata ki maina usa chor kaha aur us din to maina usa jail bhi bhej diya tha bhaag Jau kya nahi nahi monu warna Bhabhi aur baby kya sochaga but uska samna bhi to nahi ja sakti monu ab to mar gayi tu ab kya karu kya karu

--------------------------------------------------------------

Baki next part mai ☺️

Suggestions please

Dil Ki DastanWhere stories live. Discover now