Chapter 9

458 40 2
                                    

HM house
Morning

Ammi was in kitchen. Haseena came there and hug ammi.

HM: Good morning ammi.

Ammi: Good morning. Aaj itna pyaar aa raha hai ammi par. Kuch chahiye kya?

HM: Kya ammi aap bhi. Pahle khud hi kahti hain ki hum aapko waqt nahi dete. Aur jab waqt de rahe hain tab bol rahi hain ki kya chaiye. Hame na aapse baat hi nahi karni, katti.

Ammi: Chal ab mu mat bana ye dekh maine aalo ke parathe banaye hain. Jaldi se kha le.

Haseena excitedly sat on dinning table.

HM: Jaldi laiye bahut bhookh lagi hai.

After eating.

Ammi: Haseena beta humne Krishu ke liye bhi banaye hain. Use de aa.

HM: Aap aur aapki unofficially god li hui beti. Dekhiye ammi hame humara mood kharab nahi karna.

Ammi (dramatically): Thik hai mat de ke aa. Woh bechari bina kuch khaye duty par chali jayegi. Allah na kare par agar use dhoop mein chakkar aa gaye to uski tabiyat kharab ho gayi to. Par tujhe konsi kisi ki padi hai. Mat ja.

HM: Ja rahe hain. Aap please pushpa ji ke sath rahna kam kijiye.

Ammi: Meri pyari bacchi.
                                        

HM rang doorbell multiple time. Karishma opened the door.

KS: Samne wala chal kar aata hai ud kar nahi.

HM: Agar kachua bhi chal kar aata to isse to jaldi khi khol deta.

KS: Tana baad mein mar lena pahle andar aaiye.

They went inside.

HM: Ye ghar hai ki kabar khana. Koi aayega to kya sochega.

KS: Yahan vaise bhi Zomato- Swiggy walo ke alawa koi nahi aata.
Ye sab chodiye aap kuch lengi, Chai coffee.

HM: Nahi hum khana kha kar aaye hain.

KS: Achha hua vaise bhi chai aur chini khatam ho gayi thi.

HM: KS aapka na sach mein kuch nahi ho sakta. Baharhal ye lijiye ammi ne aapke liye parathe banaye hain. Hame thane jane ke liye late ho raha hai.

KS: Haan to jaiye na humne konsa aapko pakad rakha hai.

HM: You know what KS humne aapse irritating insaan na apni life mein nahi dekha.

She stamp her feet and go from there.

KS: Vaise kah to sahi rahi thi. Kabar khana lagta hai humara ghar. Choddo hume kya.
                                       

MPT

Badnam: Ye lijiye pushpa ji aapka pachva chai.

MA: Pushpa ji itni chai mat piya kijiye is umar mein achhi nahi hoti hai.

PS: Is umar se kya matlab hai aapka. Abhi to dekha hi kya hai humne.

SS: Bachha bhi kya hai pushpa ji. Kyu cheeteh.

CC: Aur nahi to kya. Bhagwan bhi aapse 2-4 din hi bade honge.

PS: Tum log chup karo. Hume pata hai andar hi andar tumko bhi humare jaisi komal tvacha chahiye.

HM came out of her cabin.

HM: Aap log thodi der ke liye bhi serious nahi ho sakte kya. Jab dekho tab masti mazak karte rahte hain.
Aur KS kahan hain aayi nahi kya abhi tak.

KS came running.

KS: Aagye hum aagye.

HM: Badi maharbani aap aa gayi. Ab sab kaam par lag sakte hain. Vaise bhi department aapke hisab se hi to chalta hai.

KS: Aap hume bacchon ki tarah kyun daat rahi hain?

HM: Kyunki aap log bacchon jaisi harkat karte hain. Nursery ke bacche bhi aap logon se jyada disciplined hote hain.

A man came there with a girl.
Apme se Haseena Malik kaun hai?

KS(mumbled): Chalo bach gaye.
But HM hear that.

HM: Aapko to hum baad mein dekhenge.
To the man-
Ji hum hi hain bataiye kya complaint likhani hai aapko.

Man: Nahi mujhe complaint nahi likhani. Mujhe bas aapko madad chahiye.

HM: Ji bataiye.

Man: Mara naam Pramod Verma hai. Meri beti Tanvi 22 saal ki hai. Aur uska vajan bahut jyada hai.

SS: Par ye to kahin se bhi overweight nahi dikh rahi hain.

KS: Agar ye overweight nahi dikh rahi to obviously ye Tanvi nahi hai na Santu.

SS: Sorry maddam.

Girl: Mein Gunjan Tanvi ki friend hun.

HM: Aage bataiye.

PV: Jab bhi mein use apna vajan control mein karne ke liye kahata hun to vo bolti hai ki use apni body ko lekar koi insecurity nahi hai. Vo jaisi hai perfect hai. Aur apni sehat ko bhi nazarandaz kar deti hai.

HM: Thik hai hum samajh gaye. Aap ek kaam kijiye apni beti ko kal Thane mein le aaiye hum unse baat karenge.

PV: Ji.

And they went from there.

In cabin

KS: MS hume samajh nahi aa raha hum is mein inki madad kaise karenge. Hum police wale hain. Aur police ka kaam hota hai janta ki raksha karna.

HM: Is tarah bhi toh hum unki madad hi kar rahe hain na KS. Aur vaise bhi ye humse koi ummid le kar hi aaye hain.

KS: Thik hai aap kijiye inki madad. Par hum isme aapka koi sahyog nahi kar sakte. Agar koi real case aa jaye to hume bula lijiye.

HM: Sahyog to aapko karna padega KS. Aapko har waqt humare sath maujud rahna hoga aur patience se ye solve karna padega.

KS: Aur agar nahi karen to.

HM: Aap bhul rahi hain ki hum aapke senior hain.

KS: par

HM: that's an order KS.

KS angrily goes outside and punch a table.......
                                      

That's it for today.
Thank you so much.

MPT (Discontinued)Where stories live. Discover now